Sunday, February 25, 2007

For tina

Ek saal aur beet gaya
Tumhe kuch achi baatain,
Kuch buri baatain samjha gaya.

Kisi ko yaad rakha dil main
Kisi ko dilse meetta gaya
Kahin toh khushiya di isne
Kahin dil mein sawan barsa gaya.

Kuch palon ki dosti huyi thi tumse
Jeevan ka rishta bana gaya.
Kuch soch kar tumhe
Is dharti par laya gaya.

Pyaar ki charon aor kami thi
Khushbu se yeh bagiya ko maheka gaya,
Tum timtimati asha ki kiran ho
Tumhe ismein sajaya gaya.

Aane wala saal naye sapne
Tumhari ankhon basa gaya
Kuch raston par ruk jao bhi
Beeta waqt agar yaad gaya.
Khushiyon tumpar bharsa gaya

Chahti thi kuch chand kuch sitare
Tumhare anchal mein bhar doon
Tumhare sare sapne poore kar doon
Dhair sare tohfon se saja doon.

Tmuhari hasi ek jhaunka hai
Tumhari muskaan ko chamka gaya
Tum khud pyaar ka dariya ho
Tum mein sakhi ka roop paya gaya.

“Nira” Rab ki dua ke siway kya degi
Tmuhari jholiko inhise sajaya gaya

No comments:

Post a Comment