Sunday, February 25, 2007

Paise ke liye bhagwan bhi bikta hai

Zindgi kitni sasti hai
Is Bedard duniya mein
Ye koi nahi jaan paya hai
Kissi ke tann par kapdha nahi
Toh kisi ne tann hi becha hai.

Ek ek waqt ki roti ke liye
Sau sau dukh jhelaa hai.
Kahin par maa bikti hai
Kahin beti ko bechaa hai.
Kabhi kudh nahi baksha hai

Har ek kharidaar hai yahan
Zindgi yahan toh sasti hai
Khoon ke badle mein roti
Roti ke badle mein izzaat
Izzat ka badle milti maut hai

Itne jism ke saudagar dekhe hain.
Chahe mile zinda ya murdha hai
Kharidar raah dekhte hain
Le jate hain kat kar jism se
Dil, gurdha ya ankh hai

Shamshan mein kafan ke bhi
Saudagar paye jate hai
Teri is duniya mein ye bhagwan
Kaise kaise log paye jate hai
Paise ke liye bhagwan bhi bikta hai

No comments:

Post a Comment