Friday, April 07, 2006

Kaise honge who pal

Kaise honge who pal,
jab aapko mil jayenge.
Kya apni muskrahat,
Hum chupa payenge

Ek hi pal mein mil jayegi
Jannat
Jis pal tera deedar ho jayega.
Hoga wadaa na kabhi juda hone ka
Ek kasam yeh bhi kha jayenge

Roshan hogi duniya humari
Har chirag yeh kah jayenge.
Kabhi rut te ho toh kabhi maan jate ho.


Kabhi rooth te ho toh kabhi maan jate ho.
Kabhi dikhte ho toh kabhi ankhon se door
Ho jata ho.
Pyaar hai yeh bhi bhul jate ho.

Kaise maan loon tumhari har baat ko
Baaton mein bhi, tum dhokha de jate ho.

Apni aur se toh kahte nahi ho,
Hum hi se kahalwate ho,
Pyaar ki haami humse hi bhar.wate ho

Kaisa yeh pyaar hai, Jo dil mein toh hai
Par zubaan par nahi late ho.