Saturday, July 01, 2006

Har dil mein bahar chayi hai

Aaj meri zindgi mein ek aisa toofan aaya hai.
Pyaar ke is samundar mein hare k ne muje
Dil mein basaya hai.

Faila hai khushiyon ka maahol har aur.
Har dil mein bahar chayi hai

Khushi ke pal bhi ajeeb hote hain
Zhat ankhon mein ansoo bhar dete hain
Nazrain bhi toh dil ka ayena hoti hai,

Dil ki baat dil mein hi rah jaye toh acha hai.
Bahar aagayi toh afsaana ban jayegi.

Nazrain bhi toh dil ka ayena hoti hai,
Tumse mill gayi to saare bhed khol jayengi,

Saram se hum aanke bhi na mila payenge,
Dil ki baat jawan se to kya ankho se bhi
na kaha payenge.

Apne khayalo ko issi tarah sambhale
rakhenge,
Na khud ruswaa honge, na tumhe
rooswa kar payenge.
Fir lakiron mein bassaya kyun

Sadiyon se chah thi jiski
Aaj vo humhe mila hai

Lakin fir bhi kismet se
Humko ek gilaa hai.

Faasle hi the is zindgi main
Fir sanpe dikhye kyun.

woh naa honge hamare
Fir lakiron mein bassaya kyun
Dil mein sama jate hain

Khawab kitne such hote hain.
Yeh toh kah sakte nahi.

Khawab mein dekho par jisko
Woh toh kho sakte nahi.
Palakon mein bandh ho kar
Dil mein sama jate hain

Ankhen humne bandh kar li hain.
Kahin vo door na ho jaye
Chahye naa kuch aur dekhen.
Inse dil bahla lenge.

Palak tab tak na kho lenge.
Tumhe jab tak na paa lenge.

Aaj yeh kis ki doli sazzi hai

Aaj yeh kis ki doli sazzi hai.
Kiski piya se milne ki gadhi hai.
Har taraf hai roshni bikhri huyi
Har taraf khushiyan  chhayi huyi hai.

Dulhan solaa shingar kiye hai.
Dulha bhi kuch kam nahi hai.
Aate jate baratiyon mein
Khane ki bhi kami nahi hai.

Fairon ke hote hi beti ho jati parayi hai
Babul se milne ankh Usski bhar aayi hai
Doli mein bitha kar bhai ka farz adaa huya Hai
Angan chod kar apna kaun Aaj vidda huyi hai.
Judai ki lambi raat

Kitni khushiyan hain charon aur.
Sab ki muradain puri huyi hain.
Rab ne aaj sabki baat soon li hai.
Bin mange bhar diyan hain daaman
Ussne

Itni khubsoorat saugaat di hai.
Pyaar ke sadke karti hoon main
Lakhon ki bhid mein dhoonda
Hai usse.

Gairon mein apna paya hai usse.
Badhi mushkil se apna banaya hai.

Judai ki lambi raat aab khatam
Ho jayegi.
Badhi khubsoorti se yeh zindgi
Gujar jayegi.
Kabhi juda na honge aab hum.
Aaj Rab se yeh hi dua mangte hain