Friday, November 30, 2007

tere vo khet

Terii yaadoN ke
Kuchh panne
Jin par likh kar
Teraa naam
MiTaa detii thii
Unko maiN
JalaauuN kaise?

NainoN meN
Basaa teraa 'aks
Dil se MiTaauuN kaise?
AansuuoN ke phool
ChaRaauuN kaise?
Reit par banaaye
Jo ghar----------
Khud hii unko
giraauuN kaise?
Tere vo likkhe huye
Khat maiN
JalauuN kaise?

Yaad kartii huuN
JinheN paRtii huuN
AaNsuuoN kii baarish meN
Akshhar ko DhoonDhtii huuN,
Jee letii huuN.
Terii yaadoN ko,
Tu hii baata!
MiTaauuN kaise?
MaiN yeh khat
JaalaauuN kaise?

Aansoo dilki zubaan hote hain

Dil jo bol naa sake wo
raaz afshaaN karte hain...
Aansoo dilki zubaan hote hain

Dard hadh se bardh jaye to
Zakham nasoor hote hain
Aansoo dilki zabaan hote hain

Ankh se sawan bhadon behte
Jeena dushwar karte hain
Aansoo dilki zabaan hote hain

Yaadon ke saaye, daman se lipte hain
raatoN ko jaag kar, khawab sajate hain
Aansoo dilki zabaan hote hain

kar ke vada, umeed kAA Taj Mahal
Banakar , rakh kar dete hain
Aansoo dilki zabaan hote hain

Ishq mein sabhi paRte hain
Kisi ko manzil kisi ko kafan milte hain
Aansoo dilki zabaan hote hainNira


Magaarrrr

Teri meri kahani
Alag hai-----

Tum paana chahti -----
Pyaar ko
Meri vo pooja hai
Teri ankho mein
chandnee ban ke thehra hai
Muje door se is chand ko
Dekna hai.

Tumne pahnani
Varmala hai
Muje phool bhakti ke hai dene.
Rishte ka ek naam
Hai tumhara
mere liye ek harf bhee nahee

tumhe intazaar
Milan ka hai----
Mil jaye
Isi janam mein.
Muje mar kar
par jana hai -------
Kuch hasraton
Ko jagana hai.
Dobara duniya
Mein aana hai
mujh ko bhee pana hai
tum ko bhee pana hai
magar.....

Khwaish

Muje se meri
Khwaish poocho
Dil mein chal rahi
Hasrat samjho
Tumhari bahon ho
Meri subhah
Taron ki raat mein
Ho tera saath

Tumhare honton ki
Garmi ho gallon par
Sanson se mahake
Mera jahaan
Haaton ka sparash
Ho har pal
Dilki dadkan
Gaye ek geet.
Bas itni si khwaish
Hai mere meett

Baba ki Beti

Baba ki pyaari
Ek raj dulari
Nikli hai ghar se
Karke tyaari.
Jeetna hai jug ko,
Chadhni hai unchayi
Apni raah khud asaan
Tumhari beti ne banayi

Manga asmaan tumse
Nibhane ki ghari aaj aayi hai
asha thee tumko jo bete se
Beti ne poori
Kar dikhlayi

Fakr hoga janam
Dene ka guriya ko
aapka naam roshan
kar jaoongi
baba aapki muskurahat
mere dill main basi hai
main aapka maan jaan dekar
bhi badaongi

Tumhari dee huee azadi
tumhare sabd mera sahara hai
main aaj bhi wo beta bane rahti hoon
jo baba ki ankho ka tara hai

tumne apna sara jeevan
Maa kee tarah
pal pal hamara Khayal
Karane mein Laga diya
wahe guru ka karm hai
jo hamko aap sa pita diya

Ab samjh kuch badi ho gayee hai
Farz bhee kuch bade hain
Mere sath main aapke mazboot irade
khade hain

Maa gayi jab duniya se
aapne wo farz bhi nibhaya.
Tham kar ungli meri
Chalna seekhaya

aaj bhi wo ungali
aksar tadap jati hai
Baba udas to ho hee jati hoon
paal bhar ko
jab bhi tumhari yaad aati hai

par baba aaj maine ye
kasam khayee hai
aap ka sapna pura karne
ko main jee jaan lagaongi
baba tum hamesha khush rahan
main aapke liye
dilse muskuraongi

Dil Mein Kanha Rahta

kaun sa waqt hai jab
mehboob yaad naa aaye.
dil us kee chuyan ko chor
jaye to kahan jaye
chahe woh shaam shamli ho ,
ya bhor ki bela.
wo natkhat kab chode
hame kaheen akela

dil mein toh dilbar basta.
din ho chahe ghanghor andhera.
toot.ta tara, chandni raate
yaad dilayen us kee baten
sab gawah un yadon ki.
mere dil mein kanhaa rahta
kabhee sarowar sa ruka ruka sa
nadee sa bhi bahata hai
dil men kanha rahata

Parinda

mera arman hai uR jaaoN parindah ban kar
bulandee ko maiN chhoo loN koii chiRiya bun kar

kaash azaad rahooN apni harik qaid se maiN
kabhi is peRh pe baiThoN kabhi us peRh pe maiN

ek baar aake maiN baThoN tiree chat per bhee kabee
dekh ker Khoosh tujhe miltee hai mire dil ko khushee

kaash main bhi tiree kuch KhushiyoN meN shamil ho jaaoN
dekh kar Khush tujhe main bhi kabhi khushiyaan paaoN

maiN jo panchee kabhi bun jaaoN tou aisa karna
dil ke piNjre maiN mujhe qaid hee rakhkha karna

qaid bhee teri mahaktee huwee jannat hogee
mere mahboob yeh "Nira" pe inaayat hogee

Wafa ke ye wade

Phool sare tumhare
Baharain tumhari.
Ye akash,chand
Aur meethi chanv
Taron ki pyaari.

Kisi pal mile tumko
Gham kaa saaya
Oodha doongi chunariya
Chupa loongi sare gham
Likh doongi khushiya.
Mahka dungi har
Shaam tumhari

Rahenge jab tak
Wafa ke ye wade
Tera pyaar bankar
Jiyenge iraade
Ye suraj ye chanda
Gagan jab talak hain
Rahegi Urm bhar
Meri zindgi tumhari

Kya muje bhi kisi hor ko jhalna padega

Kabhi muje bhi is daur se
guzarna padhega.
Kabhi jo mera tha
Usse khona padhega.
Soonte the biwi ki
SautaN hoti hai
Kya muje bhi
Kisi aor ko
Jhelna padhega

Waqt kis tarah
Badal gaya hai
Apne hi ghar mein
Aaj Mera bistar
Barah laga hai.
Ya khuda
Muje kya
Yeh Din ----------
Dekhna padhega

Muj par jee jaan
Se jo marti thi
Solha shinghar
Karti vo karti thi
Raat raat bhar
Jagkar mera intzaar
Karti thi
Aaj akele
Sona padhega.

Azaadi yeh kaisi aayi
Barabri ke darze ne
Saada Awaaz uthai.
Kahte hain nari par
Atyachar huya hai
Mardone anyay
Kiya hai.----
Kya kisi ne is our
Bhi dekha hai.

Ek ghar mein do
Ko rakha hai
Ek ka ghar lut
Doosre ka ghar
basa hai—
kya yeh dekhna
padhega, sahna
padhega--------
aansooyon mein
doobna padhega

Sauthan

Aaj dil cheer gaya
Mere hote mera sajan
Kisi aor mein kho gaya
Le aaya husn ki shahzadi
jiskii umr thii baalii
Sautan bana usko
Paraya kaise kar diya
Kahan gaya woh pyaar.
Khaate the kasme jiski
Pal mein Kaise sabkuch
Meeta diya.

Kal maang bhari thi jisne
Sajakar doli laye the.
Kaise kaise sapne in ankho
Mein usne sajaye the.
Ek beTi se bani jiskii patnii
Bahu ghar ki kahlayi,
Maa banker maine
Apna dharam poora kiya

Fir yeh kaisa sawan
Mere angan aaya.
Ek beta hi toh tha
Jisko naa maine paaya
Bete ki aas mein
Dedi betiyan char
Uska bhi toh dosh
Muj par hi lagaya.

Aab sautan sang
Manaoge Raat rangili
Kal jo sej meri thi
Uspar hogi Silwat
Meri hi sautan ki
Tadap uthegi aatma
Kaise samajayoon dilko.
Kaise sahoon sitam
Sautan ka is dilpar

Kya tha aisa jisko.
MaiN ne na use diyaa
Kyun is umr mein
Yeh din dikhla diya.
Bab-du’aa desakti nahi,
Main aab bhi sajan tumko
Tumse hi toh pyaar kiya.
Sirf tumse hi  pyaar kiya.

Hum

Zakhamo ke nishaan chod jayenge
Teri parchaiye aanko main lekar jayenge

Tum agar saath naa jee paaye toh
Hum bhi tere kabr parr so jayenge

Saacha hai saath hamara
Jamane ko ye dikhlayenge

Jism maarr gaya to kya
Aashmaaa main jaahaaa hum sajayenge

Mohabbat ki intehaan main hum
Apne armaaan sajayenge

Jaanazaa ho ya doli utthe
Ek dusre ka saath nibhayenge

Nafrattt ki raat andheri kaali
Pyarr ka suraj HUM ugayenge.

Pinjra

Main us chidiya ki bhanti
Jo har waqt pankh
Fadhfadati.
Kuch pal udh kar fir woh gir jati,
Pankh badhne ka kerti intazaar
Qaid se Meri tarah bahar aa jana chahti.

Kyun Pankh kaat diye,
udhna bhula diya karke
Qaid har hasraton ko
YuiN hi
Mujko rulaa diya
Noch diye aarmaan sabhi
cheen liya aasmaan sabhee
dedi qaid mujhe pinjare ki
Lut gaye armaan sabhi

Un hawayon ko chhoona
Jin mein basi khushbu
Un phoolon ko chumna
Jaise ik prabhu
Jis mein Mahak tumhare jism ki

Raas naa aaya pyaar kambhakt
Umeed thi kisi talism ki
Daal diya is qaid mein
Kya sochooN kya vyabhichaar
Kar diya bandh pinjre mein mujko
nahiN hai kya atyachaar?

Par kaun kholega pinjra
Kaun udhayega
Khuli hawa mein
Badnaseeb chidya ko.
Meri nidiya ko

Aaj main pankh chahti hoon.
___Kuch pal
tumse milna chahti hoon
Tumhari chhaat par
geet gakar khilna chahti hoon
Is qaid se phir se
bahar aana chahti hoon.
Is qaid se phir se
bhar aana chahti hoon.

Arth

Meri zindgi ko arth dedo,
muje jeene ka huq dedo

Ek hasin sham mere naam likh do.
Ek pyaar bhara paigam dedo
.
Choo.te na mujse jo aisa saath dedo.
Raaton meetha sa koyee khawab dedo.

Chahaat ka huq hai mujko,
chahne ka wadaa dedo.

Rahne ko ghar nahi hain,
apne dil mein ghar dedo.

Ankho mein pyaar dedo
mujhe dil ka karar dedo.

khud ko meree deewar kar do
mujh ko meree deewar de do

Seene se lagakar rakhlo,
apni baahon ka sahara dedo.

koyee zindgee le gya tha meree
Meri zindgi dobara dedo

pyar tumhara dedo
mujh ko sahra de do

Bewafayi

Ye kaisi lambi judayi likhdi ...
Milne se pehle hi tanhayi likhdi...

Hume wafa karne ko ek pal na mila...
Naam humare umr bhar ki bewafayi likh di.....

Humne saath nibhane ko jab kadam uthaya....
To humsafar humari ek parchayi likh di....

Aankho mein khwaab dikhye chahat ke ...
Aur jindagi humari raat ki gehrayi likh di...

Khushiyon ke bahane yahan ashkon se barsaat huee.
Musam ne bhi yahan humari duhaayi likh di

Ek phool ke guldaste ko pathaar pe fek kar...
Mre kabr ke samne uski shehnaayi likh di...

Kishti humne bade shok se utari thi kinaron pe...
Lhron ke dard aur samandar ki gehrayi likh di...

Tofan utha aor bikhr gaye khwaab sare ...
Ankhon mein umr bhar ki tanhaayi likh di...

Pyaar ki aag

Kuch pal mein hi jeene ki raah se haat chhatak diya,
Umeedon ki dukan par lejakar rishta patak diya.

Muhabat ke sawan ki barish abhi padi bhi naa thi
Kis tarah bedardi ne kadi dhoop mein paatak diya.

Bhandhkar dor pyaar ke dhagon ki humsafar ne
Kache dhagon ki tarah naata chhatak diya

Ankhon mein tasveer dhoondli thi janemaan
Koi rang abhi chadha nahi, sindor jhatak diya

Hum toh abhi pyaar ki aag mein jale bhi naa the
Waqt se pahle hi sanam ne raakh mein patak diya

Andhere mein diye ki roshni hoti hai

Andhere mein diye ki roshni hoti hai
Tu nahi tere bagair bhi zindgi hoti hai

Chiragon ke taale kitna bhi andhera ho
Jeene ki fir bhi umeed sanjhoti hai

Le jate hain  saans is taan se dilbar
Unke intazaar mein ankhen roti hai

Khanzar se dil ko ghayal kar ke zalim
Riste zakhan par marhan ki baat hoti hai

Chahenge tujeh zindgee ke bad bhee
Muhabbat ke liye zindgi choti hai

Kanha tujhse pyar mein kya mila kisee ko
Meera bhee roti hai "Nira" bhee roti hai

Ahsaas

Hume kahte ho ki pathar hain
Shilla bahaya hai khud ko.

Duniya ne diye itne zhakam hain
Ansooyon se bhigoya hai khudko.

Waqt ne cheenii hai khushiyan
Muskurahat se duur kiya hai khudko

Kismet ne rishte juda kiye hain
Mukadar se juda kiya hai khudko.

Har ehsaas maarkar dil mein
Mushkil se jeena seekhaya hai khudko

Pyaar naseeb mein nahi hai
“Nira” ne Samjhaya hai khudko.