Monday, May 20, 2013

Kaisa sandesha bheja hai

Chand Taron mein lapet kar
Baharon mein mahak bhar kar
Muhabat ne aaj dilbar
Kaisa sandesha bheja hai
Padh ke choom letee hoon
Choom ke padh letee hoon

Raahon mein palken bichakar
Umeedon ke chiraag jalakar
Dil mein sanam ke halchal machakar
Ankhon mein kaisa khwab bheja hai
Dekh ke jag jatee hoon
Jag ke dekh letee hoon

Awaaz ki meethi sargam sajakar
Bolon ki meethi dhun bana kar
Tan par mere janam
Likh kar Geeton ka
kaisa paigam bheja hai
Soon ke doob jatee hoon
Doob ke suntee jatee hoon

Mehndi haathon par lagwakar
Laal joda pahanawaakar
Haath mein choodi, mathe bindiya
Aaj yeh kaisa shingaar bheja hai
Sharma ke aayeena dekh letee hoon
Ayeena dekh ke sharmaatee hoon

Aaj kya baat hai kis ke pas jatee hoon
Aaj kya baat hai kisee ko pas patee hoon