Friday, April 28, 2006

Yadon ke silsile

Dard ankhon mein ansoo bankar bahta hai.
Dil ko ek zakham de jata hai
Yadon ke silsile chalte rahte hain.

Rook jata hai waqt unn lamho mein.
De jata hai fir ek dhuk.
Rah jate hain hum fir tanha.
Ek bar fir unn viran rahon mein
Asman ko chuna chahti hoon

Aaj ek chidhiya bankar hawa mein
Udhna chahti hoon
Un bulandhiyon ko chuna chahti
Jinki is dil ko chah hai,

Is pedh se uss pedh par jana chahti hoon
Asman ko chuna chahti hoon.

Tumhari ghar ki chaatt par aana chahti hoon
Tumhari khushiyan dekhna chahti hoon.
Un mein shameel hona chahti hoon

Kabhi nazaar aajaun tumhe toh
Band kar lena pinjre mein is chidiya ko
Hogi maharbani tumhari.
Sari umar kaat lete

Jin rah par chalain hi na hon
Dil ki awaaz ko kaise jaan lete,
Koi ishara hi kar dete
Hum jate huwe lamho ko tham lete,
Pyar ka ijhar hi kar dete

Humara chalte huye haat hi tham lete.
Pyaar aapke dil mein hai
Hum ankhon se padh lete
Kuch aisi baat kar jate
Hum sumhari yaado ke sahare
sari umar kaat lete

Thursday, April 20, 2006

Tumhari ek tadap

Tumhari ek tadap ne is kadar humare
Dil ko hilakar rakh diya, hum sochte rah gaye.

Kis tarah beete honge vo pal aap par.
Kis tarah dil ko sambhala hoga

Kis tarah ek ansoo bhahaya hoga.
Aur kis tarah ek ansoo chupaya hoga.

Kash waqt tham jata aur hum aapke saat hote.
Aapke saare ansoo hum aapni ankh mein samait lete.
Aapki zindgi khushiyon se bhar dete.

Jaante hain ki waqt bahut door nikal gaya hai,
Aur faasle bhi bahut hain.

Rab se yehi dua mangte hain ki,
Aapki zindgi main koi gum na aaye
Koi kammi na rahe gaye.

Humare hisse ki khushiyan bhi,
Aapko naseeb ho jayen.

Kabhi aapne aapko akela paa o
Toh door ek sitare ko dekhna.

Ussme aapke liye dua mangte huve
Humhe aapne pass paoge.

Wadda hai aapse zindgi bhar
Ek toot te huae tare ki
Tarah aapka saat nibhayege.
Dedicated to my little sister Arfa

Ek pyaari si guriya hai
Jo sab ke dillon ki chahat hai
Jo aab sab ki jaan hai.
Kal woh sab ki pahchan hai

Aab tak chupa hunar hai usska
Mehndi ki who kalakar hai.
Rang haaton mein bharti hai

Naam pyaar se likhti hai.
Dulhan ko woh savarti hai

Aisi pyaari si yeh bitiya
Ma baba ki woh dulari hai.

Arfa naam hai is guriya ka
Sab se vo nirali hai.

Dil ki baat kah jani hai.

Neend ankon se gayi hai,
Chain dil se gaya hai

Haalaton ne aisi karwat li
Sab tham sa gaya hai.

Pyaar is tarah baichain karta hai
Yeh toh socha hi na tha

Aab toh deir ho gayi hai,
Ek kahani shuroo ho gayi hai.

Tum tak baat pahuchani hai
Dil ki baat kah jani hai.
Mera who bachpan kahan hain

Door ek ghar ke angan mein bachon ki kilkari sunti hoon
unke bachpan mein apna bachpan dhooondti hoon
jo naa jane kahan kho gaya hai.

Ma ka pyaar dhoondti hoon, jisse kho chuki hoon
Who aanchal nahi hai aab, jo har ghum se mujhe bacha sake.

Baba ki danth doondti hoon, jo galti hone par padhti thi.
Woh bahen doondti hoon, jo har toofan se mujhe bacha leti thi.
Jo mera sahara thi.

Mera angan kahan hai, mera who bachpan kahan hain
Koi doond ke lado mere uss bachpan ko.

Monday, April 17, 2006

Hum aisi hasrat hain

Hum aisi hasrat hain
Jisse tum chah kar bhi bhula na paoge

Kabhi gar yad aajaye humari.
Apne hi dil mein jhank lena.
Paa jaoge tasveer humari
Dil ki ankon se chu lena hume yun
Jis tarah ek pankhkhudhi ko choote

Badhi mushkililon se paya hai tumhe
Apne haaton ki lakiron mein
basaya hai tumhe
kudrat se bhi chupaya hai tumhe
apni zindgi banaya hai tumhe

todhna naa aab saat hamara
naa majdhar mein chodh jana
yehi iltaza hai humari.

Wednesday, April 12, 2006

Aapke nishan dhoond rahain hain

Kya aapne bhi kabhi humhe, is kadar yaad kiya hoga.
Kya aapka dil bhi, humare liye tadpa hoga.
Kya aap un rahon par gaye ho ,
Jahan se hum gujarte the kabhi,

Kya unn phoolon ko chua hai.
Jinhe humne mil kar lagaye the.
Kho gaya vo sab, aur rah gayin hain sirf yaadain
Hum aaj bhi unn rahon par akele
Aapke nishan dhoond rahain hain.
Kyun aate ho dene dard ko.

Kyun aate ho dene dard ko.
Kyun le jate ho khushiyon ko.
Sapno ki duniya se hum
Bahar nikal kar aate hain.
Tum fir unmein le jate ho.
Kyun aate ho dard dene ko.

Hum hi nadan hain jo.
Har bar maan lete hain.
Aapse pyaar hai isliye.
Jaan bhi de dete hain.

Waqt tham jata hai humara.
Dil ki dadhkan rook jati hai.
Aapke jane se jan bhi chali jati hai.
Kyun aate ho dard dene ko.
Yeh dost hum tere hi rahenge

Dost mila bhi toh uss waqt jab hum toot chuke the.
Humhe koi apne kareeb,chahiye tha.

Tera aana mere liye vardaan ban gaya
Shayad rab ko bhi taras aagaya

Aab na mange.enge rab se kuch.
Duayon ke roop mein ussene humhe,
Ek farishta baij diya, zindgi ki khushi dedi.

Sanjo kar rakhenge har uss sapnoko,
Jo tumhari ankho se dekhenge.
Yeh dost hum tere hi rahenge
Kahin tum majboor ho toh kahin hum.

Koi bhalaa apni zindgi se bhi rooth sakta hai.
Inhi sawalon mein ulaz kar rah gayen hain.

Ek masoom sa chahra lekar aa jate ho samne.
Apne isi andaaz se lubha jate ho humhe.

Kabhi pyaar toh kabhi gussa aata hai.
Kabhi rone ko g kar jata hai,

Aane ka wada karte ho par aate nahi.
Intazaar ki lambi judai de jate ho.

Kahin tum majboor ho toh kahin hum.
Isliye naraaz bhi naa ho paate hain.
Char din ki khushiyan

Char din ki khushiyan,
zindgi bhar ke
Ansoo ban jate hain
Har sahar sham ban jati hai.
Jis ghadi tumhari yad aati hai.

Hamari mahubaat bewafa nahi hai.
Waqt ke haaton majboor hai.

Kabhi gujro jo is dagar se
Unn ankhon ko dekhna jo pathra gayin hain
Ek nazaar tumhara dedaar pane ko.

Unn sansoo ko mehsoos karna jo
Tham jayin hain is dil mein.
Unn hawa. oon ko chuna,
Jo humse se ho kar gayin hain.

Yahin is rah par ek kabr hai hamari.
Agar bhule se thokar lag jaye toh.
Naraaz naa hona.
Isi bahane se pa jayenge sparsh tumhara,

Kabhi aaye agar yad hamari.
Do phool chadha dena hum par.
Bas itni si hai gujarish hamari.

Friday, April 07, 2006

Kaise honge who pal

Kaise honge who pal,
jab aapko mil jayenge.
Kya apni muskrahat,
Hum chupa payenge

Ek hi pal mein mil jayegi
Jannat
Jis pal tera deedar ho jayega.
Hoga wadaa na kabhi juda hone ka
Ek kasam yeh bhi kha jayenge

Roshan hogi duniya humari
Har chirag yeh kah jayenge.
Kabhi rut te ho toh kabhi maan jate ho.


Kabhi rooth te ho toh kabhi maan jate ho.
Kabhi dikhte ho toh kabhi ankhon se door
Ho jata ho.
Pyaar hai yeh bhi bhul jate ho.

Kaise maan loon tumhari har baat ko
Baaton mein bhi, tum dhokha de jate ho.

Apni aur se toh kahte nahi ho,
Hum hi se kahalwate ho,
Pyaar ki haami humse hi bhar.wate ho

Kaisa yeh pyaar hai, Jo dil mein toh hai
Par zubaan par nahi late ho.

Wednesday, April 05, 2006

Aapki nazzron mein aapna, ashk dekhti hoon
Jab bhi dekhti hoon in mein, pyaar dekhti hoon

Palakon mein chupa lena, dil mein basa lena
Chand pallon ke liye aapna bana lena.

In lamhon ko sambal kar rakhna chahti hoon
In hi mein jina ya marna chahti hoon
Aisa kyun hota hai.

Pass aate aate dil toot jata hai,
Yaar rooth jata hai, haat choot jata hai
Aisa kyun hota hai

Hum pyaar hi ki khatir ji rahe the
Duniya ka har ghum pi rahe the
Har rah par tumhe doond rahe the
Aisa kyun hota hai

Pyaar rooth jata hai, yaar choot jata hai
dil toot jata hai, aisa kyun hota hai

Har ghadi yad aati hai, tumhe pass lati
Sapne dikhati hai, neend utha jati hai,
Aisa kyun hota hai

Pass aate aate dil toot jata hai,
Yaar rooth jata hai, haat choot jata hai
Aisa kyun hota hai