Tuesday, September 08, 2009

Hum se rasm-e ulfat woh is tarah nibhate hain

Hum se rasm-e ulfat woh is tarah nibhate hain
Hum tou pyaar karte haiN aur woh zulm dhaate hain

Dar badar bhatakte hain thokaren bhi khate hain
Log tub kahin jaa ker manzilon ko paate hain

Is tarah jahaN se hum apna gham chupate hain
Lakh ro raha ho dil phir bhi muskurate hain

Jin se hum ne maangee theen chund lamhon ki Khushiyan
Woh ghamon ki hee saughaat humko deke jaate hain

Kaise bawafa hain woh ghar mire nahiN aate
DoosroN ki galiyon men roz dekhe jate hain

Hum nahiN karam apna jo jatayeN sau sau bar
Hum karam kareN bhi tou kar ke bhool jate hain

Dost is zamane meN Khudgaraz hain ai Nira
Jab bhi koii mushkil ho ghair kaam aate haiN