Sunday, February 25, 2007

Paise ke liye bhagwan bhi bikta hai

Zindgi kitni sasti hai
Is Bedard duniya mein
Ye koi nahi jaan paya hai
Kissi ke tann par kapdha nahi
Toh kisi ne tann hi becha hai.

Ek ek waqt ki roti ke liye
Sau sau dukh jhelaa hai.
Kahin par maa bikti hai
Kahin beti ko bechaa hai.
Kabhi kudh nahi baksha hai

Har ek kharidaar hai yahan
Zindgi yahan toh sasti hai
Khoon ke badle mein roti
Roti ke badle mein izzaat
Izzat ka badle milti maut hai

Itne jism ke saudagar dekhe hain.
Chahe mile zinda ya murdha hai
Kharidar raah dekhte hain
Le jate hain kat kar jism se
Dil, gurdha ya ankh hai

Shamshan mein kafan ke bhi
Saudagar paye jate hai
Teri is duniya mein ye bhagwan
Kaise kaise log paye jate hai
Paise ke liye bhagwan bhi bikta hai
Hum

Zakhamo ke nishaan chod jayenge
Teri parchaiye aanko main lekar jayenge

Tum agar saath naa jee paaye toh
Hum bhi tere kabr parr late jayenge

Saacha hai saath hamara
Jamane ko ye dikhlayenge

Jism maarr gaya to kya
Aashmaaa main jahaan sajayenge

Mohabbat ki intehaan main hum
Apne armaaan sajayenge

Zanajaaa ho ya doli utthe
Ek dusre ka saath nibhayenge

Nafrattt ki raat andheri kaali
Pyarr ka suraj HUM ugayenge.....
Kabhi kisi se pyaar na karna

Kabhi kisi se pyaar na karna
Kisi par aitbar naa karna.
Waadon vo kar jayenje
Kasame vo bahut khayenge
Denge vo khawab mahalon ke,
Khandhar mein chor jayenge,
Paakar mauka vo kisi roz
Tumhe zeher bhi de jayenge,
Badhon ki sheekh jhooti naa thi
Humhi samajh naa payenge.
Barbad honge is rah par
Yeh kabhi naa jaan payenge,
Aaj mein bahut rona chahti hoon.

Aaj mein rona chahti hoon.
Apne ansooyon mein khud ko
Bhigona chahti hoon.

Yes kaisi majboori hai dil ki.
Sisikiyon mein jeena chahti hoon.

Kasmo mein naa bandho mujko,
Main azaad hona chahti hoon.

Ansooyon ka sailab hai ankhon mein
Dilko inn mein dobona chahti hoon.

Ik baar aakar dekhlo apni janaamko.
Tumpar nichhawar hona chahti hoon.

Aaj mein bahut rona chahti hoon.
Tumhari bhahon mein khona chahti hoon.
Tumpar apni kahani likh loon

Tumse tumhe churake dil mein rakh loon.
Ek ansoo banakar ankhon mein bhar loon.

Soyun toh raat tumhe madhosh kar loon
Jagoon tumhe bhahon mein bhar loon.

Tumhare seene par sar rakh loon
Tumhari dhakano mein ghar kar loon.

Subha ki pahli kiran padhe jo tumpar
Uss roshni mein main subah sanwar loon

Palaken khulain meri dekhoon tumhe,
Tumhari masoom palkon ko chuum loon.

Honton se himmat karke ek baar”Nira”
Tum par apni kahani likh loon
For tina

Ek saal aur beet gaya
Tumhe kuch achi baatain,
Kuch buri baatain samjha gaya.

Kisi ko yaad rakha dil main
Kisi ko dilse meetta gaya
Kahin toh khushiya di isne
Kahin dil mein sawan barsa gaya.

Kuch palon ki dosti huyi thi tumse
Jeevan ka rishta bana gaya.
Kuch soch kar tumhe
Is dharti par laya gaya.

Pyaar ki charon aor kami thi
Khushbu se yeh bagiya ko maheka gaya,
Tum timtimati asha ki kiran ho
Tumhe ismein sajaya gaya.

Aane wala saal naye sapne
Tumhari ankhon basa gaya
Kuch raston par ruk jao bhi
Beeta waqt agar yaad gaya.
Khushiyon tumpar bharsa gaya

Chahti thi kuch chand kuch sitare
Tumhare anchal mein bhar doon
Tumhare sare sapne poore kar doon
Dhair sare tohfon se saja doon.

Tmuhari hasi ek jhaunka hai
Tumhari muskaan ko chamka gaya
Tum khud pyaar ka dariya ho
Tum mein sakhi ka roop paya gaya.

“Nira” Rab ki dua ke siway kya degi
Tmuhari jholiko inhise sajaya gaya
Kairaat ki zingdi nahi chahiye.

Aaj ki nari khud mein ek dhal hai
Uski apni ek pahchan hai.
Gaye zamane jab gulam thi vo
Har baat izazaat par nirbhar thi
Saans bhi udhar meinleni padhti thi.

Sab ko khila kar anpoorna
Akele khane baithti thi.
Sabke sone ke baad bhi.
Sab ki sewa karni padhti thi.

Aab azaadi vo chahti hai.
Khud apne niyam bahaygi.
Kadam se kadam vo milayegi,
Rah se har toofan hatayegi.

Garve se aab wo jee jayegi
Kamzori ko takat banayegi,
Kairaat ki zingdi nahi chahiye.
Swabhimaan se wo sar uthayegi

Aab usseko koi jhooka naa payege
Shakti ke parti beemb banker
Wo jag mein gajmagayegi.
Aab vo sahi roop mein  aayegi

Aab wo sar uthayegee.
Aab duniya sar jhuakeygee
Kanton se bhare raste hain

Naa chalna un rahon par.
Jinke nishan nahi hain.
Naa karna intazaar uska.
Jinke aap sathi nahi hain.

Kanton se bhare raste hain
Phool wahan nahi hain.
Duur manzilain hain.
Hum musafir nahi hain.

Kasti mein baithe  hain
Lahren khamosh nahi hain.
Tumse mil jayenge kabhi
Khawab pure nahi hain.

Behoshi ki haalat main bhi
Hum tumhe bhule nahi hain
Maut ke safar mein bhi
Aaj hum akele nahi hain.

Aapke saaye aapki duayen.
Aapki yaadon ke khazane
“Nira” saath le chale hain.
Sirf humsafar nahi hain
Aaj hume hadh se gujar jana hai.

Aaj hume hadh se gujar jana hai.
Tumhe apna sab kuch mana hai.

Waqt ka kya barosa hai ae dost
Kisne kisko kab chor jana hai.

Dilon ke fasle mittane hai
Ek duje main sama jana hai

Raaton mein khawab lekar.
Dil mein ghar sajana hai.

Koi bahane ki jaroorat nahi
Zindgi ko pyaar tak le jana hai.

Paane ki seema nahi hai.
Aaj tum par hi lut jana hai.

Aaj tum mein samaa jana hai.
Jeevan yahin thum jana hai,

Tumhari bahon sab kuch paana hai
Aaj hume hadh se gujar jana hai.
Abhi Milne mein dair hai.

Abhi Milne mein dair hai.
Taqdeer khulne mein dair hai

Aana bahar banker tum.
Abhi sawan aane mein dair hai.

Barish mein bhigne ko dil kare
Bauchaar padhne ki dair hai.

Baghiya pyaar ki sajani hai.
Phool khilne ki dair hai.

Mehndi haaton mein sajni hai.
Dulhan ban.ne ki dair hai

Maathe bindiya lagani hai.
Maang bharne ki dair hai.

Abhi Milne mein dair hai.
Taqdeer khulne mein dair hai
chahaat ki koi intihaa nahi hai

rote rote aaj hasne ko jee chahta hai,
kisiki ankhon mein muskane ko jee chahta hai

zindgi kar di hai tumhare naam aaj ..
is pahar mein thum jane ko jee chahta hai

tumse hai khushiyan jeevan mein..
un mein kho jane ko jee chahta hai.

naa choroge saath zindgi bhar mera..
waadon par marjane ko jee chahta hai.

chahaat ki koi intihaa nahi hai ae dost…
tumpar nichawar hone ko jee chahta hai

mandir sa dil hai jo Nira tumhara..
Yakeenan Meera ho jane ko jee chahta hai
Aaj sare fasle khatan karna chahaati hoon

Aaj tumhe jee bhar kar pyaar karne chahti hoon
Har kasme har waadon ko poora karna chahti hoon.

Tumari ankho mein askhon ji jagah..
Pyaare ke sare khawab bharna chahaati hoon.

Phoolon ki saji saj dene chahaati hoon
Bhule naa kabhi aisi ek raat dena chahaati hoon

Waqt ne bahut duur rakha tha hume
Aaj sare fasle khatan karna chahaati hoon

Log hazaaron palon mein jeete hain zindgi.
Main ek pal mein hazaar zindgi jeena chahaati hoon.

Tumari bahon mein zindgi naa mili ho janam..
Bahon mein “Nira” marna chahaati hoon
Aaj meri tamana tum puri kardo

Aaj hume dewaana kardo
Apna pyaar dil mein bhardo......
Badhi koi cheez mangi nahi hai
Aaj meri tamana tum puri kardo

Choti si fariyaad lekar
Maa Tere darbaar mein aaii hoon.
Kuch man mein aas bhi laii hoon.
Aaj yehi aas tum puri kardo.
Mare vishwas ki jholi bhardo

Khali haat naa jayoongi,
Jo maanga hai so payoongi
Hukuum tera hi chalta hai
Milan bhi tu hi karati hai,
Sapna tu hi dikhati hai

Sare kaam hi tumse hain.
Inke anjaam bhi tumse hain
Yahan par tum hi toh layi ho.
Pyaar ki jot tumhi jagayi ho.

Daar muje kis baat ka hai.
Saath jo tumne nibhaya hai.
Aasta tujse hi paayi hai.
Pyaar ki jot tumhi ne jagayi hai
Maa tujse hi lo lagayi huyi hai.

Mere dil me basti ho tum
Har mushkilo se tune bachaya hai
Har mannateN puri ki tu ne
Ek maa hone ka ehsaas dilaya hai
Aaj meri tamana tum puri kardo
Par koi sandesha bijwaya nahi hai

Dil mein pyaar sajaya nahi hai.
Dede karar aisa jazbaat nibhaya nahi hai

Kaise tasali dain tumhe humdum
Dil mein koi ehsaas samaya nahi hai.

Pyaar bhi dil mein basaya nahi hai.
Kisi ko apna banaya nahi hai.

Ikrar kisi se paya nahi hai.
Koi humdum aaya nahi hai.

Lakhon mein akele hain ae dost....
Taqdeer mein koi farmaya nahi hai.

Haaton ki lakiron par naam tumhara hai
Abhi hatheli par likhwaya nahi hai

Intazaar tumhara is dilko hai.
Par Nira sandesha bijwaya nahi hai.
Yeh kaise diwangee bhar gaye ho.

Yeh kaise diwangee bhar gaye ho.
Har shakhs mein apna chahra chor gaye ho.

Tumhare siwaye kuch dikhta nahi janemaan
Kaise yeh zindgi tanahh kar gaye ho.

Chahaat bhi di toh is kadar ay dost
Meri chahaat ko mazboori kar gaye ho.

Har rah tum par hi khatam hoti hai.
Uss rah ko bhi chorh gaye ho.

Pyaar ko gale lagaya tha kabhi. humne
Aaj dil ko hi tod kar chale gaye ho.

Raat ki tanhayi mein maanga tha saath
Din ke ujaale haat chatakh gaye ho.

Hadh se badhkar ibaadat ki tumari
Meri pooja ko thokar laga gaye ho
Shiddet se intazaar tha jiska

Shiddet se intazaar tha jiska sanam
Aaj vo lamha aaya hai.

Pyaara sa rishta apne saath laya hai.
Ek dilkash sa sambandh sajaya hai

Mere kal ko aaj banaya hai.
Meri sansoo ko dil mein basaya hai.

Haat duur se thama hai mera
Saath kiya wadaa nibhaya hai.

Sunhera sapna ankhon mein samaya hai
Jinse humne khud ko sajaya hai

Dekha jis adaa se dilbar tumne
Hamara husn humse hi sharmaya hai.

Milkar rahenge sadaa janenaam
Aaj aisa yeh mauka aaya hai.

Shiddet se intazaar tha jiska “Nira”
Aaj woh lamha zindgi ne dikhlaya hai.
Do raste aaj ek ho gaye.

Do raste aaj ek ho gaye.
Raste kya kahen manzil ho gaye

Ek ki ankh ke ansoo aaj
Doosere ki ankh main so gaye

Jismse, dilse, rooh se rooh mil gaye.
Khatam naa ho aisa pyaar jod gaye.

Chooya jo tune aaj muje is tarah
dil ke taron ko shbanam se bhigo gaye

Khawaishon ke sapne saj gaye.
Umeedon ke chaman main gulab bo gaye

Dil ke sare khawab “Nira” sunahre ho gaye.
Aaj tum hamare hum tumhare ho gaye.
Tumhara dil nahi jagmagati

Kyun meri saanson ki khushbu
Tum thak paunch nahi pati.

Kyun meri ankhon ki roshni
Tumhara dil nahi jagmagati

Kyun mere dil ki dadkan
Tumhe dastan nahi sunati

Kyun raaton ki khamoshi
Tumhe meri yaad nahi dilate

Kyun sawan ki haseen sham
Pyaar ke jhoole nahi jhoolati

Kyum barish ki pahli boond
Tumhe mere saath nahi bhigoti.

kyuN khamosh hai saanse tumhari
nira yadoN me aansu nahi bahati

Aisi khali zindgi aab jee nahi jati.

Har gari humpar kahar dhati hai,
Aapki judai humse sahi nahi jati

Maut se sauda toh kar lete jaanam
Tumhe yeh ghum ki gari di nahi jati.

Khudko raste se hata lete hain hum.
Tumhari baraat humse dekhi nahi jati

Bheed mein chuppa lete hain khudko
Tumhari yeh talash sahi nahi jati.

Yaadon ke bhawar, doobo diya hai
Kahan hai kishti tumse doondi nahi jati.

Aarzoo sari meetta deti hai “Nira”
Aisi khali zindgi aab jee nahi jati.