Sunday, October 01, 2006

kaheen jag raha hai?

koyee meree tarah mere sawalon main uljha
kaheen jag raha hai?
mujhe aisa kyon lag raha hai
Shayad koi dabbe paun se aayega.
Ek halki si dastak dega, apne hone ka
ehsaas karayega
Achank yeh kya hua hai.
Muje yeh khalipan kyun lag raha hai.
Sare jazbaat kahin kho gaye hain
Naa dhuk hai naa dard, naa hi koi chah hai.
Ek soonapan sa dil main jag raha hai

Kaise jeeyungi sochti hoon.
Kaise bharoongi yeh khalipan .
kaise bharoongee ye khali man
Kaun nayi rah dikhayega
Shayad koi dabbe paun se aayega.
Ek halki si dastak dega, apne hone ka
ehsaas karayega

Thodha sa pyaar dikhyega.
Dil mein ik vishwas dilayega.
Muje apna banayega.
Pyaar ke sapne jagayega.
Mera soonapan bhar jayega.
par kaun ayega?
yahee soch rahee hoon aur dil main
ek soonapan hai

parr khudko tassali deti huu..
khud ko main samjhati hu...
koi to hoga jo meri hi tarah sawalo main
uljha kahi jag raha hai...
meri hi tarah woh bhi rahhe tak raha hai
Tum bhi toh dekh rahe ho is chand ko.

Tum bhi toh dekh rahe ho is chand ko.
Vo tumhare angan mein bhi toh utra hoga
Ismein muje tumhari surat nazaar aati hai.
ismein chamkti hai tumhari chaavi.
Sheetalta deti hai jo mere maan ko.
Hai jiski roshni tum

Dooriyan itni hain ki khatam na hongi.
Zindgi mein kabee rah ek naa hogi.
Yeh chand aise hi muje tumhari aor
Khinchta rahega, tumse milne ki aarzoo
Badhata rahega.
chand se utar ke koyee yoon hee
mere sapne main ata rahega

pyaar ki bagiya


Ek bagiya khilayi ek sapna sajaya
Naam bhi diya bahut pyaara sa.
Dhoond dhoond kar phool sajaya
Ek pariwar banaya.

Kisi ne ghazal sunai toh kisi ne rubai.
Har ek ka sanyoj huya, harek ne apni
baat sunai.

Kisi ka dard dikha, toh kisi ki judai.
Koi piya se mil gaya, kisi ne thokar khayi
Sab ne apni apni baat batayi.

pyaar ki bagiya  kayi rang layi.
pyaar hi is bagiya ki jaan hai imaan hai
Aapka dular is pariwar ki neev hai,
iski deewar hai.

Waada hai sabka, unchai par le jayeinge
Har ek ko sadasya banayenge.
Ekdin aisa aayega, yeh pariwar sab ke dil
Mein bas jayega.
Is bagiya ke mali ko nahi bhul payega.
pyaar zindgi mein hasil ho yeh zaroori toh nahi

pyaar zindgi mein hasil ho
yeh zaroori toh nahi...
kuch khona hee parata hai is main
kaheen an kaheen
pyaar toh dene ka naam hai,
badat ka naam hai
pyar khud ko luta dene kee
adat ka nam hai
kaisi radha kee sahar hai
kaisi meera kee sham hai...
pyar khud ko luta dene kee
adat ka nam hai
dost ko pyaar sabhi banate hain ,
aaj hum pyaar ko dost banakar dekhai

har din teree bahain
taraptee hai hamre liye..
aaj tere agosh main khud
aa kar dekhen
tasarvur mein
ek tasveer hai tumharee ,
aaj samne lakar dekhen
ek chirag andhre ghar main
jalakar dekhen
aaj ham bhee ek baar toh
ujalaon main aa kar dekhen
samudar mein laharain
toh bahut uth rahin hain,
dil ke samudar mein
aaj doob kar dekhen

in laharon ne
hazar gharnode bahaye hain..
aaj in lahron mein
ghar banakar dekhen
tumhree god main
sar rakh ke so jayen...
aaj kee shab tumahre ho jayen
Hum tumko naa bhul payenge.

Waqt kaisa bhi aaye hum par
Hum tumko naa bhul payenge.
Dil ke chahe tukadhe hojayen
Hoton se shikwa naa karenge

Thodha hi sahi sath magar.
Rah tum mujhe dikha gaye.
Jee lenge tumhare bina,
Itni himmat tum badha gaye.

Wada jo kiya hai tumse,
Har haal mein jeete rahenge.
Itni tasalli dete hain.
Huq mange bhi toh kis se
Jo hamara hai hi nahi
na jaane kyon uski tamanna
karte hain
Galti se do rahain
ek mod par mil gaye
Kyun baar baar ek hi baat dohrate ho

Kyun baar baar ek hi baat dohrate ho
Kyun zindgi ko bazaar banana aa jate ho.
Kyun dil ki dhadkanon ke woh taar chedh
Jate ho.

Jinki gungh mein ik mittas hai.
Ek aisa sitar hai jo baj toh jaye toh
Madhur Milan ka sandesh de jata hai.
Aur agar yeh toot jaye toh,
Pahad sa dard de jata hai.
Ankhon mein ansoo, aur dil ke
Hazar tookadhe kar jata hai.
Jine ka ehsaas khatam ho jata hai.

Aisi zindgi kis kaam ki
Jis mein jeene ki tamanna hi naa rah jaye
Pyaar na ho,koi chahne wala na ho.
Zindgi ek khandhar nazar aane lagti hai.
Jis ki deewaren charon aro se hill gayin hon

Aise mein ek asha jagti hai.
Tumhari parchahayi ki jhalak
Si dikh jati hai.
Ansoo.on ki dhoondli ankhon se
Usse quaid karleti hoon,
Rookti hoon moodti hoon
Usse charon aur dhoondti hoon.

Samne ne kuch dikhta nahi hai
Haat kuch aata nahi hai.
Ek ansoo ka qatra ankh se girta hai.
Har geela khud se hi hota hai.
Dagga dena toh teri fitrat hai.
Aur chahna humari majboori hai
Main tumahree bahut nazdeek hoon
Jab chahe choo lo..
Aur tumhree mujh se bahut dooree hai..
Bahut dooree hai
Kahte ho kuch kadam tum badado

Kahte ho kuch kadam tum badado
Kuch main bada doonga.
Kuch fasle tum taiy karlo
Kuch main taiy kar loonga.

Hum toh chal padhe manzil ki aur.
Ek pyaara sa sapna lekar.
Manzil humse duur nikal gayi.
Fasle badh gaye, rahain juda ho gayin.
Ek aisi andhi aayi, jo sab kuch udha
Legayi,

Ek imarat thi jahan, wahan shamshan
Ban gaya.
Pyaar loot gaya, insaaniyat mar gayi
wafa ki kishti samundar mein doob gayi.
main ruk gayee zindgee guzar gayee
Rait ke garondon ke nishan bhi mita diye
mazilen chippa lee kisee ne, sare rasate hata diye

Jis haat ko thama tha ek din, jis khayal ko
palaa tha maan mein.
Vo chhoo.tt ke is toofan ke andheron mein kho
Gaya.
ab sochte hai kal kya huya tah aaj kya ho gaya
Aab bhi hume jeena hai, judai ka gum peena hai.
Ansoo khud hi saaf karne hain, sitam kudh hi
Sahna hai.
na kisee ne soon-na hai
na hamne kahana hai
ab tanha hee rahana hai

Kya aab bhi kahte ho kuch kadam tum badado
Kuch main bada doonga.
Kuch fasle tum taiy karlo
aayo meree angulee pakar lo
par hath kahan hai angulee kahan hai
har taraf andhera hai
aur andhera hee aab mera jahan hai
mera karwan hain

kuch kkadam nahee, hazar kadam barhayoongee
par wada hai ab tumahree tarf nahee ayoongee
nahee ayoongee
Yeh hawa toh tumhe chookar aayi hai,

Yeh kaisi hawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.
Tumhare wajood ko mujse milakar jayi hai
Beete lamhon ka ehsaas dikha kar gayi hai.
Ek aisi na khatam hone wali pyaas jagakar gayi hai.

Dil mein soye armaan jaga kar gayi hai.
Saath beetaye huye lamhon ka hissab
Dikha kar gayi hai.
Muhabat ke vo nagame suna kar gayi hai.
Yeh kaisi haawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.

Pyaar mein doob jaayun aise armaan jaga kar jayi hai.
Sagar ki laharon ki jhankar sunakar gayi hai.
Bansuri ki surily awaaz sunakar gayi hai.
Yeh kaisi haawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.

Yeh hawa toh tumhe chookar aayi hai,
tumhari khushbu layi hai.
Milne ki aarzoo isee en jagayee hai,
pyaar ka sandesha layi hai
Jism ko har jhokna choota hai
aaj har ahsas anootha hai
mere sath huya hai yeh
ya kabhee na kabhee sab ke sath hota hai?

Yeh kaisi hawa hai jo aaj, muje chookar gayi hai.
Tumhare wajood ko mujse milakar jayi hai
Beete lamhon ka ehsaas dikha kar gayi hai.
Ek aisi na khatam hone wali pyaas jagakar gayi hai.