Friday, May 05, 2006

Kiski yeh tasveer ho tum

Yeh jhuki jhuki si palaken
Bin kahe bahut kuch kah jati hain
Hoton ki yeh muskarahat dil ko choo,
Kar jati hai.
Chahre ki ye lali dilkash adaa dikhlati hai
Gore rang par kala til madhosh hume,
Kar jata hai.
Kiski yeh tasveer ho tum

Bin dekhe hum mar mithe hain
Dekhenge toh kya hoga
Kya in zulfon ko sawar paange
Unn hathon ko tham paange.
In zeel si nili ankhon mein khud.
Dekh paange
Kiski yeh tasveer ho tum

Kuch toh kaho ye jaanemaan
Ek bar bahar nikal aao.
Apni ek jalak se tum is dil ko
Karar de jao.
Ik adhura khwaab
suljha jao
Mere paas toh aab tum aa jao
Kiski yeh tasveer ho tum
Ruth aati jati hai.

Mausam badalte hain ruth aati jaati hai
Kahin phool dikhte hai toh, kahin patjhad hoti hai
Garmi ke mausam mein ghar ki chath
Yad aati hai.
Sawan mein zoolon ki yad satati hai.
Ruth aati jati hai.

Pahadhon par barfily fizayen dikhti hain
Baghon mein haryali muskaan failati hai.
Har mausam mein ek alag masti
Ka mela hota hai.
Waqt gujarta hai, sal beetain hain
Har ruth mein hum unke sath chalte hain
Ruth aati jati hai.
Ae chanda aaj ki raat yahin tahar jana

Ae chanda aaj ki raat yahin tahar jana.
Taron ko bhi sath le aana.
Aaj unse milne ki raat hai.
Ghawah rahna is mulakatka ka.
Jab hum door ho jayen kabhi
Tab dil ka sandesh suna aana

Chahe rasta lamba ho ya,
Desh begana
Par humse door naa jana.
Ae chand aaj yahin tahar jana.

Likhenge khat agar sunayenge tumhe.
Dilki baat un tak pahucha aana.
Ae chand aaj yahin thahar jana