Sunday, February 25, 2007

Shiddet se intazaar tha jiska

Shiddet se intazaar tha jiska sanam
Aaj vo lamha aaya hai.

Pyaara sa rishta apne saath laya hai.
Ek dilkash sa sambandh sajaya hai

Mere kal ko aaj banaya hai.
Meri sansoo ko dil mein basaya hai.

Haat duur se thama hai mera
Saath kiya wadaa nibhaya hai.

Sunhera sapna ankhon mein samaya hai
Jinse humne khud ko sajaya hai

Dekha jis adaa se dilbar tumne
Hamara husn humse hi sharmaya hai.

Milkar rahenge sadaa janenaam
Aaj aisa yeh mauka aaya hai.

Shiddet se intazaar tha jiska “Nira”
Aaj woh lamha zindgi ne dikhlaya hai.

No comments:

Post a Comment