Monday, December 24, 2007

Mera astitva hii miTTaa diyaa?

Mera astitva hii miTTaa diyaa?teri rakhi ka Intazaar aaj bhi hai.

Dil rota hai mera.
Jab tumhaari ankhon main.
Apne liye parayapan.
Dekhta hun main.

Main jaanta hun.
Kaise tumne khud ko.
Mujh se duur kiya hoga.
Dil par pathar rakh liya hoga.
auron ki baaton main.
aagai tum aapii.
Apne bhai ke pyaar ko.
pehchaan na paai aapii.

Par sach mano aapi.
Maine jaan se badh kar.
Chaha tha.
Is rakhi ke dhage ko.
Bhagwan ka vardaan.
Mana tha.
Khud ko khushnaseeb.
Samajha tha.

Lekin rishte ki.
dor thi kamzor.
Waqt aur halaat par.
Kiska tha zor.
Dunyaa kii masroofiiyaat ne.
Chheeen liyaa tumko mujh se.

Main aaj bhi Rab se.
Vinti karta hoon.
Har janam tumhi ko.
Aapii mangta hoon.
Is kalayi ko rakhi ka.
Intazaar Aaj bhi hai.
Aapii teri rakhi ka.
Intazaar aaj bhi hai.

ChehRe

ChehRe pe chahra lagakar jhooti preet jatate hain.
Kis tarah paas bulaa kar dilbar dilko tadapate hain.

Dikhate hain khwab hazaaron sunahre raat o din
Lootkar sapne, ankhon se khooN tapkate hain.

Ek se dil kahan bharta hai harjaaiyoN kaa aaj kal.
Hamree Peeth peeche rang raliyan manate hain.

Wahee phir kabhee mud ke maanne nahee aate.
Jo naaz utha utha ke kabhee roothna sikhate hain.

Ab ham bhee seekh gaye to hairan nahee hote.
Pahale sochte the log ansoo kahan chipate hain.

Masoomiyat ka naqaab chada rakha hai chehre par,
Kaise shiddat se farebi pyaar ki duhayi farnate hain.

Nira Kiski kahani par aitbaar karain bedardi.
Kaise dilfaraib afsane banakar sunate hain,

Deke intzaar dilmein ankhon se ansoo bahata hoga

Deke intzaar dilmein ankhon se ansoo bahata hoga.
Wo aaj bhee ayne se mujhe apana kahata hoga,

Aaj bhee raton ki use jab yaad atee hogee meree,
Chandni raat main usee chand ko dekhta hoga.

Us se mil ke kabhee kabhee rotee thee bahut zyada,
Sawan men bheeg ke us ko yaad karata hoga.

Jin khaton ko apnee gazalon men likha usne,
Un khaton ko aaj kahin kitabon men chipata hoga.

Ab to main jalti nahee hoon chiragon kee tarah,
Bhatakta hoga jab wo tab kaun rah dikhata hoga.

Ap ne khoshboo dekhee par maloom hai ye mujhko.
Phoolon ji saja hoga aur kanton mein lipata hoga.

Aaj bhee meree roohse bandha to hai lekin,
Aaj kisee aur imarat ko wo ghar batata hoga.

Khud ko hee kanha aj kal wo samjhta nahee hai,
Nira ko bhee baraha ab wo meera kahata hoga.

Lakh muskarae nira us ke samne jhooth jhooth,
In palon men chipa ek ek ashq wo padhta hoga.

main nirdosh tha

Ammi ka sapna.
abbu ki mehnat ,
lekar door ek naye desh main.
padh likhkar ek doctor ke vesh main.
chala aya tha kuch kamane,
ammi ,abbu ko unki.
khushiyan lautane.

Ek jazba ek lagan liye ,
insano ke sewa karta raha,
dharm ke adambaro se door.
apne peshe main utarta raha.

varshon jo hath karte rahe.
bimaron ke dekh bhaal ,
aaj wo hath jhulte hai,
hatkadiyon ke bich.
bilkul behaal।

shaq ki ek andhi aye.
Kisne hai yeh Bisaaat bichayee.
ammmi aur abu ke armano ko,
kisne aag laga di.
ek sadharun doctor ko.
Bana diya khuoonkhar atankwaadi

ghar ko lootne lage the
Tv channel.
ammi abboo ke sapne.
bahte the unki ankho se nikal nikal ,
dekhkar Tv ke parde par,
ek kala sach.
unhone janm diya hai.
ek atankwadi ko,
masoomo ke maut ke .
fariyadi ko.
unko namaz padhte waqt.
ye khayal ata tha,
ki khuda kahin to hoga,
fir kynu unko nahi sun pata tha,

shaq ki ek andhi aye.
Kisne hai yeh Bisaaat bichayee.
ammmi aur abu ke armano ko,
kisne aag laga di.
ek sadharun doctor ko.
Bana diya khuoonkhar atankwaadi

ghar ko lootne lage the
Tv channel.
ammi abboo ke sapne.
bahte the unki ankho se nikal nikal ,
dekhkar Tv ke parde par,
ek kala sach.
unhone janm diya hai.
ek atankwadi ko,
masoomo ke maut ke .
fariyadi ko.
unko namaz padhte waqt.
ye khayal ata tha,
ki khuda kahin to hoga,
fir kynu unko nahi sun pata tha,

jillat unko kiski dua se mili.
wo samjh nahi paye.
jidhar dekho patrkar aur prashn kahde the.
wo jayen bhi to kahan jayen.

par aaj bachpan main padi.
savitri aur staywan ke katha yaad atti hai.
jab bhi meri patni dheere se muskurati hai,
aaj usee ke vishwas ke badulat zinda hoon.
main kisi aur se nahi, apne desh aur ,
uske logon se sharminda hoon,

main nirdosh tha jail main sadta raha,
un ajnabi logo ne meri madad ki,
mera gaon aur desh chuchap dekhta raha,
mano unhone meri galti maan lee,

main zindagi ki jang main jeet kar bhi haar gaya.
kynuki meri nazro main khokhala.
apno ka pyaar ho gaya,

na mulla na maulvi.
na pandit na sadhu,
na neta na sewak,
na hero na mashiha,

main till till kar jalta raha,
aur udhta raha akhno ke samne kala dhunwa,
ab ammi abbu badi sawdhani se muskurate hai,
diwali ke jalte patakho se bhi, saham jate hai.

maine jo bhi jhela wo kisi aur ke sath na ho,
main watan paraston se kahta hoon .
ki kam se kam sachche ,
hamwatano ke sath to रहो