Friday, July 31, 2009

Mera tou sub kuch tera pyaar

Barish jab aaye tou mera aur bhi dil ghabraye
Zulmi sawan must hawa ke jhoNke le ker aaye
Yaad men teri dil taRpe aur naina neer bahaye
Sajan mera tun, mun, dhan sub tujh pe jaai nisaar
Mera tou sub kuch tera pyaar

Zaraa see aahaT ho tou sochooN sajna lauT ke aaye
Kab se ghar ke darwaze pe baiThee aas lagaaye
aa ja ai bedardee ab tou mujh se raha nah jaye
Tere bin ik bojh sa laage mujh ko yeh sansar
Mera tou sub kuch tera pyaar

Roz meree galiyoN meN aaye mujh se aaNkh churaye
Jaise sookhe khet se badal bin barse uR jaaye
Jaise ik pyase ko koyee Khalee jam dikhaye
Kaise kahooN sajan se, dil baiThee hoon haar
Mera tou sub kuch tera pyaar

Kab tak ai bedardii rahega pyar se tou anjana
Ek jhalak dikhade zalim dil tera deevana
Tere pyar meN jina hai aur tujh pe hi mar jana
Tere bin jeevan ka har sukh mere liye bekaar
Mera tou sub kuch tera pyaar nira