Sunday, February 25, 2007

Aaj meri tamana tum puri kardo

Aaj hume dewaana kardo
Apna pyaar dil mein bhardo......
Badhi koi cheez mangi nahi hai
Aaj meri tamana tum puri kardo

Choti si fariyaad lekar
Maa Tere darbaar mein aaii hoon.
Kuch man mein aas bhi laii hoon.
Aaj yehi aas tum puri kardo.
Mare vishwas ki jholi bhardo

Khali haat naa jayoongi,
Jo maanga hai so payoongi
Hukuum tera hi chalta hai
Milan bhi tu hi karati hai,
Sapna tu hi dikhati hai

Sare kaam hi tumse hain.
Inke anjaam bhi tumse hain
Yahan par tum hi toh layi ho.
Pyaar ki jot tumhi jagayi ho.

Daar muje kis baat ka hai.
Saath jo tumne nibhaya hai.
Aasta tujse hi paayi hai.
Pyaar ki jot tumhi ne jagayi hai
Maa tujse hi lo lagayi huyi hai.

Mere dil me basti ho tum
Har mushkilo se tune bachaya hai
Har mannateN puri ki tu ne
Ek maa hone ka ehsaas dilaya hai
Aaj meri tamana tum puri kardo

No comments:

Post a Comment