Friday, March 21, 2008

Ganga toh bahtii jayegi

Ganga toh bahtii jayegi
khud mein sab ko samayegi
Karte hain paap jo din raat
Unke liye mukti layegee
Ganga toh bahtii jayegi

Loot.te kis tarha zindgiyaN
Baith ke ganga kinare par
Japte hain Raam naam ki mala
Karte hain balatkar magar
Ik din zind tadpaayegi
Ganga toh behti jayegi

Chori Dakaiti inke shauq hain
Hathiyaar se holi khelte hain
Aatank faila rakha hai yahaaN
Desh ko bhi baich dete hain
Ik din ufaan ye laayegi
Ganga toh behti jayegi

Ganga sab kuch janti hai
Paapi ke liye bhee ro Leti hai
Dil uska bahut mahan hai
Sab ke paap dho leti hain
Wo dil shiv-shiv kehlaayegi
Ganga toh behti jayegi

Paap ya ho aastiyan kisiki
Har cheez baha le jati hai
Ganga Jal paawan hai itna
jise choooye usey bha jaati hai
Har dil maiN jagah banayegi
Ganga toh behti jaati hai

Shiv keshse utar Maa Ganga
Bhav sagar mil jati hai.

Tuesday, March 18, 2008

Arthi

Chahti toh yeh thi ki
Meri aarthi pahle sajti.
Laal jode mein main sajti
Pahne hote haato mein kagan
Maathe meri bindiya chamakti

Par tum dhoka de gaye
Apni zimedaariyan chor
Duur desh chale gaye.
Pahnake safed rang mujko
Sare rang, sang le gaye.

Budhe maa baba ka
Dhayan naa aaya.
Kaise bojh uthayenge
Kamzor kandon par
Apne bete ki aarthi 

Uthayenge

Muje unko dheer
Bandhani hai.
Aab tho betaa banker
Sare farz nibhane hain
Tumhare farz nibhane hain.

Koi aab naa saalgirah hogi
Naa koi diwali naa hogi holi.
Beete palon ki yaadain
Meri duniya hogi.
MaiN sapnoN meiN jee luuNgi

Intzaar karna tum mera,
Waade sare poore karoongi,
Koi kaam adhure naa
Rahainge, kasam tumharI
Betiyon ki doliyaan baij kar
Apni aarhti sajauuNgi

Tumse milne aayoongi
Tumse milne jaldi aayoongi

Meri bhi ticket katne wali hai.

Umr ke jis paRaav par khaRe haiN
Ek Dar saa har samai rahta hai dil meN
Jaane kis jagah mera naam likha hai
Khuda teri fahrist meN,

Aise nahi ki, koi tamanna baaqi hai
Kayi kaam aaj bhi adhure haiN.
Par sabko chhoR ke jaanaa kitnii majboori hai
Baal bachchoN kaa sang bhi zaroori hai.

Kaii beemariyoN ne gher rakkha hai
Dil meN bhi toh gaRbaR hai kahiN
WahaaN bhi pace-maker laga rakkha hai
DaGha de jaaye kab Dar sa laga rahta hai

HaathoN meN chhaRi dedi hai
Kamar bhi aadhi jhuk gayi hai
Naati, naatoN ke qad baRe ho gaye haiN
Lagtaa hai meri ghaRi nazdeek khaRi hai.

Agar waqt aaye aisa, yaad rahe meri baateN
Sab kaamoN ko aise karna, mano maiN
Abhi HuN sabke beech, Radha ki shaadi
Ussi samai karna jis muhrat par tay ki gayi hai.

Meri sirf suurat badlegi. Beta banega dada.
Aadmi badal jayeNge, reet chalti rahegi
Ganga ji ke jal astiyan meri baheNgi
Mera astitwa tum sab meN jeevit hai

Saturday, March 01, 2008

Zindgi tere naam likh dete hain


Meri raaton ki neend udhate ho
Aake haule haule kaano mein
Kuch baat kah jate ho
Kabhi chand toh kabhi
Mahtaab bulate ho
Haulle se pyaar jatate ho

Taron ki raat mein
Chaa.tt par bulate ho
Chandni ki chanv main
Bharke aagosh mein
Thapki se sulate ho
Haul.le se pyaar kar jate ho

Kannte ne chube panv mein
Phool bikher dete ho
Rang surkh rahe gallon par
Halke se choom lete ho
Nazaar naa lage kisiki
Kajal ankhon main
Sajaa dete ho
Jaane kya kya karte ho

Aao aaj hum bhi kuch
Kah dete hain.
Apne haaton ki likron mein
Naam tumhara likh dete hain
Bharke mangh apni tere haaton se
Zindgi tere naam likh dete hain
“Nira” dheerese waada kar dete hain

Phir bhi tumse muh mod.na pada

Chhaha toh nahi tha tumse door jana
Wafayon men kamee bhee na thee
Chahaat meri kamzor naa thi.
Phir bhi tumse muh mod.na pada.

Riwayton ne duniya ke diye
Kuch aise nishan zhakhamo ke
Apne haaton apna dil todna pada
Tumpar bewafaa honaa pada.

Majhab ki deewarain khadi ki istarah
Mera tum tak aane ka raasta roken
Kabhi bhai toh kabhi kazii kee
Naseehten bar bar hamko token

Muhabat naa ho ruswaa meri
Tumpar koi ungli naa uthaye.
Peeloon main zeher agar yeh
Mushkil ki gari tumpar aaye.

Tum mera pyaar ho humdam
Bas rakhna itna tum yaad.
Milan hoga, pyaarke phool
Bhi Khilainge
Hum is duniya mein nahi jaaneman
Taaron ke paar aab milainge,

Zindgi se ab toh koi shikayat bhi nahiin


Iss adhoori zindagi se ab shikayat bhi nahiin,,
Zindagi aasaa'n nahi lekin musibat bhi nahiin

Mukamal hai mera jahaan kuch iss tarah-
Zindgi se ab toh koi shikayat bhi nahiin -

Zindagi ke haal se mayoos na hona kabhi
Inaayat hai kHudaa kii koii shikayat bhii nahiiN

Roshan karainge zindgi ko kuch is tarah se
Laye haiin jo iss jahaan unse shikayat bhi nahiin

Paaya hai pyaar bey inthaahh is jamane se
Khudaa wapas boola le koi shikayat bhi nahiin

Beti maa ki parchayi hoti hai

Maa hi janam deti
Fir aise kyun roti hai
Beti hi toh maa ki
Parchayi hoti hai
Angan mien ----------
Halke halke pavn
Jab chalti hai
Payal goonj uthati hai
Ek sakoon sa deti hai
Beti maa ki
Parchayi hoti hai

Bachpan badhte badhte
Jawani ki seedhiya chadte chadte
Angan smetane ko jee karta hai
Mano kabhi ye bhi choot jayega
Man kynu darta hai
Main jab bhi golmatol hokar soti
Maa chupke se mathe par hath laga roti
Kee main bhi jaoongi pardesh
Main dhundati sapno main
Piya ka desh

Aankh khulti to samne hota mera hee ghar
Mujhko lagta hai fir kaisa ye dar
Kon mujhko karega door
Kynu hai maa baap aise mazboor

Ye jaroori hai main chod doon apna ghar
Jismain jeeti rahi sans hathon main bhar
Pyaar kand kand se karti hoon main is kadar
Ho gayee jo zuda sach main jaoongi mar

Koi ban ke sajan aa bhi ja iss kadar
Jaan lele magar cheen mat mera ghar
Main tere waste pee bhi lungi jahar
Bas mujhe baksh de mere babul ka ghar

Chandni ki chah mein amawas chhaa gayi

Kushiyon ke beech udassi chhah gayi
Chandni ki chah mein amawas chhaa gayi

Milte hain ajnabee banjate hain dilbar
Par ankhon mein unke udassi chhaa gayi

Har mausam ki bahar tumse thi sajan
Khilte phoolon par kaise Khizaan chhaa gayi

Sajate hain khawaab dil mein sunahre
Pyaar mein inse be_Khaabii chhaa gayi

Peesti hai menhdi rang deti hai haath
Dekh roop insaan ka nai-rangii chhaa gayi

Ghamka saaya nazaar aata hai

Saanse thak gayin hain
Yeh intazaar karte karte
Kabhi phoolon par Toh
Kabhi kannton par Chalte chalte

Har raah par dost kabhi
Dilko rondh jate hain
Kabhi dushnam bhi apna
Kaam kar jata hai.

Pyaar ke do pal jeene ke liye
Ek lambhi zindgi ka magar
Intazaar bahut rahta hai
Jab bhi ankh kholo Unmein
Ghamka saaya nazaar aata hai

Khawab ankhon mein
Sajate toh hain hum sabhi
Poore hone ka intazaar
Zindgi bhar magar rahta hai

Laut kar aane ka wadaa
Toh kar dete hain sanam
Unke aane ka Marte dum tak
Intazaar “Nira” Rahta hai,

Yeh hi meri zindgi ka fsaana hai

main bin pankhon ka
parinda hoon
jiska nahi hi koi basera
naa hi koi thikana hai

main banjare ki trah hun
jo kahin bhi paRaao daal hai
jo basti basti ghoomta rahta hai.
raat chadar bicha ambar tale so jata hai

main bahtii nadi ki tarah hoon
jiska koi chhor nahi koi anth nahi
lahraate huye jhoNke kii taraH tarah hoon
jo tezee se kisi ore udha diya jata hai

main kabhi badlon mein chip jata hoon
kabhi ansoon ki barish ban
ankhon mein utar aata hoon
yeh hi meri zindgi ka fsaana hai

Kya insaniyat zinda hai??

Badhe badhe makan.
Banate hain ham.
Rahne ko ghar nahi,
Logon ke ghar sone se.
Sajate hain ham.
Ek ghar mein.
Bistar tak nahiiN.
Kahin fanus lagate hai ham.
Sajate hain
Phoolon se
Doliyan
Kitane armaan doli main
Baithe tak nahi
Chalak jate hai ansoo
jab sajti hai
koi doli kahin

Bunte hain hamare pairon
Main pada
Sunder qaaleen
Chote chote haath
ZaKhmoN se ghayal
Hokar --------dinbhar
So jate hai
ChaTaaii par
Odhkar
Apni bebasi

Kaisi yeh hai
Duniya
Kaisa yeh
Dastoor hai
Badi se kothi ke niche
Ek tuti chat mazboor hai

Bharte hain
Pet dusron ka
Khud Khane ko
Roti tak nahi
Pet jaa lagaa
PeeTH se---------
Jaise koi qaleen
Bichcha ho kahin

Kaisi yeh duniya
Hai teri----
Kaisa yeh samaj
Kaisa yeh riwaaj hai
kuch log ganga ko
Angan main lekar baithe hai
Kuch bund bund pani ko
Mohtaaj hai

Kuch panv ragadte hai
Keemati qaleeno par
Kuch chain lete hai
Aasman ke niche
Jameeno par
Kya insaniyat zinda hai??
Haan to
Fir kynu zindagi is kadar sharminda hai??
Koi to mujhe batao??
O insaan is tarah til-til kar mat maro
Ab to jaag jao