Tuesday, May 30, 2006

Agar tumhe kisise pyaar hai

Agar tumhe kisise pyaar hai toh.
Waqt rehte dil ki baat kah do.
Kayi baar hum itna waqt laga
Dete hain ki
Who ghadi jiska humhe intazaar
Hota hai, haat se nikal jati hai.

Hum dekhte rah jate hain aur
Menhdi kisi aur ke naam ki lag
jati hai.

Fir humhe zindgi bhar ek ehsaas
Satata hai,
kash humne dil ki kar li hoti,
toh aaj zindgi kuch aur hoti

yeh samjhote ki zindgi naa jee
rahe hote.
Rishte

Har rishte ki apni pahchan hoti hai
Chahe vo khoon ka ho ya dilse
Banaya gaya hon
Rishta toh rishta hi kahlata hai.
Maa baba ka ho, bhai bahen ka ho
Pati patni, ya koi aur.

Har rishta mein ek ehsaas hona
Zaroori hai, jo rishton ko bandhe
Rakhta hai.

Jis rishte mein pyaar naa ho ehsaas.
Na ho, woh kahan tik pata hai.
Who toh ek rait ki khokli deewar ki
Tarah gir kar toot jata hai.

Khayalat milna, bharosa karna,
Har ek ke jazbaton ko samaj kar
Zindgi ko sanjoye rakhna.
Rishton ko banaye rakhne ke
Sadhan hai.

Jo in rishton ko nibha jaye
Ussi ko zindgi kahte hain.
Hum kuch kahte nahi,

Hum kuch kahte nahi,
Dard fir bhi chupaye rakhte hain,
Aapse milne ki jazbat,
Aab bhi dil main sanjoye rakhte hai,

Kya huwa agar tum kahi door ho,
Pyar to sine main dabaye rakhte hai,

Chahat par koi jhor nahi,
Tumhe chahne ki izzaazat hum
Fir bhi banaye rakhte hai.