Tuesday, April 10, 2007

Kyun meri saanson ki khushbu

Kyun meri saanson ki khushbu
Tum thak paunch nahi pati.

Kyun meri ankhon ki roshni
Tumhara dil nahi jagmagati

Kyun mere dil ki dadkan
Tumhe dastan nahi sunati

Kyun raaton ki khamoshi
Tumhe meri yaad nahi dilate

Kyun sawan ki haseen sham
Pyaar ke jhoole nahi jhoolati

Kyum barish ki pahli boond
Tumhe mere saath nahi bhigoti

kyuN khamosh hai saanse tumhari
"Nira" yaadon me aansu nahi bahati
Jeevan ka rishta bana gaya.

Ek saal aur beet gaya
Tumhe kuch achi baatain,
Kuch buri baatain samjha gaya.
Kisi ko yaad rakha dil main
Kisi ko dilse meetta gaya

Kahin toh khushiya di isne
Kahin dil mein sawan barsa gaya.
Kuch palon ki dosti huyi thi tumse
Jeevan ka rishta bana gaya.
Kuch soch kar hi tumhe
Is dharti par laya hoga

Pyaar ki charon aor kami thi
Khushbu se yeh bagiya suni thi,
Tumhi asha ki kiran thi.
Ismein tumhe sajaya gaya.
Aane wale saalon mein
Kuch nayi manzilain milengi
Kuch naye raste tay karne honge.

Zindgi khushiyon se bhari hogi
Chahti thi kuch chand kuch sitare
Tumhare anchal mein bhar doon
Tumhare sare sapne poore kar doon
Dhair sare tohfon se saja doon.

Tmuhari hasi ek khushi hai
Tumhari muskurahat chandni hai
Tum khud pyaar ka dariya ho.
Meri sakhi meri saheli ho
“Nira” Rab ki dua ke siway kya degi
Tmuhari jholi inhise bhar degi
Kuch pal tum mein jeena chahti hoon

Zindgi aapke ansooyon mein doobona chahti hoon..
Kuch pal tum mein jeena chahti hoon

Jag jaag ke kaatiin hai.n kayi kayii rate.n ..
Aab sakoo.n se sonaa chahtii hoo.n

Waqt ne raahon mein kannte diye hain –
Un mein phool bonna chahti hoon

Ek ek pal main terii hazaro.n yade.n judii hain..
Un yado.n main khud ko khonaa chahtii hoo.n

Tanhaahi ki khamoshi aab sahi nahi jati-
Ek ghoon gunahat dil mein bharna chahtti hoon

Pairon mein padhi thi zanzirain.

Kisi ne seekhayi nahi yeh batain.
Pyaar mein beetengi kaisi ratain

Kaise sajan se hogi mualakatain..
Kaise barsegi pyaar ki barsatain

Seep mein bandh dilki dhakan.
Kaise ghoonjengi dil ki awaazain

Pairon mein padhi thi zanzirain..
Kaise chankegi man ki jhangrain

Kudrat se mang liya ibadat mein sanam
Kaise milengi ajnabiyon ki taqdiraiN

Kon jane kaise uski mohabbat main
GooNj uthi hain ye tehreeraiN

Kitna Kushgawar hoga wo lamha
Milengi do haathon ki jab lakirainN
Muje bhi kisi ne zindgi banaya hai.

Yeh din har ek ki zindgi mein aata
Jab use manchaha var mil jata hai.
Aaj maine bhi woh din paaya hai
Muje bhi kisi ne zindgi banaya hai.

Rahain hamari ek ho gayin hain
Dil mein diyon ki roshni jali hai
har raat kuch ab chahta hai man
Muddat ke baad kaun see hawa chalee hai

Ankhon mein sapane tumare hai
Humare sab ehsaas bhi tumare hai
Chooaa hai dhakanoko nighayon se
ab dil ke sabhee kone bahut pyare hain

Har shararat kar gujrenge yeh humdam
Chudiyan tootengi kuch kangan khankegen
Chahre ki lali aaj sare bhed khol jayegi
mere badan pe ahzar chand chamkenge

Pyaar ke geeton ka samgam hai
Muhabat mein lut jane ka irada hai
Sawariya se sajne ki chahaat hai
Saat vachan jeene ka “Nira” wada hai
Aaj fir woh din aaya hai

Aaj fir woh din aaya hai
Kisine abhi kuch kho hai
Toh kisine kuch paya hai
Sadiyon se yeh hi hota aaya hai.

Kahin ek chitaa jali hai
Toh kahin naya balak
Dhair sari khushiyan laya hai.
Sab ke dil par chaya hai.

Aiasa hi ek manhoos din
Muje na bhul paya hai.
Muj par se mera saaye
Kudrat ne meetaya hai

Maa ka laad chudhaya hai
Anchal ka saaya gawaya hai
Maa Sadiyon ka khalipan
Meri jholi mein bhar aaya hai

Teri yaadon ka khazana hai
Teri loriyon ki dorr hai
Tera muskurat se khila chahra
Yeh hi toh mera sarmaya hai.

Mujse mere adhikaar naa cheeno

Maana ki sampooran nahi hoon
tannse bhi kuch kamzor hoon mein
Swabhimaan ki takat hai muj mein
Zindgi ne yehi muje seekhaya hai

Jo tum kar sakte ho jug mein
Main bhi sab kar sakta hoon
Har manzil ko choo sakta hoon
Muj mein bhi woh shakti hai

Meri nahi halaat ki majboori hai
Tum kaho toh sabit kar sakta hoon
Mujse mere adhikaar naa cheeno.
Kudrat se bhi ladd sakta hoon

Muj mein agar kaami bhi hai.
Fir bhi sambhaalna aata hai
Apna karna aata hai sab ko
Waqt bhi kal jhook jata hai

Jeetni hai maine shaanse duniya
Naam amar kar ke jana hai
Tumse jo naa ban sakka agarche
Vo kaam muje kar jana hai

Maharbani nahi karna muje par
Haq dharti par mera bhi hai
Paya hai jo tumne jahan mein
Uss par aab adhikar mera bhi hai.
Zindgi har kadam par imtihaan leti hai

Zindgi har kadam par imtihaan leti hai
Do pal ki kushiyan dekar rula deti hai

Phool khilati hai, umeedon ki roshni deti hai
Do hi pal mein naumeedi dikha deti hai

Dilki dadkan, pyaar ke chiraag bujha deti hai
Andheron mein kohra beechha deti hai.

Kudrat haat pakad manzil tak lati hai
Kismat Do pal mein zamin dikha deti hai

Gila kise nahi yeh kismet dagaa deti hai
Khwab sajati hai dil mein, todh bhi deti hai

Jhook toh jayen, tumhari chahaat kahti hai.
Do hi pal tumhe, hume duur bhi kar deti hai.

Sahan karni hogi judai, kasak deti hai
Tadap kar”nira” raat gujar deti hai

Sunhaire rang ki chunar odhi li hai saman

Jeevan kis mod par leja raha hai nahi janti
Ek sapna sa ankhon mein bhar kar chal padhi hoon
Manzil kahan hai thikhana kahan hai nahi janti.

Chahaat ki seedi par paanv toh rakh diye hain
Sunhaire rang ki chunar odhi li hai saman
Kismet muje kahan kahan lejaya nahi janti.

Sawan ke jhoole sajaliye hain pedhon par
Barish ki doonde tann ko bhigo rahi hain
Tamannayen puri bhi hongi nahi janti.

Palakon mein tumko basa liya hai
Pyaar mein khud ko doobo diya hai
Zindgi ki yeh shaam haseen hogi nahi janti

Chota sa gharondha bana liya tere sangh
Khawabon ki naav utar di hai samudar mein
Sahill paa bhi jayoongi yeh nahi janti

Ankhen bahut chotee hain sapne bahut bade
Sochtee hoon ankhon men inko bhare bhare .
Kay sach hai kya sochtee hoon nahee jantee

Kaun bada hai neera ka neer ya sapno kee tahreer
Kaun zyada hai kaun kam nahee jantee
Tumahree kasam main nahee jantee
Rishton ka barosa nahi raha

Dil ko bekaraar karna hoga.
Ishq mein takraar karna hoga

Lamah lamah zindgi ka
Bas intazaar karna hoga.

Rishton ka barosa nahi raha
Chahaat ko inkaar karna hoga

Vishwas tha tun par bahut
Dil tootne ka intazaar karna hoga

Gam ke badal beshumaar hai...
Saanson ko gamkhwaar karna hoga

Zakham diye khaksaar ne itne
Rooh ko bazaar karna hoga

Pyaar mein badhi peedha hai
“Nira”Sahan baar baar karna hoga
Kisine dobara dilko dastak di hai.

Dil mein ki lahar si uthi hai
Kisine dobara dilko dastak di hai.

Jaga diye hain armaan dilke
Ek ghoonj si maan ko di hai

Beeta pal fir se laut aaya hai
Milan ki chahaat bhada di hai.

Dekhte hi hosh na kho jaye
Sambhalne ki himmat di hai

Aaj bhar lenge aanchal pyaarse
Kudrat se anmol gari di hai

Pyaar ne jeena sikha diya hamko
Chahaat mein jaan luta di hai

Hone na denge nazaaron se aujhal
“Nira” Wadadon ki kasam di hai
Naffrat mili humme is tarah

Naffrat mili humme is tarah
Pyaar karna bhul gaye.

Dhokhe diye har mod par
Aitbar karna bhul gaye

Zakham paye aise dil par
Marham lagana bhul gaye

Khawab todh diye zalim ne
Hum raat sona bhul gaye

Juadai aayi bahut lambii
Milan ki gari bhul gaye

Waqt aaya maut ka “Nira”
Kyun tumko naa bhul gaye
Zindgi ek paheli hai

Zindgi ek paheli hai
Kabhi khushi toh kabhi
Ghum ki saheli hai.
Dikhati raah pyaar ki hai
Tadap bhi de jati hai
Kabhi toh yeh sapne dikhati hai
Kabhi unko hi cheen jati hai.
Zindgi ajeeb paheli hai
Vo teri nahi meri saheli hai

Kabhi yeh nagme sajati hai
Kabhi awaaz hi le jati hai
Kisiko chalna seekhati hai
Kisikee baisakhi le jati hai.
Kisiko aulad se nawazti hai
Kisiko be-aulad kar jati hai.
Zindgi ajeeb paheli hai

Kabhi vo asmaan par bithati hai
Kabhi dharti hi cheen jati hai
Zindgi hai toh saanse chalti hai
Thum jaye toh maut de jati hai
Agar ajj ek raah bandh ki hai
Toh kal doosri khol jati hai.
zindgi bahut kuch de jatti hai
kabhi bahut kuch cheen jati hai.
Zindgi ajeeb paheli hai
Nira yeh ghum aor khushi ki Saheli hai
Koi bedard humko yaad aane laga hai.

Bedardi ka aalaam ab chhaane laga hai.
Koi bedard humko yaad aane laga hai.

Ankhon mein bharke sailab ashkon ka
Woh humse duur jane laga hai.

Kudrat ka nazaara ab dekho toh
Waqt kaise din dikhane laga hai

Saat vachan kya nibhayega sanam
lege ab Pahla hi toot jane laga hai

DeewanoN ki tarha basaya tha dil meiN.
Vo tasarvoor bhi dhoondlane laga hai

Kashti doobo kar samundar meiN 'Nira'
Mazaa unko jaane kyuiN aane laga hai.