Sunday, August 26, 2012

Maut Tu Itani Khudgarj Kyun hai?


This poem is written by me (Nira Rajpal) in 2007 and posted in Shayarfamily on sept 21st 2007

Friends aapke samne ek aor sachai ke khayal lekar pesh huyi hoon. Aaj muje is nazm ko ek sampooran roop dene mein muje Vinu ji ka saath mila hai. dilse aapka shukrira adaa karti hoon is marg darshan keliye. aap sab ki rai ka intazaar rahega. shukriya.
nira

Maut Tu Itani Khudgarj Kyun hai???

maa ka
Aanchal bheega kyun hai
baap ke kandhe tute kynu hai
masoom se ye bachche roothe kynu hai
ye to bata inke hasne main harz kynu hai
Maut tu itni khudgarz kyun hai

Dulhan ki hatheli par
Mehndi ka rang hai
Sajan sang abhi kheli holi nahi
fir ye masoom chehra
kaisa badrang hai
inn bheege ankhon main
mamta ke sapneka farz kyun hai
Maut tu itni khudgarz kyun hai

Ek kahar dhaah jati ho
Jis ghar main aajati ho
Na umr ki parwah hai tujko
Naa rishton se lajati ho 
tumko kya maloom

kya sitam dhahata hai
kitno dil dhukhata hai 

ye Akhri safar sab par

tu jiski dawa hai wo marz kyun hai
maut tu itani khudgarj kyun hai ,

Aansoo ki baunchaar mein 
Man geela hota hai
Dil mein dekha sapna
adhoora rahta hai
Achanak jab koi tera
hamsafar banta hai
jane wale tera hath 

pakad chale jate hai
ham unke liye rote pachtate hai
shayad tere pyaar main dam bahut  hai

sab ka pyaar thukra kar
tujhmein sama jate hai 

soch main padh jati hoon
logon ka dard dekhoon 
ya teri sachchai ko
ya chup rahoon
main baar-baar sochati hoon
tujhe khudgarj kahoon
ya na kahoon?? 

Nira

bhid mein nikloge kaise zara itna baata do


bhid mein nikloge kaise zara itna baata do
kaun thamega tera haath zara itna bataa do

hai nafroton ki aag zamane mein lagi huyi
kaun bujayega yeh aag zara itna bataa do

karte hain ibadat khuda ke bande subha sham
kaise karte hain katle aam zara itna bataa do

muhabat ghar hai khuda kahta hai zamana
kaise toota yeh tera ghar zara itna bata do

shub o sham inntazare ghum mein dhal gayi
kaise beete hijr ki raat zara itna bataa do

jo karam karte vo ehsaan bhi jata dete hain
kis nakab mein chippa julm zara itna bataa do

Kaise pathar se dil laga baithe,


Kaise pathar se dil laga baithe,

Kaise pathar se dil laga baithe,
Kaise khud ko daag laga baithe.
Log daman bachakar chalte the.
Hum daman mein aag laga baithe

Waadon pe aitbar kiya,
chaahat ne Majboor kiya.
chaahat ka Rang laga baithe.
Dilke haaton khudko loota baithe.

Chakor ki tarah chandko chaah baithe
Khawishon ke deep dil mein jaga baithe.
Amawas ki raat jalaya poonam ka diya
Kaise pathar se dil laga baithe,