Thursday, October 26, 2006

Humse wafa ki asha karte ho

Ek hasin sham thi, hum the aap the
Aor ek tanhayi thi.
Koi shabdon ki zaroorat naa thi.
Anken hi baatain kar rahin thi.
Dil soon raha tha. Dhadkane jawab
De rahin thee

Awaaz ki zaroorat naa thee.
Dono hi ghoom the khamoshi is mein.
Khoye the ik doosre ki bahon mein
Naa din ka hosh tha raat ki parwah.
Ek hi khwaish thi is sham ki koi raat naa ho.
In pallon ka koi anth naa ho.
Koi hume alag naa kare
Koi hum se humari kushiyan naa cheene.

Yeh hasin sham yahin ruk jaye
Humse wafa ki asha karte ho
Bewafa khud hi ho jate ho.
Sapne dikha kar khushiyon ke,
Lakhon ki bheed mein kho jate ho.
Dukh ka pahad uthana kitna.
Mushkil hai,tum kya jano.

Kabhi khud bhi zhakham kha kar dekho.
Is daur se gujarkar dekho.
Kaise chatpatayengi tumhari saanse.
Ek pal ke intazaar mein kat.ti hain kaise ratain.
Humse wafa ki asha karte ho.
Kyun kiye waqt ne itne julm.

Har raat ansoo se bheegi hain ankhen
Har roj dil toota hai, har mod par,
Logon ne mujko loota hai.
Umr ki dhalaan par ek din tumne dastak di.

Bhula di muje har dukh ki gari.
Le aaye mujko ek aisi duniya mein
Jahan pyaar ke sunhere sapne baste the.
Par duniya fir bhi behrahm thi.
Waqt haat se nikal gaya tha.

Muje uss duniya mein jana tha.
Fir se naya ghar basana tha.
Tumko apne saath lana tha.
Aakash mein garondha banana tha
Aab aise yahin jiyenge, ek doosre ki
bahon mein hi rahenge.
Fir aayenge ek naya naam ke saath.
Laayenge mehdi ka rang lal.
Sajegi haat hamare par, uthegi hamari bhi doli.

Fir ek yaadon ka silsila hoga. Sapne honge,
Par is bar tum saath hoge, mere apne honge.
Ek adhuri zindgi ki mukamaal ho gayegi.

Talash

Mil jaye toh amrit hai.

Sahil par khadi hoon.
Kinare ki talash hai.
Gairon mein khade hain,
Apno ki talash hai.
Aap mile ho toh chahaat
Ki talash hai.

Khud mein khud ko
Paane ki talash hai.
Talash ko aarzoo mein
Badal na hai.
Aarzoo ko muhabat mein
Badalna hai.

Muhabat ko kaise badlain.
Vo toh ehsaas hai.
Ek khamoshi hai.
Ek pyaas hai.
Mil jaye toh amrit hai.
Naa mile toh zeher ka
pyaala.
Khud mein khud ko
Paane ki talash hai.
Arth

Meri zindgi ko arth dedo,
muje jeene ka huq dedo
Ek hasin sham mere naam likh do.
Ek pyaar bhara paigam dedo.
Choo.te na mujse jo aisa saath dedo.
Raaton metah sa koyee khawab dedo.
Chahaat ka huq muj ko,chahne ka wadaa dedo.
Rahne ko ghar nahi hain, apne dil mein ghar dedo.
Ankho mein pyaar dedo mujhe dil ka karar dedo.
khud ko meree deewar kar do mujh ko
meree deewar de do
Seene se lagakar rakhlo, apni baahon ka sahara dedo.
koyee zindgee le gya tha meree
Meri zindgi dobara dedo
pyar tumhara dedo mujh ko sahra de do
Yeh nazdikyan hume daarati hain.

Yeh kaisa ehsaas tume ne jagaya hai.
Ankhe bandh karoon toh tumhe hi apne
Pass paya hai.
Kabhi tumhare kandhe par sar rakhti hoon.
Toh kabhi apni god mein tumhara maathaa
Sahlati hoon.

Kyun tumne soye huye jazbaaton ko jagaya hai
Kyun is dil ko dhadka diya,
Kyun inki jhankar badha di.
Kyun dil ko apna naam diya.
Humne toh dil ko deewaron
Bandh kar rakha tha
Tumne naa jane kaise gira di
Yeh deewarain.
kaise ismein ghar bana liya

Kaise nibhayenge yeh wade,
Kaise chal payenge un raston par.
Jahan kabhi kadam na rakhen hon.
Yeh nazdikyan hume daarati hain.
Hume andheron mein le jati hain.

Aapka haat toh hai samne
Par hum apne aapse daarte hain.
Apne aapko tumhare pass lanese
daarte hain.
Hum is pyaar se daarte.
Isske ehsaas se daarte hain.
Apni zindgi se darte hain.
Mujse mera humdard kho gaye

Mujse mera humdard kho gaye
Bahut bachpan ka saathi tha.
Najane kahan kho gaye.
Har kadam vo saath raha.
Har gari vo saath roya hai.

Jab bhi khud ko akele paaye hai
Haat tham kar, ussne hi saath
nibhaya hai.
Logone thokkar di, haat badha
Kar ussne hi muje uthaya hai.

Aaj achanak kya hua, kisne
Rasta rok liye, kaun naya.
Humsafar milgaya.
Hume dil se uthar diya.
Kisi aor ko basaa liya.

Ye dard mein tumhe hi
Toh doond rahin hoon.
Bahut khalipana lag raha hai
Tum nahi ho toh jina bhi
Dushwar ho raha hi.

Laut aao nahi toh, zindgi ki
Ahkiri si.dhi chadhungi kaise.
Ghamo ka samna karoongi kaise.
Aansoo tum bin aayenge.
Saans tun jayengi nahi.
Maut gale lagayegi nahi.

Yeh mere humdard laut aao,
Ek baar fir se gale laga lo.
Pyaar ke naye sapne sajaa diye

Kisi ne halke se kab dastak di. l
Kaun kab dil mein utar gaye.
Kab hum apne hosh kho baithe
Kab tum hamare ho baithe.

Pyaar ke naye sapne sajaa diye
Hume us duniya mein le aaye.
Jiski kabhi kalpana bhi na kit thi.
Jo shayad humare liye bani hi na thi.

Ik nahi duniya rachne lagi hai.
Aapke pyaar mein jeene lagi hai.
Ik madhur si muskurahat la di hai
Is daman mein khushiyan bhar di hain.

Tumhe yaad karke khud sharma jate hain
Ankhon ke samne tumhi, tum nazaar aate ho.
Abhi yeh haal hai toh tab kya hoga
Ek haat jab tumhare, hume choo raha hoga.
Simat kar hum khud mein kho jayenge.
Ya palat kar tumse lipat jayenge.
Paata nahi kya kar jayenge.

Zindgi ke us mod par mile ho.
Jahan kuch saanse zinda rahna chati hain.
Par darti is pal bhar ki khushi se bhi.
Kyunki jante hain, yeh mari nahi hain.

Ek sapna sa tum bhi lagte ho.
Lakin is waqt apne se lagte ho.
Kab hum apne hosh kho baithe
Kab tum hamare ho baithe.
Naa do ansoo in ankhon mein ,

Naa do ansoo in ankhon mein ,
Bahut ro diye hain hum
Kuch tumse milne se pahle.
Kuch tumhare milne ke baad
Humne toh har pal khushiyan mangi thi.
Milne ki chahaat mangi thi.

Par lagta hai naseeb kuch aur
Hi khahna chahaata hai.
Haaton ki lakhiron se tumhara
Naam hi meetaana chahaata hai.

Dekh ne ko taras gayin hain ankhe.
Khoon ke katre barsa gayin hain ankhe.
Chuban si dil mein uthi hai itni.
Nafrat duniya se ho gayi itni.
Har cheez ko rakh mein milane.
Ko jee hai karta.
Khud ko usmein jalane ko dil hai karta.

Jayenge is jahan se toh khabar bhi na lagegi.
Dil ki sab hasratain dil mein hi rah jayengi.
Jab doondoge hume, bahut door ja chuke honge,
Un kadmon ke nishan par bhi dhool hogi.
Jahan se hum gujrain honge.

Kuch palon ki yadain hongi tumhare pass.
Kyunki di hi toh thi sirf itni yaadain.
Diye toh ansoo the, gum the,dard tha.
Jo aaj lautaye jaa rahin hoon..

Chaha toh tha jee bhar kar pyaar doongi.
Ek aisi khushbu doongi, jo saada tum
Mehsoos karoge.
Un raton ki yaadain jo tumhare liye
Sajayee thi.
Par sab hasratain dil mein hi rah gayin.

Tumne itni dair kar di aane mein.
Hume apnaa banana mein.
Waqt piche choott gaya.
Hum maut ki agosh mein pahunch gaye.

Jate huye bhi dua karte hain.
Jitna hume ne intazaar kiya hai
Tum naa karma, apni zindgi sawar lena.
Jo tumse pyar mange us ko pyar dena.
Jo tumhe pyar de us se pyar lena.
Apni zindgee sanwar lena
Ankho ke raste dil mein utar jaoge

Tumne kaise jaan liye ki.
Muje tumse pyaar nahi hai,
Jazbaat sab ke samne aate nahi
Har koi dil ki baat, zuban par late nahi.

Pyaar toh khushbu hai,
jo duur tak faill jati hai,
Ankhon mein machalti,
toh sab ko khabar ho jati hai.

In mein jhankar toh dekho.
Khud bhi doob jaoge , hume
Bhi le dooboge.
Ankho ke raste dil mein utar jaoge
phir kabhee apane lab par...
koyee shikayatan nahee layoge...
Ankho ke raste dil mein utar jaoge
Yeh kaisi zindgi ki gadi chalete ho.

Yeh kaisi zindgi ki gadi chalete ho.
Ek pal mein khushi dete ho.
Doosre hi pal mein cheen lete ho.
Dil ki raftaar badhate ho.
Aur apne haaton se uski door,
Kat bhi dete ho.
Yeh kaisa sansar chalate ho.

Char shabdon ka khazana hai.
Kuch kahna hai, kuch soon.na hai.
Khuc yaad rakhna hai
Kuch bhul jana hai, zindgi ko
Yunhi toh chalana hai.
lafzon se sapne ke siwa aur
kya badalana hai
Kahmoshi hi hamari zuban hai. ----

Humrari ek pahchan hai.
Kahmoshi hi hamari zuban hai,
Dil main kitne armaan hain.
Kitne ehsaas hain jo tum tak
Paunchna chahte hain.

Yeh khamoshi tootegi kaise
Kaun dilki baat batayega
Kaun Hoonton thak le aayega.
Hamare toh lab kamp jayenge.
Aapki hi hai yeh zimedhari,
apne hoonton ki baat,
hamare lab thak lani

Ankhon mein sharam ki lali.
Inmein bhi jhank lena,
Apne pyaar hi nami ko
Hooton se choo lena.

Aaj ikhtiyar dete hain.
Apneko aapke hawale karte hain.
Is khamoshi ko zuban dete hain
Pyaar ki haadhain par kar lete hain.