Sunday, April 06, 2008

RaNgoN meN itnaa farq kiuN hai?

Ek hi maaN kii do beTiyaaN haiN
Phir bhii alag alag kiuN haiN?
Qudrat ka karishma kaisaa?
RaNgoN meN itnaa farq kiuN hai?

MaaN, baap kii donoN aaNkheN
Phir bhii itnii judaa judaa kiuN haiN?
Ek neTii gorii aur duujii
SaaNvlii kiuN hai?

Bachpan to beet gayaa
LoriyaaN sun sun kar
Aayii jawaanii to kayii sawaal
MuNh uThaaye saamne aaye
Ek to byaahii jayegi,
Duujii ki baraat kaise aayegii?

Jo bhii dekhne aaye
Goraa rang hii usko bhaaye
Shaavnli biTiyaa kisii ko na bhaaye
Kia is rachnaa meN khoT hai?
Apnii laaDlii biTiyaa ko kaise byaahe?

Kia rangat ke kaaraNR
Bin byaahii rah jaaye?
KiuN yeh anneyaaye hai?
KiuN ik gorii, duujii saaNvlii hai?

Us ne kitne hii raNgoN se
Indra-dhanush banaaye
InsaaN jiskii maayaa samajh na paaye
Pakka rang choR ke
Kacche rang ke peechhe
Bhaagtaa hii bhaagtaa jaaye

Kabhii to koii aayegaa!
Ismein Krishn bhii payegaa!
Apnii dulhan banaa ke merii guRiyaa ko
Byaah le jaayegaa!
Koii ik din avashya aayegaa!!


Jeewan nyaa dooboli

saat rangon ka indradanush
aaj utar prithvi par aaya
haat badha kar lo paas
pyaar ke sare rang laya

milkar khelainge hum holi
phkankar pyaar ka gulal
bheego dein radaa ki choli
aaj kanha ki pichkari se --------
koi naa bachegi gori.

Hara neela laal rang
Laya hai jane kitni umang
Dil mein uth rahi tarang
Ankhen Radaa ki boli

Door baithi meera
birhaah mein
Bani jogan - dekho
Liye haat ik tara
Viyug mein kanha ke usene
Jeewan nyaa dooboli

Sang naa pakar bhi Meera
Basaa ke dil mein preet
Geet gaake manmeet ke
Prem diwaani holi.

Mera astitva hii miTTaa diyaa?

Mujhe saaNs lene se pahle hii miTaa diyaa.
Kia adhuuraa aakaar thi is liye miTTaa diyaa?

Kia duniyaa meN mujhe aane kaa Haq nahi
Agar tha, to phir paidaa hone pahle hii kiuN miTTaa diyaa?

Kia adhuuraa honaa itnaa baRaa gunaah hai?
To pooraa hone se pahle hii kiuN mitta diya?

Main to mamta kii chhaaNv chaahtii thii.
Mamta kaa aaNchal paane se pahle hii kiuN miTTaa diyaa?

Sunaa thaa maaN loriyaaN gaa gaa kar sulaatii hai.Haaye!
kiuN mujhe aawaaz sunne se pahle hii miTTaa diyaa?

MaaN kii chhaatii se lag kar sukoon paanaa chaahtii thii.
Merii maaN ne mujheko doodh pilaane se pahle kiuN miTTaa diyaa?

Ai Bhagwan! mujhe maaN kii ungli pakaR ke chalnaa thaa
Gir kaR ke Khud hii chal letii, kiuN use ne miTTaa diyaa?

Rab se maangii thii mamta ki kaamini sii muurat.
Kaisa silaa diyaa yeh tu ne? mera astitva hii miTTaa diyaa?