Wednesday, May 09, 2007

Gumnamiyon mein kho gaye kaise.

Meri chahaat mein kami naa thi
Ibaadat mein bhi kami naa thi
Tumahare wade bhi jhoote naa the
Fir rishte mein doori aa gayi kaise

Char din ki hi toh baat thi
Tumhe bepanaah muhabat thi
Fir yeh badal chaa gaye kaise
Meri duniya murzaa gayi kaise .

Sawan ne toh bahar khilayi thi
Har aor khushiyan failayi thi
Hum par bhi khushali chahyi thi
Bagiya dil ki  ujhad gayi kaise

Ek choti si hi tamanna thi
Har deewar toot chuki thi
Is mod par saath chaha tha
Khwaish meri tabhah ho gayi kaise

Jeeneki asha choor di thi
Zindgi dorahe par khadi thi
Kyun umeedein dilayi thi
Beach safar chor gaye kaise

Baharon ka pata bataya tha
Naya sapne sajaaye the
Zindgi mein diye jalaye the
Gumnamiyon mein kho gaye kaise.
Aaj yeh kaisi rut badli

Aaj yeh kaisi rut badli
Kaisi ghanghor ghatta chahyi
Kale badalon ko saath lekar
Andhi meri aor kaisi aayi

Loot liye armaan sab mere
Cheen liya sakoon dilka
Dedi dozakh ki zindgi
Bankar kaisi yeh bahaar aayi.

Laharon ki mauzon par
Kisne yeh patwar chalayi
Meetta ke lakeerain taqdeer ki
Muje kaise yeh rulane aayi

Sapno ka khandhar ban gaya
Ankhon mein lahoo bhar diya
Dilki dhakan thod kar sanam
Saanse meri jaan par ban aayi.
Khanzar ki dhaar aaj humne dekh li

Muhabat ki sab rangat dekh li.
Dil todhne ke sab harkat dekh li.
Cheen lee dillse dadkan kuch is tarah
Dard mein jalne kee aag dekh li

Askh chalkege tumari yaad mein
Jazbaat machalenge tadapkar
Tootkar chahat ke andaaz sanam
Aaj kaise marenge raah dekh li

Pyaar mein kabhi palat kar bulate
Har gham yunhi apne seene mein
Sabki nazron se chuppa late.
Aaj Lut jane ki nazaakat dekh li

Dukhaya hai is kadar man ko
Sazaa dain bhi jaanam magar
Jan te hain lahoo mera hi bahega
Khanzar ki dhaar aaj humne dekh li

Uth gaya hai aitbaar jahaan se sathi
Meett gayin hain sari tamannayen
Kho jayengi sari hasratain khakh mein
Chahaat ko rakh hote dekh li
Saajan mera kaise root gaya

Waqt kahan le gaya tumhe
Har kona khali kar gaya
Mere armaan kuchal gaye
Mera jahaan loot gaya
Saajan mera kaise root gaya

Kitne vishwas se haat thama
Apne dil mein ghar diya
Kal ki ho toh baat thi
Sapna kaise toot gaya
Saajan mera kaise root gaya

Bich bhawar mein naav
Kaise dilbar dubo gaya
Taaron ki chamakti roshni
Mera chand kahan kho gaya
Saajan mera kaise root gaya

Ashkon ki barish ankhon mein
Lahoo ki tarah bhar gaya.
Cheen kar mere dil ka chain
Khud such ki neend so gaya
Saajan mera kaise root gaya