Sunday, May 19, 2013

Papa mujhe bhi ek kafan deejiye




Duniya hai Khali Khali see Papa tumhare bAAd
Main bun gayee sawali see Papa tumhare bAAd
Kub kah rahee hooN maya ya dhan bhej deejiye
Papa mujhe bhi ek kafan bhej deejiye
 
Bachpan ke GuRia GuddoN ki chaahat nahiN mujhe
Ab pencil-qalam ki zaroorat nahiN mujhe 
Dhak jaye jis se mera yeh tun bhej deejiye
Papa mujhe bhi ek kafan bhej deejiye
 
Aapne mujhe saNbhalna sikhaya tha ek din
unGli pakaR ke chalna sikhaya tha ek din
jo chaahta  hai mera yeh man bhej deejiye
Papa mujhe bhi ek kafan bhej deejiye
 
Ek roz paRhna likhna sikhaya tha aap ne 
Aur khel men bhi saath nibhaya tha aap ne 
Hai bojh zindagee ki thakan, bhej deejiye 
Papa mujhe bhi ek kafan bhej deejiye
 
tareekiyoN meN raah sujhaayee thee aap ne
jeevan ki seedhi raah dikhaai thee aap ne
Ab maziloN ki kisko lagan, bhej dejiiye
Papa mujhe bhi ek kafan bhej deejiye

Ik pal meN jo miTa de mujhe bus wohee kafan
Jo aap se mila de mujhe bus wohee kafan
Duniya se haT gaya hai ye man, bhej deejiye
Papa mujhe bhi ek kafan bhej dejiye
 
Soti thee meeThi neend tumhari hi god men
Aatee thee achchi neeNd tumharee hi god meN
Us god ki hai phir se lagan, bhej deejiye
Papa mujhe bhi ek kafan deejiye