Thursday, December 13, 2012

Parindah

mera arman hai uR jaaoN parindah ban ker
har bulandee ko maiN chhoo loN koii chiRiya bun kar

kaash azaad rahooN apni harik qaid se maiN
kabhi is peRh pe baiThoN kabhi us peRh pe maiN

ek baar aake maiN baThoN tiree chat per bhee kabee
dekh ker Khoosh tujhe miltee hai mire dil ko khushee

kaash main bhi tiree kuch KhushiyoN meN shamil ho jaaoN
dekh kar Khush tujhe main bhi kabhi khushiyaan paaoN

maiN jo panchee kabhi bun jaaoN tou aisa karna
dil ke piNjre maiN mujhe qaid hee rakhkha karna

qaid bhee teri mahaktee huwee jannat hogee
mere mahboob yeh "Neera" pe inaayat hogee

Nira