Thursday, March 23, 2006

Meri zindgi mein chale aaye

Aap jab pahle meri zindgi chale aaye
Ek pyaare se aur dilkash andaz mein.
Mujhe is baat ka koi fark nahi tha ki
Aap kaun ho.

Par aab main aapke bina kuch nahi hoon
Jab aapne choo aa mujhe.
Meri duniya hi badal gayi
Meri har dhadkan jag uthi
Mano maine ek naya janam liya ho
Aap meri zindgi mein chale aaye

Aab meri har dadhkan aapko janti hai,
Aapki har saan pahchanti hai.
Har kadam jo aab mere uthete hain.
Soon saan rahon par, aapka haat
Aapki awaaz, aapki takat mera sahara hai.
Aapka sparsh meri adat ban gaya hain

Jab se aap meri zindgi mein aaye ho.
Aapne har dard mera aapna bana liya

Tuesday, March 21, 2006

Tumhare bina

Har cheez adhuri hai,Tumhare bina
Ye zindagi adhuri hai, Tumhare bina
Phoolon mein khushbu, Diyon mein roshni
Sawan ki barish adhuri Tumhare bina

Shingar bin dulhan, Choli bina sari
Shyam bin radha, Ghungru bina payal
Piya bin sajni,chudhi bin kalayi
Maathe ki bindiya adhuri hai,Tumhare bina

Har cheez adhuri hai,Tumhare bina
Ye zindagi adhuri hai, Tumhare bina

Diya bin bati, chand bin chandni,
Veena bin taar, sur bin awaaz,
Door bin patang, saanson ki sargam,
Dil ki dadhkan adhuri hai Tumhare bina

Har cheez adhuri hai,Tumhare bina
Ye zindagi adhuri hai, Tumhare bina
Phoolon mein khushbu, Diyon mein roshni
Sawan ki barish adhuri Tumhare bina

http://media.putfile.com/Tumhare-Bina

Monday, March 20, 2006

Aanchal mein sama na sake

Itni khushiyan na do mujko.
Jo is aanchal mein sama na sake
Itne maat kareeb aao ki,
Ki hum door ja naa saken

Dil ki gahraiyon mein baste ja rahe ho.
Door rahkar bhi pass aa rahe ho.
Dosti ka har farz adaa kar rahe ho.

Kya hoga agar yeh sapna toot jayaga.
Koi ghahra sa sadma humhe lag jayega.
Toot.te ga dil hamara, ansoo bhi bahenge,
Rote huve hum fir bhi yehi kahenge.

Kuch pal hi sahi jo aapne humhe diye.
Ussi mein tamaam umr hum ji liye.

Saturday, March 18, 2006

Mahi meri jind le gaya

Kaddi phool ke vi na,
takya jine mere val,
Jandi veri jind le gaya.

Mudh aaja mahi ve ik veri.
Chadd jawangi mai duniya sari.

Tuur pawangi mai tere naal
Mahi meri jind le gaya

Tuesday, March 14, 2006

Dil dukhaya hai humne aapka

Janti hoon dil dukhaya hai humne aapka
Mere ek shabad ne aapko rulaya hai.

Pyaar mein jina humhe aata nahi.
Duniya ne humhe yehi sikhaya hai.

Dil ko ek deewar mein chunwaya hai.
Lekin aapko hi aapne dil ke kareeb paya hai.

Aapko tadapane ki sazaa hum khud hi soch lenge.
Jitne ansoo aapke bahe hain,
usse jayada hum baha denge.

Waqt gawah rehega is baat ka.
Marne ke baad, agar janam lenge.
Toh rab se aapko hi maang lenge.

Monday, March 13, 2006

Khawabon ki ikk nayi duniye bsaate hain


Waqt ke hathon insaan kitna majboor hai
chahte huwe bhi usko wapas nahi la sakta

choro waqt ko, aao ikk naya itehaas likhte hain
Khawabon ki ikk nayi duniye bsaate hain

Jo dil ko de sakoon, vo yaadain ikhathi kerte hain
Kahin door ja ke, sapno ka ek mahal banate hai

Dil ke gulshan mein, pyar ki kaliyan khilate hain
Zindgi ko ek naye modh pe le jate hain

Raaton mein chand sitaron ki tarah
Appne pyar ki roshni ko door tak phaelate hain

Din mein suraj ki tarah, sabke dilon mein
Pyar ke nishan chodh jate hain

kisi modh pe humien koi alag na kard
Chalo ek doosre mein smaa jate hain

Khawabon ki ikk nayi duniye bsaate hain


Friday, March 10, 2006

Vishwas

Dil ke har ghum ko bhulana chahti hoon
Khul kar samne aana chahti hoon.

Himmat saat nahi deti dil awaaz nahi deta.
Mazboor hum is kadhar hain,
ki koi haat nahi deta.

Chodh diya hai, khud ko mukadhar ke hawale,
chahe jahan le jaye.
Tumhari bhahon ke ghere mein.
ya uss virane, jahan sirf kale saye hon.
Jo is jindgi ka hissa baan chuke hain

Tum par kaise kar loon main vishwas.
Jab khud par hi na raha ho.
Yeh ghadi aap par kitni mushkil hai,
Iska ehsaas mujhse chhuppate ho

Sab ko kushiyen bant.te ho,
Aapne ghumo ko chhupate ho.

Koi aapki ankhon mein jhank na le.
Jhooti khushiyon ko sajate ho.

Naam zubhan par na aaye usska.
Ik nayi kahani roz sunaate ho.
Zindgi maut ban jati hai

Zindgi ek na kiye huve gunnah
Ki sazaa hai.
Jo shuroo toh ho jati
Par khatam nahi hoti

Har pal isme insaan thapdhta rah jata hai
Shabon ke tir dil ko kaise chaidh jate hain,
Koi mujse pooche

Har shabadh ek khanjar chalata hai.
Har lafaj dil chir jata hai.

Zindgi maut ban jati hai.
Par maut hai ki aati nahi.

Friday, March 03, 2006

Yeh gum yeh ansoo

Yeh gum yeh ansoo mere,
Jina ka sahara hain,
Inhe mujse alag na karna

Agar yeh bhi na rahin toh,
Hum toh mar hi jayenge

khushiyon ne toh hamara,
Daman chooya hi nahi

Sirf inhi se dosti ki hai
Inhika saat paya hai, aur jante hai
Yeh hamara saat akhri waqt tak nibhayenge.
Tamanayen

Tamanayen toh sabhi raktain dil main,
Puri hon yeh zaroori toh nahi
Yeh hum bhi jante hain.

Fir bhi humne ek tamana ki hai
Tumhe apni zindgi banana ki.
Yeh jante hua ki isme bhi dil toot jate hain.