Friday, March 16, 2007

Meri baraat laut gayi hai


Saj kar main is kadar baithi hoon.
Surk lal jodha tan par saja hai
Sar se lekar paavn tak
Ghahno mein jadha hai

Haaton mein sajan ke naam ki mahndi hai
Pairon khanakti payal pahne hoon
Maa baba ne jatan se paala hai
Bhaiya ne naazon mein uchhala hai

Baraat darwaaze par aayi hai
Pariwar ne milni karayi hai
Har taraf khushiyan chayi hai
Charon aor ghoonzti shanai hai

Baba ne dehaaz jhootaya hai
Sir par karzaa chadhaya hai
Beti ke haat peele karne ka
Bachpan se sapna sajaya hai

Aaj vo gari aa gayi hai
Par yeh kya ho gaya
Har taraf sannatta kyun chaya hai
Baba ki ankh mein pani bhar aaya hai

Bhaiya ne maa ko sambhala hai
Sasuraal kee  famayish nayee hai
Baba ke paas naa ek nayi payi hai
Kahin se koi naa koi ghoojaish hai

Rooth ke sab chal diye hai
Khali mandap khali kursi hai
Meri dhadan bandh ho gayi
ek baar phir Meri baraat laut gayi hai.

No comments:

Post a Comment