Thursday, September 24, 2009

fariyaad


meethe palon ko khaton mein qaid kar rahi hoon
bhigi ankhon se padh palken num kar rahi hoon

aankho'n me hain judai ke besakoon lamhey,
aaho'n se apney dil ko aabad kar rahi hoon

faslon se door dil mein basera kar rahi hoon
mulakat ke aasre sarhadd par kar rahi hoon

aansoo baha baha kar ,main yaad kar rahi hoon ,
nira ke neer dekho ,fariyaad kar rahi hoon

mil jaye sakoon bandh jayuun har janam
mandir sa dil muhabat se aabad kar rahi hoon

Aurat ki kya hasti hai

Aurat ki kya hasti hai

Aurat ki kya hasti hai
Cheez woh kitni sastee hai

kahiN woh dil ki rani hai
kahiN bus ek kahani hai

kitni bebus dikhtee hai
jab bazaar meN biktee hai

kahiN woh Durga Mata hai
Is sansar ki data hai

kahiN woh ghar ki daasi hai
Nadia ho ker pyasi hai

Sub ke tane sahtee hai
Phir bhee woh chup rahtee hai

Saraswati ka avtar hai woh
Shiksha ka bhandar hai woh

Qismat uspe haNstee hai
Jab shiksha ko tarastee hai

Kya kya zulm woh sahtee hai
phir bhi haNstee rahtee hai

KahiN saza yeh pati hai
Garb meN mari jati hai

KaheeN woh Mata Kali hai
Kahin woh ek sawali hai

Khali haathoN aane per
Dan-dahez nah lane par

Zulm yeh dhaya jata hai
Usko jalaya jata hai

Neer nayan se barse hai
Woh muskan ko tarse hai

KhushiyoN kowoh tarastee hai
Aurat ki kya hastee hai

Kaise tuz bin reh payoong

Kaise baithoon doli mein maaN
Aayegi jab yaad teri
Yunhi ansoo bahayoongi
Tuz bin reh naa payooNgi

Vo pal jo tere angan mein
Maine itne din guzaare hain
Vo deewarain jin par maine
Rangon ke nishan banaye hain
Kaise unko bhul payoongi

Paata hai maa meri guriya
Aaj bhi sandook mein rakhi hai
Kya hua jo uski ek tang choti hai
Kaise usko chor jaayoongi

Angan mein bhikri hain yaadain
Buhaar ke bhi naa samait payoongi
Aayegi teri yaad din, raat mujko
Kaise tuz bin reh paayongi

Babul ki bhikhalti ankhe
Dil mera cheer deti hain
Bhai ke nanhe haath muje
Jaane se rok lete hain
Inki ankhon se nikle ansoon
Kaise main dekh payoongi

Kya beti tuz par bojh hai maaN
KyuN nahi reh sakhti tere saath
Bhai bhi toh aalayega bhabhi
Jamayee ko bhi le aa ghar
Maa chal aa kuch naya karain
Aaj naya ithaas rachain
Nayi kuch roshni jagaayein

baata maaN tu hi baata
Kaise tuz bin reh payoongi

Tuesday, September 15, 2009

Muhabaat ko milta hai kahan insaaf saher hoone tak

Muhabaat ko milta hai kahan insaaf saher hoone tak

Dil ko kaise samjhain hai noor e nazaar hoone tak
Muhabaat ko milta hai kahan insaaf saher hoone tak

Shab se aher tak chiraghe umeed jalaye baithe hain
Bhuuja dete hain fanoos humsafar saher hoone tak

Naa karainge gila qurbaan hum ho jayeinge
Zindagi kar di hai tere naam sehar hoone tak

Uff na karainge zindagi faana ker jayeinge
Rukhse hatega na naqab sarkar saher hoone tak

Tuesday, September 08, 2009

Hum se rasm-e ulfat woh is tarah nibhate hain

Hum se rasm-e ulfat woh is tarah nibhate hain
Hum tou pyaar karte haiN aur woh zulm dhaate hain

Dar badar bhatakte hain thokaren bhi khate hain
Log tub kahin jaa ker manzilon ko paate hain

Is tarah jahaN se hum apna gham chupate hain
Lakh ro raha ho dil phir bhi muskurate hain

Jin se hum ne maangee theen chund lamhon ki Khushiyan
Woh ghamon ki hee saughaat humko deke jaate hain

Kaise bawafa hain woh ghar mire nahiN aate
DoosroN ki galiyon men roz dekhe jate hain

Hum nahiN karam apna jo jatayeN sau sau bar
Hum karam kareN bhi tou kar ke bhool jate hain

Dost is zamane meN Khudgaraz hain ai Nira
Jab bhi koii mushkil ho ghair kaam aate haiN

Thursday, September 03, 2009

Mera bach

ek sawal mere dil mein aaj bhi uth raha hai
kitna komal tumhare chera raha hoga
tum mere liye ek vardan the rab se
main hi kabeel maa naa ban saki

Tumhe nani ki tarha ik pyaar
karne wali maa milni chaiye thi
jo tumhe pyaar karti tumhari hifazat karti
shayad tum khush rahte unke sang
mamata tumhe khub milti

Tum nahi jante muje apne karni par
kitna afsoos hai,
kash vo waqt main lauta pati
nahi janti kya kar rahi thi
us waqt main khud bhi bachi thi

itni be-bas aur majboor mein thi
galani se ghootan hoti hai aaj bhi
tumhe bhulna bahut mushkil hai
khud ko samabhalna mushkil haii
teri yaad mein roz tadapti

tum muj mein kya kar rahe the
jab tumne apni akhri dadkan chori thi
tum toh mujpar hi nirbhar the
maine miitadi tumhari hasti
meri soch us waqt stambh thi

kash main tum se jagah badal sakti
ek pal mein vo kar leti beta
par tum kismat wale ho
tum rab ki chaaye mein ho
apne gunaah ko aise samjhati

aise koi din nahi gaya bina yaad kiye
aor dil mein galani rahegi har waqt
par bhitar hi bhitar muje pata hai
hum kabhi alag nahi honge.
Sapno mein tumse baat karti

Khash waqt ne muje rasta dikhaya hota
aisa din kabhi naa aaya hota
mera chand aaj mere saath hota
meri ghar bhi khushaal hota
zindgi meri yun naa meeth.ti