Wednesday, December 09, 2009

Nashtar

Nain mere darshan ko tarsey
Man meN har pal aag si barsey
Vyakul hokar ghar meN aaoN
Nischal ho kar niklooN ghar sey

Nadiya meN ik baaRh see aayee
LehRen dekh kar maiN ghabrayee
Kaun sahara dete mukh ko
Tinka tak maiN dhooNdh na paayee

Hain akash meiN badal kale
Jhum rahe haiN jhumne wale
Neer meri ankhon se barsey
Nishchal man ko kaun saNbhale

Aise mein logon ki bateN
Chhubne wali teekhee bateN
Dil pe nashtar se chalte haiN
Sun kar sab ki kaRvee bateN





Sunday, November 01, 2009

Do gaz kafan

Wafa ke badle diye ilzaam zamaane hume
Bewafai ki di hai aag saman ab jane de

Sang jayega kaun tere naa ummed laga.
Do gaz kafan ka hai saath ab jane de

Kabhi himmat par teri mar meette the hum
Sharmindaa hoon is qadar janab ab jane de.

Ruki thi soch kar mil gaya rooh e humsafar
Naa hoga is janam tera saath ab jane de.

Maut sar par kadi aaj muskurati hai
Hai safar mein teri yaad ab jane de.

Sunday, October 25, 2009

Cancer se pidhit hai maa Beta din raat bechain ha

Cancer se pidhit hai maa Beta din raat bechain hai
Kis tarah de rahat maa ko, Dil mein aisi uljhan hai

Din raat karta vo sewa Lata neye ilaaj hai
Vo kya jane doctoron ko, Kaise unke meejaz hai

Roz roz vo karte tazurbe Istimaal nayi dawaiyan ke
Koi naa bach paya inse Aise inke illaz hai

Dard mein tadapta dekh maako Ankh se lahoo tapakta hai
Dil par kya guzarti hai, Kahan zamana samajhta hai

Jin tan lagi vo tan jane Maa ki kitni ahmiyat hai
Maan hai toh duniya jannat, Na ho toh kabrastaan hai

Dua karo un sabke liye, jinke pass maa hoti hai
Bilakhte hain bache kaise, samne jab maa ki lash hoti hai

Thursday, September 24, 2009

fariyaad


meethe palon ko khaton mein qaid kar rahi hoon
bhigi ankhon se padh palken num kar rahi hoon

aankho'n me hain judai ke besakoon lamhey,
aaho'n se apney dil ko aabad kar rahi hoon

faslon se door dil mein basera kar rahi hoon
mulakat ke aasre sarhadd par kar rahi hoon

aansoo baha baha kar ,main yaad kar rahi hoon ,
nira ke neer dekho ,fariyaad kar rahi hoon

mil jaye sakoon bandh jayuun har janam
mandir sa dil muhabat se aabad kar rahi hoon

Aurat ki kya hasti hai

Aurat ki kya hasti hai

Aurat ki kya hasti hai
Cheez woh kitni sastee hai

kahiN woh dil ki rani hai
kahiN bus ek kahani hai

kitni bebus dikhtee hai
jab bazaar meN biktee hai

kahiN woh Durga Mata hai
Is sansar ki data hai

kahiN woh ghar ki daasi hai
Nadia ho ker pyasi hai

Sub ke tane sahtee hai
Phir bhee woh chup rahtee hai

Saraswati ka avtar hai woh
Shiksha ka bhandar hai woh

Qismat uspe haNstee hai
Jab shiksha ko tarastee hai

Kya kya zulm woh sahtee hai
phir bhi haNstee rahtee hai

KahiN saza yeh pati hai
Garb meN mari jati hai

KaheeN woh Mata Kali hai
Kahin woh ek sawali hai

Khali haathoN aane per
Dan-dahez nah lane par

Zulm yeh dhaya jata hai
Usko jalaya jata hai

Neer nayan se barse hai
Woh muskan ko tarse hai

KhushiyoN kowoh tarastee hai
Aurat ki kya hastee hai

Kaise tuz bin reh payoong

Kaise baithoon doli mein maaN
Aayegi jab yaad teri
Yunhi ansoo bahayoongi
Tuz bin reh naa payooNgi

Vo pal jo tere angan mein
Maine itne din guzaare hain
Vo deewarain jin par maine
Rangon ke nishan banaye hain
Kaise unko bhul payoongi

Paata hai maa meri guriya
Aaj bhi sandook mein rakhi hai
Kya hua jo uski ek tang choti hai
Kaise usko chor jaayoongi

Angan mein bhikri hain yaadain
Buhaar ke bhi naa samait payoongi
Aayegi teri yaad din, raat mujko
Kaise tuz bin reh paayongi

Babul ki bhikhalti ankhe
Dil mera cheer deti hain
Bhai ke nanhe haath muje
Jaane se rok lete hain
Inki ankhon se nikle ansoon
Kaise main dekh payoongi

Kya beti tuz par bojh hai maaN
KyuN nahi reh sakhti tere saath
Bhai bhi toh aalayega bhabhi
Jamayee ko bhi le aa ghar
Maa chal aa kuch naya karain
Aaj naya ithaas rachain
Nayi kuch roshni jagaayein

baata maaN tu hi baata
Kaise tuz bin reh payoongi

Tuesday, September 15, 2009

Muhabaat ko milta hai kahan insaaf saher hoone tak

Muhabaat ko milta hai kahan insaaf saher hoone tak

Dil ko kaise samjhain hai noor e nazaar hoone tak
Muhabaat ko milta hai kahan insaaf saher hoone tak

Shab se aher tak chiraghe umeed jalaye baithe hain
Bhuuja dete hain fanoos humsafar saher hoone tak

Naa karainge gila qurbaan hum ho jayeinge
Zindagi kar di hai tere naam sehar hoone tak

Uff na karainge zindagi faana ker jayeinge
Rukhse hatega na naqab sarkar saher hoone tak

Tuesday, September 08, 2009

Hum se rasm-e ulfat woh is tarah nibhate hain

Hum se rasm-e ulfat woh is tarah nibhate hain
Hum tou pyaar karte haiN aur woh zulm dhaate hain

Dar badar bhatakte hain thokaren bhi khate hain
Log tub kahin jaa ker manzilon ko paate hain

Is tarah jahaN se hum apna gham chupate hain
Lakh ro raha ho dil phir bhi muskurate hain

Jin se hum ne maangee theen chund lamhon ki Khushiyan
Woh ghamon ki hee saughaat humko deke jaate hain

Kaise bawafa hain woh ghar mire nahiN aate
DoosroN ki galiyon men roz dekhe jate hain

Hum nahiN karam apna jo jatayeN sau sau bar
Hum karam kareN bhi tou kar ke bhool jate hain

Dost is zamane meN Khudgaraz hain ai Nira
Jab bhi koii mushkil ho ghair kaam aate haiN

Thursday, September 03, 2009

Mera bach

ek sawal mere dil mein aaj bhi uth raha hai
kitna komal tumhare chera raha hoga
tum mere liye ek vardan the rab se
main hi kabeel maa naa ban saki

Tumhe nani ki tarha ik pyaar
karne wali maa milni chaiye thi
jo tumhe pyaar karti tumhari hifazat karti
shayad tum khush rahte unke sang
mamata tumhe khub milti

Tum nahi jante muje apne karni par
kitna afsoos hai,
kash vo waqt main lauta pati
nahi janti kya kar rahi thi
us waqt main khud bhi bachi thi

itni be-bas aur majboor mein thi
galani se ghootan hoti hai aaj bhi
tumhe bhulna bahut mushkil hai
khud ko samabhalna mushkil haii
teri yaad mein roz tadapti

tum muj mein kya kar rahe the
jab tumne apni akhri dadkan chori thi
tum toh mujpar hi nirbhar the
maine miitadi tumhari hasti
meri soch us waqt stambh thi

kash main tum se jagah badal sakti
ek pal mein vo kar leti beta
par tum kismat wale ho
tum rab ki chaaye mein ho
apne gunaah ko aise samjhati

aise koi din nahi gaya bina yaad kiye
aor dil mein galani rahegi har waqt
par bhitar hi bhitar muje pata hai
hum kabhi alag nahi honge.
Sapno mein tumse baat karti

Khash waqt ne muje rasta dikhaya hota
aisa din kabhi naa aaya hota
mera chand aaj mere saath hota
meri ghar bhi khushaal hota
zindgi meri yun naa meeth.ti

Friday, July 31, 2009

Mera tou sub kuch tera pyaar

Barish jab aaye tou mera aur bhi dil ghabraye
Zulmi sawan must hawa ke jhoNke le ker aaye
Yaad men teri dil taRpe aur naina neer bahaye
Sajan mera tun, mun, dhan sub tujh pe jaai nisaar
Mera tou sub kuch tera pyaar

Zaraa see aahaT ho tou sochooN sajna lauT ke aaye
Kab se ghar ke darwaze pe baiThee aas lagaaye
aa ja ai bedardee ab tou mujh se raha nah jaye
Tere bin ik bojh sa laage mujh ko yeh sansar
Mera tou sub kuch tera pyaar

Roz meree galiyoN meN aaye mujh se aaNkh churaye
Jaise sookhe khet se badal bin barse uR jaaye
Jaise ik pyase ko koyee Khalee jam dikhaye
Kaise kahooN sajan se, dil baiThee hoon haar
Mera tou sub kuch tera pyaar

Kab tak ai bedardii rahega pyar se tou anjana
Ek jhalak dikhade zalim dil tera deevana
Tere pyar meN jina hai aur tujh pe hi mar jana
Tere bin jeevan ka har sukh mere liye bekaar
Mera tou sub kuch tera pyaar nira

Friday, March 27, 2009

Andheri Raat

Kahin andheri raat mein bacha rota hai
Aurat roti hai koi aziz marta hai

Kahin andheri raat mein rooh roti hai
Kahin raat mein insaniyat marti hai

Insaan agwah hote hain maare jate hain
Kahin raat mein haqeekat zinda rahti hai

Kaise log marte hain koi awaaz nahi
Kahin raat mein akelapan panapta hai

Kahi andheri raat mein vo akeli marti hai
Kahin aisi raat mein dulhan tadapti hai

Darwaje par diye jalye ghariyan ginti hai
Kahin aisi raat mein.Vo roshni dhoonti hai.

nira

Tarone ki chadar humne odhi

koii dil ke kareeb aaya
jise naa dhekha kabhi
choone ki mujhe chah rahi

Oss ka bichona liya
Bahon ka banaya takiya
Tarone ki chadar humne odhi

Samundar ki lahrain
Dilko de hichkole
Sundarta se bharli jholi

Sapno mein jalaye deep
kheli uske sangh holi.
bandhi saat janamo ki dori

Mari bagiya khil aayi

Ek khubsoorat sa
chamaan
Kuch kaliyon sangh
lagaye aas
Phoolon ke khilne ki
Thi usko is pyaas
ki umang

Kuch badal aise aate,
Har waqt phoolon ko
darate--------------
Rahne naa dete sang maliko
unke sar aakar mandraate

Bagiye kabhi kumlaayi
Kabhi phir se hariyati
Mangti ritu se hardum
Dedo -----
Humko kisi ek ka sung
nupur ho har kaaam mein
Paye hum harsh unse
Likhe jo hum par bhi
roz kavita -----
dedo aisa ek farishta

Harsh se khila
Chaman hai
Sabse milne ki
Lagan hai.
Bhavre bhi
Ghoom rahe hain
Titli sangh jhoon
Rahein hain..............
Aaj ritu ne pyaarse
Bharkha barsayi
Dekho baghiya muskayi
Mari bagiya khil aayi

Ek ehsaas

Jiska koi akaar nahi
Pass bhi ho ku.aaN
Bhujti pyaase ki
Pyaas nahi.

Aaye diwali ya
Rangon ki holi
Khushiyan yahan
Taharti nahi.

Nanhi Chidiyan
Udh na sake
Pedh kat diye
Rahne ko
Ghosla nahi.

Bacha roye
dood ko
Taap rahi maa
Bhukhar se
usse Hosh nahi

Betiyan cho.de
Babul ke ghar
Naa baaje paijan
Chidiyon ka yahan
aab Basera nahi

khuda se diya anmol vardan ho main samajhti hoon

Tere dil mein chal rahe har ehsaas ko samajhti hoon
teri ankhon mein uth rahe sawaal ko samajhti hoon

tujhe har ghum , takleef se mehfoos rakhoongi
tujhe se mera har janam ke saath ko samajhti hoon

tere hi liye jeeyoongi aor maroongi main
apne is kartavey ko achi tarha samajhti hoon

zindagi main aage badhkar naam kamaoge
Mere hi naam ki roshni failaoge samajhti hoon

jab tak naa aaya tha meri zindgi mein tu
har ek nazaar mein basi nafrat main samajhti hoon

aaj tum mare ghar ka chirag ho sab kahte hain
kal jo meri hasi udhate the main samajhti hoon

meri veeran zindgi mein meri muskaan ho tum
khuda se diya anmol vardan ho main samajhti hoon

Meri iltizaa soon lo.

Meri iltizaa soon lo.

Aaj is din par
Meri iltizaa soon lo
Maangoo na koi
Khazana main.
Meri choti si
Prarthana soon lo
Din raat karoon
Dua rab se
Jeeta rahe taa- umr
Mera bhai, meri
Aradhna soon lo.

Aaya hai aaj mera din
Leloon main ik waada
Bhai se ------------
Lagao naa haath
Karo naa khud par
Julm is tarah
Naa udhao dhooyen
Mein jeegar raat din
Aaj behan ki
Baat soon lo.

Gar aagaya koi
Aisa din
Jee naa sakoongi
Tum bin,
Rishta naa sahi
Khoon ka
Phir bhi soon lo
Ro ro kar hoyoongi
Main bhi Behaal,
Main kahti hoon
Aaj meri baat soon lo

Tum mera hi nahi
Budhe baba ka bhi
Sahara ho.
Unka noor unki
Ankhon ka tara ho
Dekho maa ki awaaz
Bhi shamil hai
Maa ki pukar soon lo
Meri iltizaa soon lo.