Sunday, May 11, 2014

Maa



Maa kaun hoti
kya janam jo deti
wo hi maa hoti hai
kya nau (9) mahine ka garbh
hi maa ka huq dilata hai

yashoda bhi toh maa thi
kanha beta devki ka tha
vo toh maa kahlayi thi
phir aaj jo paalti hai
maa kiyon nahi kehlaati ?

usne bhi toh
geele mein soya hai
bachche ko sookhe
bistar par sulaya hai
khud naa khakar
apne ladle ko khilaya hai

raat raat jag kar
nanhi jaan ko sulaati hai
phir bhi wo
maa kiyon nahi kahlaati ?

mandiron mein dua maangti hai
masjid mein Dua maangti hai
church jaakar prayer bhi karti hai
gurudwaare mein
gurwaani sun kar
salamti ki dua karti hai
maa kyun nahi kahlati?

maa ka darja bhagwan hai
jahan wo nahi wahan maa hai
sab granthon mein
yeh baat batayi hai
maa kyun nahi kehlaati?

phir bhi aaj uspar ungli
uthaai jaati hai
kiyon ek maa ke saamne
pariksha aati hai
kiyon wo apne bachche ki
maa nahi kehlati?