Friday, November 28, 2008

Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

kar le qubool is ko yeh mera salam hai
Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

ruKhsat ke waqt palkeN bhigane ki rasm kyuuN
babul ke ghar ko choRna beTee ka kaam hai

yadoN ke saye raushnee hone nah deNge
yeh zindagee hamari andheroN ke sham hai

Woh nazm ho ya ho meri Ghazal sub tire liye
Jab se kitab.e dil pe likha tera naam hai

yeh mera kaam tha ki banaya hai aashiyaN
Ab bijliyaN giraana falak tera kaam hai

Kya ab bhhi uski yaad ke baqi hain kuch nishaN ?
Yeh phir zubaN pe teri jo “Nira” ka naam hai

Friday, November 07, 2008

Koi bhai, bahen se naa bichde

Bachpan mein ek nanha sa haat
Bandha usspar pyaar se dhaga.
Badhte badhte umr badhi
Choti kalayi majboot haat bani
poora har wada kiya hua
Kabhi gairon se toh kabhi Apno se
Rakhsa bahenki bhai ne ki

Ek atoot pyaar ke bandhan
Mein bandhti chali gayi
Kayi sawan beet gaye
Bhaiya ki yeh pyaari bahna
Piya ke ghar pardesh gayi
Unke rang mein rang gayi
Par jo piche chod aayi yaadain
kabhi naa woh bhul saki

Rote bhai ki kalayi, nanhi si muskan
Yehi toh uski yaadain theen
Duur kahin chuup kar
Sab ki nazaaron se bach kar
Bhai ki yaad mein ansoo Bahati hai,
Bachpan ki yaadon mein ghir jati

Beete pal ginti, kabhi hasti
Toh kabhi ankhen poncha karti.
Dil tadapta ansoon bathte.
Tahwaron par jab rang chadte
Koi bhai, bahen se naa bichde
Bas yehi dua baghwan se karti
Bas yehi dua baghwan se karti

Wednesday, November 05, 2008

yeh sitam bhulane meN waqt to lagega hi

Haal-e dil bataane meN waqt to lagega hi
DaastaaN sunane meN waqt to lagega hi

Dil mile haiN phir bhi maiN tujh se door rahtee hooN
Yaar! aane jaane meN waqt to lagega hi

Gulshan.e moHabbat ko Khoon-e dil se seeNcha hai
Gul shajar pe aane meN waqt to lagega hi

Hum se tum ne rishtoN kee Dor baaNdh rakhkhee thee
Humko bhool jaane meN waqt to lagega hi

DarmiyaN hamare hain beshumaar deevaareN
ab inheN giraane meN waqt to lagega hi

tinka tinka lana hai chunke sare gulshan se
aashiyaan banaane meN waqt to lagega hi

ham pe is zamane ne zulm hi kiye “Nira”
yeh sitam bhulane meN waqt to lagega hi