Sunday, February 25, 2007

Kairaat ki zingdi nahi chahiye.

Aaj ki nari khud mein ek dhal hai
Uski apni ek pahchan hai.
Gaye zamane jab gulam thi vo
Har baat izazaat par nirbhar thi
Saans bhi udhar meinleni padhti thi.

Sab ko khila kar anpoorna
Akele khane baithti thi.
Sabke sone ke baad bhi.
Sab ki sewa karni padhti thi.

Aab azaadi vo chahti hai.
Khud apne niyam bahaygi.
Kadam se kadam vo milayegi,
Rah se har toofan hatayegi.

Garve se aab wo jee jayegi
Kamzori ko takat banayegi,
Kairaat ki zingdi nahi chahiye.
Swabhimaan se wo sar uthayegi

Aab usseko koi jhooka naa payege
Shakti ke parti beemb banker
Wo jag mein gajmagayegi.
Aab vo sahi roop mein  aayegi

Aab wo sar uthayegee.
Aab duniya sar jhuakeygee

No comments:

Post a Comment