Saturday, June 10, 2006

Meri majboori hai

Tumse pyaar na karma meri
Majboori hai
Apni zindgi mein jagah na dena
Meri majboori hai

Khud ko apne aapme chuppakar
Rakhna meri majboori hai

Ankhon mein ansooyon ka sailab hai
Hoot.on par fir bhi muskarahat lana
Meri majboori hai

Apni tadap tum par naa khul gaye.
Tumse door jana meri majboori hai

Meri inn majbooriyon ko tum par
Zahir na karma bhi meri majboori hai.
Fir bhi akela hoon

Lakhon ki bhidh mein hoon
Fir bhi akela hoon

Suraj ki roshni mein hoon
Fir bhi andhera hoon

Dil ka kya haal kahoon
ikk lutta hua Musafir hoon

Dil toh le hi gaye they
dharkan bhi le jate

Jo soona pan diya hai
Usse apne dilse baar dete

Ek hasin sa tassuwar in
Ankhon mein chodh dete.

Akhri pal mein hi sahi
Humre humsafar ho jate
Kahin aahain toh kahin aansoo

Pyaar kiya hai toh unke
Uusool bhi nibhane honge

Kahin aahain toh kahin
Aansoo bahane honge

Khuli ankhon se jo sapne
Dekhenge
Bandh ankhon se unhe
Gawane honge.

Roshni jo deeyon mein
Jalayi hai
Unhe andheron mein
Lautane honge.
Fir bhi intazaar hai tumhara.

Meri zindgi mein nahi ho.
Fir bhi intazaar hai tumhara.
Is dil ki dadkano mein naam
Hai tumhara.

Ankhon mein tasveer hai tumhari.
Neend mein khwab hai tumhara.

Hawayon mein khushbu hai tumhari.
Fizaayon mein agmaan hai tumhara.

Ho.oton par muskurahat hai tumhari,
Phoolon mein rang hai tumhara

Meri zindgi mein nahi ho.
Fir bhi intazaar hai tumhara
Dedicated to Deepey.

Kahan se aaye ho ajnabi,
Kahan le chale ho mujhe,
Do pal mein dedi hai mujhe
Duniya Bhar ki khushiyan mujhe

Kal tak jise main janti tak na thi.
Aaj woh sabse pyaara lagne laga hai.

Mera din raat uski yaadon mein
Khone laga hai
Har chahre woh hi mujhe nazaar
Aane laga hai

Apne aap hi sharma jati hoon.
Usko yaad karke nazarain khud
Hi jhuka jati hoon.

Yeh ajnabi kya tum bhi mujhe
Utna hi chahte ho,
Jitna main tumhe chahti hoon
Charon aur ghanghor andehra hai
Kuch bhi nazaar nahi aa raha
Roshni ki ek kiran bhi kahin se
Nazar nahi aarahi hai.

Tanha khadi hu dorahe main,
Koi manjil nazar nahi aa rahi..
Door kahin ek timtimata tara.
Dikhayi deta hai.

Jo mere liye toh bahut chota hai
Par kisi aur keliye ghar ka ujala hai

Ussi roshni ko dekhte huye puri
Raat kat di.
Subha ki pahli kiran mere ghar
Ujala le aayi
Shayad koi dost mil jaye.

Tanhayise nikal kar dekho.
Shayad koi dost mil jaye.
Kab tak apne aapko is.
Gahrai mein chipate rahoge.

Bahut khubsoorat hota hai.
Ek dost ka sath.
Jo har mushkil mein aapke
Kadam se kadam milakar chalega.

Chahye koi bhi rukawat aaye
Apne aapko akela nahi paoge.

Uski himmat tumhari takat
Banjayegi
Tumhari zindgi ko nayi rah
Mil jayegi
Khoon se likhi yeh dastan

Yeh din kis tarah kate hain
kah nahi sakte.
Siskiyon aur ansoo ka hissab
dikha nahi sakte.
Num ankhon se aansoo baha
Nahi sakte
Dil par kya gujri hai bataa nahi
sakte
Taron ki ginti bataa nahi sakte
Tumhari yaadon ko lauta
Bhi nahi sakte.
Ragistan mein phool khila
Nahi sakte
Patjhadh mein bahar laa nahi
Sakte.

Hamara toh daman kal bhi kahli
tha aaj bhi khali hai.
Khoon se likhi yeh dastan kisiko
Suna bhi nahi sakte.
Khushiyan di do pal ki.

Khushiyan di do pal ki.
Tanhahi mein fir lauta diya.
Jana hi tha agar toh.
deeye jalaye kyu is dil main.
Zakham dete bhi ho aur.
Aur ansoo bhi na bahayen.

Yeh kaisi majboori hai dilon ki.
Jinki dadkan toh ek hai.
Par rahain alag alag hain.
Chahat toh ek hai, duniya alag hai.

Kaise karain yeh fasle kam.
Kaise milayen unn lakiron ko.
Jo halaat ke haaton majboor hain
Koi toh rah dikhao, mujhe mere
Pyaar se milao.
Aaiene kaha

Aaj mere samne khadhi kon hai.
Kaun apne aapko dekh rahi hai.
Pahle ki tarah kuch bhi nahi dikhti
Kya yeh woh hi nutkhut si
Alhadh ladki hai.
Jiske khubsoorti ke charche
Har aur hua karte the.

Iska vo yowan kahan chala gaya.
Chehra bhi murzaa gaya hai.
Uss par jhurrriyan saaf nazaar
Aa rahin hain.
Rang bhi kala padh gaya hai.
Ankhon se bhi kam nazaar aata hai
Pahle jaisa kuch bhi nahi raha.

par khubsoorti maan ki hoti hai
jo kabhi bhi aapse door nahi jati.
Yeh tasveer tumhari aajse bis saal
Baad ki hogi ainene kaha
Samjhote ki zindgi

Agar tumhe kisise pyaar hai toh.
Waqt rehte dil ki baat kah do.

Kayi baar hum itna waqt laga
Dete hain.
Who ghadi jiska humhe intazaar
Hota hai, haat se nikal jati hai.

Hum dekhte rah jate hain aur
Menhdi kisi aur ke naam ki lag
jati hai.

Fir humhe zindgi bhar ek ehsaas
Satata hai,
kash humne dil ki bata di hoti,
Toh aaj zindgi kuch aur hoti

Hum yun samjhote ki zindgi
Naa jee rahe hote.
Har shaks mein chahra tumhara paya.

Kis tarah bhula baithe ho.
Tumhe paata bhi nahi hoga.

Jab bhi kuch socha toh.
Apni sochon mein tumhi ko paya

Rab ki puja ki toh bhi khayal
Tumhara hi aaya
Nikli ghar se bhulane keliye.
Har shaks mein chahra
Tumhara paya.

Har roam mein bas.ss ho is tarah
Jis tarah dil mein saans basti hai.

Kis tarah bhula baithe ho.
Tumhe paata bhi nahi hoga.
Na dekho maan yeh sapne

Na dekho maan yeh sapne
Tumhe dekhne ka koi huq nahi hai.

Kisi ki umeed na karo
Tumhari zindgi mein soona pan hai.
Kaise tumne soch liya ki
Tumhe bhi pyaar ka huq hai.

Tumhe toh jeene ka bhi huq nahi
Sab kuch tumhara chin gaya hai.

Kuch bhi toh nahi hai tumhare pass.
Fir kaise yeh sapne dekhne chal padhde
Do ajnabi

Do ajnabi anjane mein milte hain
Dheere dheere unke khayalat
Milne lagte hain.

Vishwas ka ek rishta janam
Leta hai un dono mein
Dosti ki woh misal ban jate hain.

Aab na toot.te ga yeh bandhan
Aaj yeh kasam khate hain.

Pass na rahain toh koi ghum nahi
Door rahkar bhi sath nibhayenge

Milan hi pyaar nahi hai.
Judai bhi toh pyar hai.

Aao ye duniya ko dikhate hain
Dooriyan jagah ki hoti hain
Dil toh hamesha pass hote hain.
Fir laut ke chale jana.

Ek baar chale aao zindgi mein
Fir laut ke chale jana
Hum gila na karenge tumse
Naraz naa honge hum
Kya tumse rootne ka huq bhi
Nahi hai humko
Ek baar chale aao.
Fir laut ke chale jana.

Dil thod ke tum chal diye
Is bat ki tumko kya khabar
Kya hum par beeti hai.
Itna toh soon jao.
Ek baar chale aao.
Fir laut ke chale jana
Jiska intazaar tha vo nahi aaya

Kahan jana tha kanah chale aaye.
mere saaye bhi bich raaha main..
saath chod gaye...
manzil par pahuch kar dekha ..
to kisi anjan ko paya....
Jiska intazaar tha vo nahi aaya…

Kyun hum jhuthi dilasa dete hain..
Apne aapko..
Kyun chalte hain unn rahon par.
Jinke humsafar nahi hote.

Shayad yehi zindgi ka usul hai.
Kuch pana kuch kona.