Thursday, February 16, 2006

Pyaar ke Rang

Pyaar ke rang itne khubsoorat honge.
Yeh kabhi socha na tha.
Tum kya meri jindgi mein aaye.
Meri toh duniya hi badal gayi.

Choti choti baton mein khushiyan mil gayin.
Aaj yeh pal yahin tham jao.
Mujhe ji bhar ke is pal mein ji lene do.

Tumhara har sparh, yaad rakhna chahti hoon.
Tumhe aapni palakon mein chupa na chahti hoon.
Koi bhule se tumhe mujse cheen na le.
Tumhe aapni saan.soh basana chahti hoon.

Waqt badal jayega hum badal jayenge.
Pyaar ke yeh hasin pal, yunhi tham jayenge
Aur humhe beete dino ki yaad dilayenge.

Har woh jagah jahan ek saat hum,
Haat thamhe chale the.
Khubsoorat jheel ke woh kinare,
Humhe yaad aayenge.

Choti choti pug dandhi par door tak, chalte jana.
In wadhiyon mein humra yun kho jana.
Jab main thak jaa.un toh.
Tumhara mujhe tham lena.
Itne sare pyaar ke rang
har pal Mere saat rahenge.

Tumhara pyaar hi mera jivan hai.
Jo sathi kabhi nahi choot sakta
Har koi dil dhukhata kyun hai

Har koi dil dhukhata kyun hai.
Ankhon se ansoo bahata kyun hai.

Kyun nahi humhe kuch pal,
Khushi ke ji lene dete.

Kyun har bar, waqt ek nayi,
Pareshani ban kar rok leta kushiyan
Kyun yaad karte ho itna.

Kyun yaad karte ho itna.
Kyun milne ki aas rakhte ho .

Jo dil ko dhuka de.
Woh zazbaat rakhte ho.

Rahain kathin hain.
Manzilain door hain.

Dil mein ek aas hai
Par mil na mushkil hai
Ankhon mein khawab

Ankhon mein khawab dete ho.
Dil mein ehsaas dete ho.

Raton mein jaga dete ho.
Dhadkan ne badha dete ho.
Apne hone ki pachan dete ho.

Na milo toh rulla dete ho.
Milo toh hasa dete ho.

Door rah kar bhi jeene ki.
Umeed badha dete ho.
Dosti ke libas

Har waqt log ek naya roop kyun dikhate hain.
Dosti ke libas mein
Kisi aur ki majboori ko apni hasi ka zaariya.
Banate hain.

Aaj haslo kal na jane samaye kya dikhaye.
Ek pal ki hasi jindji bhar ka rona na ban jaye.

Bahut kush naseeb ho, ki khuda ne tumhe,
Wov sab kuch diya hai, jo sab ke paas nahi hai
Isliye shukr karo khuda ka ,
na ki kisi ki majboori mein, hasi ka zariya dhoondo.

Bhool ke bhi tumhari waja se kisi ka dil na dukh jaye
Tumhari berukhi pe koi kahi apne ansoo na bahaye
Jab tak darad chupayatha tha


Jab tak darad chupayatha tha,
Hasi ko ankh mein basaya tha,
Dil ki baat chupee huyi thi
Sadhma naa hum ne dikhaya tha.

Par aab baat kuch aur hai.
Haalat badaal gayen hain.
Zazbaton. ne nayi karwat li hai.
Khud ko hum ne jan liya hai,
Bekasoor hain, ye mana liya hai

Nahi bahenge aab ansoo.oun ke
Bhawar mein. aapne aapse aaj
Ye wada kiya hai.
Choto choti batain.


Choto choti batain likhe huye ,
Shabdon ki tarah ankhon ke.

Samne se gujar jati hain.
Hum bhulna bhi chahain toh.
Bhul nahi paate.

Ek lambi jindgi ek hi pal mein.
Hum ji bhi lete hain aur mar bhi lete hain.

Nahi jante kis rah par chaalain ,
Aise mein ek dost haat thamne
Samne aajaye toh
Jindgi ko ek nayi rah mil jati hai.
Dost

Ek dost ki talash hai.
Jiske kandhe par apna sir rakh sakun.
Jis se do batain kar sakun.
Kya aisa dost pa sakoongi.

Tum mein who sab khubiyan hain,
Jinki mujhe talash hai.

Lakin daarti hoon kuch kahne se .
Bahut dhokhe khayen hain jindgi mein.

Har kadam par aapno ne aur gairon ne loota hai.
Khabi dil chir kar dekh sako toh dekh lena.
Kitne hi zakham.o ke nishan paoje
Raat ke saaye kitne hi lammbe hon,
dhal hi jate hain.
Subha ki roshni unhe
Aapne mein samet hi leti hai.
Dua karo yeh kali raat
Kisi ki bhi jindgi mein naa aaye
Lauta do woh sapne


Lauta do woh sapne, jo sajaye the ek saat.
Tum ne hi toh kaha tha yeh saat hai jivan bhar ka.
beach rah mein tumne saat chho.da kyun

Kaise ji payenge ab hum, tumhare bina.
Tum hi ne toh kaha tha, yeh saanse bhi jo chalti hain.
Tumhare dil mein, vo meri dharkan hai.
Fir in dharkan.no ko satya kyun.

Agar fareb hi karna tha, toh yeh sapna sajaya kyun.
Is dil ko thodh kar, humme intna roolaya kyun.
Aansoo

Jinke aansoo sukh jate hain.
Woh roya nahi karte,
Woh khuli aankhon se.

Aapne armanno ko marta hau.
Dekhte rah jate hain.

Kisi aur ka ghar aa baad ho,
Apni duniya jala kar bhi,
Uss ke liye dua karte hain.
Khawish


Ek hi khawish hai ab baki.
Is duniya se jaane ki.

Na jaane kab puri hogi.
Socha toh bahut kuch tha.
Jindgi mein karne ke liye.
Har kadam par haalat ne.
Kuch hone na diya.

Ab na chaahat rahi hai naa intaazar.
Himmat bhi jawab de chuki hai.
Ab na kahna muskarane keliye
Ab toh uski bhi khawish nahi rahi hai
Hum ne ek deewar aapne charon banayi thi
Socha tha kisi ko girane na denge,

Na jane kab tum aaye , is dil ko choo gaye,
Kab yeh deewar tooti aur hum fisal gaye.

Hum dosh kis ko dein.
Galti humari thi jo,
Hum na sambal sake.

baatain

Har kahani mein koi baat chuphi hoti hai.
Nayi nahi toh purani hoti hai.
Hamari nahi toh tumhari hoti hai.
Jo jis nazar se dekhe, usi ki nishani hoti
Ankhe num na karna

Jab main is duniya se jaoon,
Tum mujhe yaad karke ke.
Apni ankhe num na karna,

Tum par aaye ghum main.
Mar kar bhi na dhek paoongi,

Jo khushion ke pal eik saat bitaye thy.
Unhi yaadon ko aapne paas Sajaye rakhna
Dosti Ka Haqh

Dost kahte thy jo hum ko,
Aaj dosti ka haqh aada kar chalain hain.
Tum par aai maut bhi hum nibha chalain hain,

Garv hoga tumhe eik din is dosti par,
Yeh hi chahat is dil mein saja kar,
Is duniya se hum chalain hain
Waqt ke saat har shakas badal jate hain.
Aapne saaye bhi paraye ho jate hain.

Jo kasme khate hain thy saat nibhane ki.
Root kar vo logon ki bhidh mein kho jate hain.

Kasoor kya tha yeh toh bata dete.
Na chah ne ka rasta dikha dete
Jindgi mein ek acha sathi hona bahut zaroori hai.
Jo tumhe samaj sakke, aur jise tum samaj sako.
Jiske saat hasi ke chandh lamhe beet jayen.
Woh hi jindgi hai.
Jo maut se jayada dard de.tain hain,
Woh hi kyun jindgi ke saat,
Bandhe rahtain hain,

Na hum unhe bhul paate hain.
Na woh bhulne de.tain hain.

Pal pal koi na koi roop lekar.
Samm.ne aate reh te hain.
Aur hum.hari jindgi ko nasoor,
bana de.tain hain
jo zindgee hee mitaa dete hain
unhe kyon har lamha apana dete
zazbaat

Mere zazbaat aaj mere bas mein nahi hain.
Kisi ke zahkam.mo ne inhe kuraed diya hai.
Ankh se ansoo khoon ban kar tapak rahain hain.

Ek chahra

Ek chahra jo ankhon mein basaa hai.
Uss par ek dhul si hai.

Hazaar koshishon ke bawazood,
Dekh nahi pati hoon.

Yeh meri nazar ka dosh haim.
Ya kisi ne chahar aurdh rahki hai
Dil mein Toofan

Sagar mein jitni laherain uthti hain
Usse kai jayada toofan is dil mein hain.
Laherain toh fir bhi thum jati hain.
Is dil ko kaise samjhain.

Waqt ke saat ghum toh kam ho jate hain.
Ghum dene walon ko kaise bhulayen.
Har aahat mujhe darati hai.
Aane wale toofaan ka ehsaas dilati hai.
Dar lagta hai kahin is mein main kho na jayun
Pal ka pyaar

Na jane kab kahan aur kaise.
Ek anjana sa ehaasas is dil ko choo gaya.
Hum ne toh ek deewar banaa rakhi thi.
Vo deewar naa jane kab thod gaya.

Achanak humhe har cheez.
Khubsoorat si lagne lagi.
Pyaar ki lahar har jagah chahne lagi.
Lakin vho sab ek chalawa tha.
Maan ka ek khawab tha.
Jo dil ki ankhon ne toh dekha.

Lakin haqeekat ban. ne se pahle hi.
Khatam ho gaya.
Ek anjana sa pyaar na jane.
Kin rahon mein kho gaya.
Jindhgi ko toofan hai is tareh se gherre.
Kinare toh dikhte hain par ghahre hai andhere.

Leke ek sahara chal padhe they lakin.
Beach bhawar vo chodke kar chale hain.

Toota hai vishwas, ab na karenge kisi par.
Leke yeh gamh duniya se hum chale hain.

Jante hain hum, kishtiyon ko milte nahi kinare.
Ek hum hi nahi bhanwar main aur bhi padhe hain.

Kis ko dhain aawaaz jab shabd hi na rahe.
Intazar hai us ghadi ka jab sanns hi na rahe .

Jaate hua ko awaaz agar de dete.
Hum ek maut toh kya sau maut cho.dh dette.
Armaan

Armaan toh sabhi rakhte hain dil main.
Lekin poore ho yeh zaroori toh nahi.
Hamare bhi armaan the, par waqt ne
Unhe is tarah thod diya hum jaan hi na paye.

Jo sapne sajaye thy woh
toh naa poore ho sake.
Unke diye huve zakhom ko
Aaj bhi hum saat liye phirte hain.

Aab toh humhe sochne se bhi daar lagta hai
Aur tum kahte ho ki hum rasta badal lain.