Friday, August 08, 2008

apne aansooyon se takiye ko bhigoti hogi

kayi baar raaton mein chipp ke roti hogi
apne aansooyon se takiye ko bhigoti hogi
sabse alag khud ko akeli rakhti hogi

koi uski bhi parwah kare usse bhi pyaar kare
koi saath de uska bhi, iccha karti hogi
hallaat se vo kis tarhe akele ladti hogi

ek dost ho uske paas bhi zindgi mein
kandhe par jiske sar rakh kar apna
aaj apne sare dilke raaz kholti hogi

roothe agar aaj vo zamane se thakh kar
ladte dost se apni baat manwane ke liye
tham kar haat uss ka khud ko samjhati hogi

khayalon men us ke kis kee akhir dastak hai
koaun hai insan jo us ke jeene ka maksad hai
kisee se kya bataye, khud bhi kahan jan patee hogee

bas us dost kee jo hai bhee aur nahee bhee
bahut yaad atee hogee baar baar atee hogee
dunia na cheen le us ko kaheen
kabhee takiye mein kabhee chaadar mein chipatee hogee

Meri kavaya rach di

Kitni baar imtihaan loge
Kitni baar muje
Sabit karna hoga
Tumhari hi rachai duniya
Khud ko qabeel karna hoga
Roz Sabitt karna hoga

Bheja tha duniya mein jab
Thor kar pankh mere
Kya soch kar muskurahye the
Kyun is keerti par itraye the

Ek galti kar gaye
Muj mein himmat
Bhar gaye.
Hausle ki zindgi de di
Muj mein qabeeliyat
bhar bhar gaye

Kalam mein siyaahii di
Kagaz par rihayi likh di
Bhar ke itne bhaw dil main
Meri kavaya rach di

Mukaam par muje
Pahuncha diya
Ek rasta dikha diya
Duniya mein ladna
Sikhaa diya
Khud mein vishwas jaga diya

Aaj shukriya karte hain tera
tuze namaan karte hain
Tere hi banayi sansaar ne
Muj mein kamyabi bhar di

desh kee mitti

desh kee mittee aisee chootee,
bhaagy mujhe laaya pardesh
ghar rishton se badheen dooriyaan,
chootaa mel-jol, sandesh

baba ,maan, aur bahan kee,
saaree khushiyon kee khaatir
saat samundar paar basaaya,
dhan kee chaahat ne aakhir

pyaaree bahna kee shaadee kar,
oonche ghar pahunchana hai
pariyon see sundar dulhan ko,
dolee men baithaana hai

lekar ye satrangee sapne,
lagaa kamaane main paise
pataa chalaa n raat-dinon ka,
kayi varsh gujre kaise

dhan-daulat to mili bahut see,
saath mili par aisee bhookh
jismen rishte bhaavnaon kee,
lahraatee bagiya gai sookh

maam jee-baba yaad n aaye,
aatee raheen diwaali-holi
n hee aakar main shaadee men,
utha sakaa bahna kee dolee

dil ke saare zazbaton ko,
halaaton ke kiye havaale
door desh men bas jaane se,
huye paraye ham ghar waale

vriddh pita beemaar pade hain,
uska beta paas nahin,
maan ke kanp te haath men chitthee,
par aane kee baat nahin hai

kaun nahin khinchta aayega,
maan-baba kee yaadon se
bhala mukar sakta hai koi,
dhartee maan ke vaadon se

lekin varshon kee mehnat ka,
yahaan khadaa hai kaarobaar
kisko ise havale kar den,
socha maine barambaar

isee kashmkash men uljhee hai,
mere jeevan kee gadee
shaayad rishton ke bare men,
samajh n paya raha anadee

shakl dekhne ko baba kee,
ye dil tarsa karta hai
maan ke haath kee rotee khaane,
ye dil tadpa karta hai

saaree khushiyan hone par bhi,
kamee desh kee khaltee hai
us mitti men vaapas aane,
ichcha sadaa machaltee hai

Aaj meera bhi radha ban.na chahti hai

Aaj meera bhi radha ban.na chahti hai
ganga ki dharaa ki tarha behna chahti hai

kitabo mein rhakhe sookhe phoolon mein
aaj pyaar ki khushbu bhrana chahti hai

kuch aisi raaz ki batain hain dilmein hai
aaj tumhare saath bant.na chahti hai

Khushiyon bhikkhe.ro jashn manao
Dard thumhare hisse ke simeitna chahti hai

Ghar ho mehal ho ya ho koi jhopaddiii
Bajooyon par tere sar rakhna chahti hai

Har rutt mein badalte mausam mein “ Nira”
Muhabat ki kitaab aaj padhna chahti hai

Har rishta ek girah hai

Rishton ke giraah hain
Zindgi jismein jakdi hai
Jyun jyun umar badhti hai..
Girah utnhi Jakadhti hai

Beti hai ma baap ki
Bhai ki vo behna hai
Ghahna hai kisi Aor ghar ka
Jismain usko rahna hai

Bandh jayegi aaj phir se
Kayi rishton ki gihiron mein
Roop hoga ek patni ka
Hogi bahu saas sasur ki
Har rishta ek girah hai

Kuch hi waqt mein jakar
Vo bhi maa kaklayegi.
Itni girahon mein bandi
Kya khud ko kojh payegi

Kaltak thi jo alhadh ladki
Har rishton se anjaan
Payi thi jisne har manzil
Aor Har khel mein mukaan

Khilti thi vo gulab si
Karti thi sab par raj.
Din mein damake suraj si
Raat mein sheetal muskan

Waqt beeta umr dhali
Pees kar rah gaye armaan
Bandh kar in girahon mein
Khoyi apni pahchan.

Aaj ushi kalam se
Nikalte hain uske aarmaan
Noch li hai uski har kwaish
Kar di zindgi tamaan.
Girahon ne dekho kya
Kiya ek masoom ka haal

Sulagte armaano ko barish ki aas laga baithe

Teri ummed pe zindgi ki aas laga baithe
Khuda se ibadat kam tumse aas laga baithe

Duniya ki riwaiton ne todh di door is tarha
Sulagte armaano ko barish ki aas laga baithe

Intazaar , deedaar, dhadkan bhad gayi dil ki
Kiwaad par nazaar milne ki aas laga baithe.

log kahte the tum baharon kee tarah ayoge...
ham bhee khilne kee aas laga baithe

Jhoote the waade khokhle the iraade sanam
Jhoote waadon, par sapano ki aas laga baithe.

jo mere mulk tak bhee nahee aye kabhee..
un ke ghar tak aane ki aas laga baithe

jab ki char kandho par jane ka waqt aya hai..
sanam ham dolee sajane kee aas laga baithe

chahe ansoo bana le chahe sapna hamko..
us kee ankhon men aane kee aas laga baithe

ek kadam bhee ham to utha nahee sakte..
unke peeche jaane kee aas laga baithe

aarthi ko dena kaandha

mujhse meree shaadee kee baat karte ho
baaraat aur dulhe kee baat karte ho
pahnoon main surkh joda, sitaare jadaa
gahnon aur shringaar kee baat karte ho

mehmaanon ko tum aamantrit karte ho
aaj mujhse hi ye savaal karte ho
bhaagy men Milan ki gari likhee nahi
kyon doobtee kishtee men sawaar karte ho

pahle bhi apnon ne mujhe sajaaya tha
phoolon se sajee doli men baithaaya tha
tab haathon se chupakar chehara apna
kaanpte honthon ko daanton tale dabaaya thaa

hogi mushkil tumhe bhi, ye jaanatee hoon
rishtaa thaa bas yaheen tak, ye maantee hoon
lekin jab jaaoon jahaan se, mere maahiya
aarthi ko dena kaandha yehi main chaahtee hoon

Jaan

jaan kehkar meri
jaan naa jalao

jo baat aaj dil mein hai
woh baat kah bhi jaao

jab koi pal aaye aisa
khud ko rok naa paao

palat kar laut anaa
bhahon main samaa jaao

jab bhi chand ko dekho
muje chand hi bulao

kuch baat tum sunoo
kuch baat kah bhi jaao

Bin pantge ke kaise jal jayegi

Shamma andheron mei jee jayegi
Door patange se kaise rah paayegi
Til til kar jalne wali shamma
Bin pantge ke kaise jal jayegi

Yaadon mein patange ki
Raaton ko andhere mein
Beet jayegi umr saari
Bin patange ke kaise jal jayegi

Shamma ki toh duniya
Patange ke saang hoti hai
Roothe sanam ko maana layegi
Bin patange ke kaise jal jayegi

Aaj khud ko sajaa le shamma
Dilke andheronko aaj mitaa le
Patange ke aane ka sandesha hai
Apne pyaar par khud loot jayegi

Aaj shamma jal jayegi
Patange se mil jayegi

Maa

Maa kaun hai
Kya janam jo deti hai
Vo hi maa hoti hai
Kya nav mahine ka garb
Hi ek aurat ko
Maa kahlata hai

Yashoda bhi toh maa thi
Kanha beta devki ka tha
Vo toh maa kahlayi hai
Fir aaj jo palti hai
Maa kyun nahi kahlati

Usne bhi toh gile mein so
Bache ko sookhe par sulaya hai.
Khud naa kha kar
Apne ladle ko khilaya hai

Raat raat jag kar
Nanhi jaan ko sulati hai
Phir bhi vo maa kyun
Nahi kahlati hai

Mandiron me dua mangti
Masjid chadar chadhati hai
Church ja, jakar guru daware
Salamati ki ardaas karati hai
Maa kyun nahi kahlati hai

Maa ka darzaa bhagwan hai
Jahan vo nahi
Wahan maa hai.
Sab granthon mein
Yeh baat batayi hai.
Maa kyun nahi kahlati hai

Phir aaj kyun uspar
Ungli uthai hai
Kyun ek maa
Ke samne pariksha aayi hai
Yeh pariksha aayi hai
Kyun apne bache ki maa
Naa kahlayi hai

Mera mukadar tha

Tumse milna ek rishta banana mera mukadar tha
Tumhari ankhon mein doob jana mera mukadar tha

Chalte rahain anjani raah par yunhi din raat
Tham jaye wahin jahan thikhana mera mukadar tha

Baithe hain jheel ke kinare thandi hawa julf bhikhere
Ruk jati kashti yahin sahil paana mera mukadar tha

Ambvaa ke peR par koyal kuhoo kuhoo bole
Sawan mein gharondha banana mera mukadar tha

Chand se chandni ka milna munaseeb nahi
Har raat chand ki chah mein ronaa mera mukadar tha

Haaton mein tere naam ki hina kuch aissi rachee
“Nira”ab toh sajan se milna mera mukadar tha