Friday, July 13, 2007

Aaj tum khwabon ko sajaane chale aao

Barasat ka intzar na karo maree palakon ke neeche chale ayo.
Bewaqt ke asnssoyon ki jhadi bhar di judai ne.
Aaj tum bhi is mein khud ko beegone chale aao.

Muhabaton ki waddiyon mein muskurane chale aao
Chand raaton ke khwab sajaaye the saath milkar
Aaj tum khwabon ko sajaane chale aao

Mahndi ki rangat bulaye tum chale aao
Mudatt se intazaar hai koi manng bhare sanam
meri sooni maang ko sajaane chale aao........

sooni aankhe kabse tumhari rah takti hain chale aao
zindgi ke sare paimane toot.te nazaar aate hain
tum apne hoonth mere honto se lagane chale aao......

Sawan ke jhoole padhe hain jhoolane chale aao
Har rutt pathjhad, har rahain viraan hain
zindgi bich raah ruk gayi hai, saath nibhane chale aao

Ankhen bheegoti hai

Dard mein jeeti hai,
Ashkon ko piti hai
Muskurat honton par,
Lahoo se sinchti hai

Purane pannon mein,
Dhoondly tasveer
Unhi mein marti,
Unhi mein jeeti hai

Nikal aao unn yaadon se,
Bahut dard deti hai,
Chanda ke liye aaj bhi
Chakor har raat
Ankhen bheegoti hai.

Kastoori ki tatap mein
Mrignayni dar dar bhatke.
Nahi janti murakh
Khushbu usmein basti hai

Haath thamna chahta hoon

Pyaar ke yeh khubsoorat
Pal tumhare saath
Beetana chatta hoon
Aaj ka din yaadgaar
Banana chahta hoon

Subha jab ankh khule
Phoolon se swagat ho
Nahakar jab niklo toh
Chandan ki khushbu
Bharna chahta hoon

Ek lambiiiii si gaaddi
chote se safar kee tayaree
Duur subha ke nazaare
Dekhana chahta hoon
Subha ki lali main khila
Tumhara chehra haaton se
Choona chahta hoon.

Raat ke timtimate tare
Bahti nadi ka pani.
Paavn ko choota rahe
Uss thande pani mein
Tumse lipatna chahta hoon.

Chandni raat mein aaj
Tumse kuch mangna
Chahta hoon.
Zindgi bhar ke liye
Haath thamna chahta hoon

Kya tun bhi yeh wada dete ho

muje tum apna mante ho
tumhara pyaar kam nahi
har waqt imtihaan sanam
Apne pyraar se dete ho

udaas ho jayoon tham lete ho
Chahre ke aansoo khud pi lete ho
hamesha saath rahna
Har jagah janaat bane dete ho

Tumhare aane se milta noor in ankhonko
Muskuraa uthte lab jab saath dete ho
chaahe raah kitni mushkil ho
Sab dard meeta dete ho

jis tarah choomte ho acha lagta
Jis tarah agosh mein tham lete
tumhare choona acha lagta
Raat yunhi beeta dete ho

tumhara hasana acha lagta
Bina karaan chahna acha lagta
janti hoon bahut pyaar karte ho
Giroon toh tham lete ho

bas itna jaan lo janaam
chahe kitna bhi ladhoon tumse
Pyaar sada tumhe hi karoongi
Kya tun bhi yeh wada dete ho
Kafan khud jal utha

Kafan khud Jal uthha
Logone dard hadh se badha diya
Aaj waqt ne insaan ko khudgarz bana diya
Dekh dekh ke gunaah duniya mein
Aaj khuda bhi sharmaa utha
Kafan khud jal utha.

Jis baat ka usse daar tha
Aaj toofan badkar samne aa gaya
Noch liya jisko bhi apna samajha.
Jeewan Jahanaam bana diya.
Masoom ki haalat dekh
Khuda bhi khoon ro utha
Kafan khud jal utha,

Khudgarzi main kabhi
Bhik jati hai izzaat
Kabhi majboori mein khudko
Bikne par ho jati majboor
Dekhkar bebasi insaan ki
Taar taar vo ho utha
Kafan khud jal utha.

Leti hai woh chitaa par
Bachon ki cheekh sunti
Marne ka ghum nahi unko
Jagir ka hisse kahin kum hai
Khanda dena beta bhool utha
dekhkar
Kafan khud jal utha
Mehfil

Humse muh modh mehfil mein muskuraye ja rahe hain
Jane vo kunase gumm hasi se chippaye ja rahe hain

Anjane zakham dilpe sitam dhaaye ja rahe hain
Chahaat baadli hai. nafraat khud se chippaye ja rahe hain

Nazaar mein basi tasveer, ansoowo se dhoye jaa rahe hain
Honton par naam hai, kasmo mein chippaye ja rahe hain

Duayon mein manga sanam, nazaren bachaye ja rahe hain
Hasrate bepanah, janazhe mein chippaye ja rahe hain.

Aarmano ki chitta, dhooyain mein udhaye jaa rahe hain
Humse dil ka rishta, Jamane se chippaye ja rahe hain

Humse muh modh mehfil mein muskuraye rahe hain
Bahut kuch dil mein, sanam chippaye ja rahe hain
Mili jo hamko sazaa utneto ham gunahgaar nahi

Hum gar masoom nahi,toh bhi khatawaar nahi
Mili jo hamko sazaa utneto ham gunahgaar nahi

Chahaat thi jinki, rakha tha dil mein jinko,
Aaj woh kahte hain, humko tumse piyaar nahi

Milneki tamanna mein jinki jeete hain raat o din
Aaj unki nazroon mein jhalkta kahin pyaar nahi

laker kuin chooda hai beech anjan rahonper
Aise woh jate hain jaise ab dildaar nahi

Aahain doobi aanso mein jeenabhi dushwar hua
Tadapti in aahon ka mano woh zimmedar nahi

Kal thak jo qasmein khate the jeene marneki
Aaj woh pyaar ka kerte kuch izhaar nahi

Choodo in batonko azaad kia her bandhanse
Jis raah par tum jao is ki rahwaar nahi
Bezubaan

Shabdon ne saath naa diya is bezubaan ko
Dil ki hasroton ne paya mukaan bezubaan banker

Apne begane ka koyee ilm nahee tha...
duniya kee ho gayee pahchan bezuban ban kar

hazar zubanon kee ladayaee rahtee thee hamesha..
sab ban gaye hamzuban bezuban ban kar

chahto ko naa badha.o is tarah humnaseen
kuch kahe bina ruksat ho jayen bezuban bankar

dilki dadkan ko dadakne do kuch is tarah .
khud hi samajh jaye hum zuban ban kar

dil kee baat kabhee kahee hee nahee hame..
pahuch gaye aaj shamshan bezuban ban kar

dil ki hasroton ne paya mukaan be zubaan bankar
ahsaas ko mil gayee zuban bezuban ban kar

Muje kaunsa sandesh soona rahe hain

Yeh kale badal kyun gadgada rahe hain
Mere dil par kyun mandra rahe hain
Dard ho raha hai is tarah mano
Bijli ke taar dil ko chooye ja rahe hain

Ghargarahat yeh kaisi badh gayi hai
Muje kaunsa sandesh soona rahe hain
Darrr ke marre main simat rahi hunn
Kyun mujhe is kadar tadapa rahe hain

Barsaat bhi kehar dhaa rahi hai
Har aor boonde barsa rahi hai
Meri ankho ko bhi na baksha isne
Aaj muje is kadar kyun rula rahe hain

Pehle bhi bijli chamki thi sanam,
Badal garje the barish huyi thi humdum
Pehle tanha nahi thi saath they hum tum
Yeh barish tumhari yaad dila rahe hain

Wo baat thodi purani, bisree ek kahani hai
Sawan phir se ayya hai, paas nahi ho tum
Kal ka bhigna bhi yaad hai mujko
Aaj tanhaayi ke pal tadapa rahe hain

Tum mein simat jana yaad hai mujko
Jab tum ne mera haat thaama thaa
Aaj vo lamhe dil sulgaa rahe hain
Yaad purani dila, badan dhekkha rahe hain

Aaj hum kale badlon main ghirain hain.
Gila badan liye baarish main tanha khade hain
Tamanna hai yeh baaris raakh karr dey muje
teri yaad mein behte aasnu, chingari bujha rahe hain
Pyaar ke phoolon ka nazaara hoga

Dosti main darar ho gayi
Bin bole hi takaar ho gayi
Naa gila kiya naa shikwa
zindagi meri khaar hogai

Kaha tha Milan do janamo ka hai
zehan main ye baat ghar kar gai
hoga ghar chaand sitaaron main
yeh baat zindagi ko araam kar gayi


jahaan koi usul na honge..
sirf hum tum aur pyaar hoga
sapnon ki ek duniya hogi..
pyaar bhara sansaar hoga

Iss baar tum duur naa jate
Ek pyaar ka tazmahal hum
Milkar hum banate.
Jis mein makbara naa hota
Pyaar ke phoolon ka nazaara hoga

Khushiyan darwaaze par aake laut jati hain

Khushiyan darwaaze par aake laut jati hain
Judai ke gham, raat ki tanhaayi de jate hain

Sab ka dil thodne ka hunar rakhte ho
Humse humari yaadain bhi cheen jate hain

Jee bhar ke chaha, tum mein khud ko paya.
Thodhi si khata ki sazaaye maut de jate hain.

Chahaat mein khud ko nichawar kiya tha
Pyaar mein dard, tadap aor ghuttan de jate hain

Khatagawaar hokar bhi ilzaam dete hain
Muhaabat main dil kaise thod jate hain

Zindgi bhar jis gari ka dilne intazaar kiya
Rukhsat –e-din deedaar de jate hain

Rakhna chahre par safed chaddar it tarah
Intazaar mein ankhen kaise pathra jate hain

Hawaya o akhri bar mohe sajan se milana
dekho pyaar ke do pal kaise saath jate hain.
Janta hoon aapka sapna hoon.

Main aaj duniya mein aaya hoon
Sambhal lo mujhko bahut naazuk hoon
Muje se toh abhi kuch nahi hoga

Aap mari mama ho muje dhair sara pyaar do
Jab royoon toh samjho muje bhook lagi hai.
Aapko mare isharon ko samajhna hoga.

Main bahut bebass hoon abhi mama
Muje nazukta se sanjona hoga
Muje aapko hi badha karne hoga.

Janta hoon aapka sapna hoon.
Dair se aaya hoon par aapka apna hoon.
Apne sapne ko dheere dheere sajana hoga

Aaj jo mere chote chote haat hain
Inko aaista thamna mjue chalna seekhana
Meri kilkariyon ke sangh hasna hoga..

Jab so naa sakoon muje loriyan sunana
Baatain bhi kahan karni aati hain abhi
Meri totlli zuban ko samajhna hoga

Muje anchaal ke saaye mein rakhna
Har sard hawayon se muje bachana hoga
Muje apne seene se lagana hoga.

baad muddat ke duniya mein laaya gaya hoon...
Aaj hi jholi mein teri bheja gaya hoon
sambhal lo mujhko bahut naazuk hoon
Jeewan ko patwar diya.

Ek din kisine dastak di
Muje apne ghar bulaya
Sabse mera parichay karaya.
Muje ek pariwar diya

Dheere dheere roz dost
Badhne lage pyaar badhne laga
Har din ek nayi subha laya
Jeewan ko patwar diya.

Kahin dukh ki ghazal mili
Kahin pyaar ki khushi dekhi
Kisi ki kahin doli uthi
Kisi ko judayi ka pahhad diya.

Har din nahi kalpana dekhi
Kahin par goliyan chali
Kuch pooja ghar todh diye
Kahin lashon ko beecha diya

Sachayi ki kalam mein takat hai
Naa rukne wali awaaz dekhi
In sabse Shayar pariwar ne muje
Saal bhar mein mila diya.