Monday, November 20, 2006

Masoom sis ke naam unki salgirah par

jaanse pyaari sabse nirali,
masoom si muskaan ho.
Karti ho raaz sabke dil par.
Aisi haseen sham ho.
Kayi baar kho kar paya hai.
Aisa ik haseen vardan ho.

Pyaara sa dil hai tumhara.
Dilon tak sab ke jati ho.
Duhk samajhti ho sabka.
Unka saath saada nibhati ho.

Khushnaseeb hoon main
Tumse pyaar jo itna paya hai.
Ek masoom so rishta banaya hai.
Tumse mein ek dost ek bahen
Ko paya hai.

Salgirah ke is awasar par.
Dua rab se karti ,
Phoolon se tumhara daman mein
Bhar de.
zindgi tumhari khush haal karde.
Maut, maut ko gale lagayegi

Pyaar jo dil mein sajaya tha.
Aaj arthi par sulaya hai.
Maut ke is pal ne muje.
Yeh din dhikhalaya hai.
Chheen liya muzhse pyaar
Bachon ko anath banaya hai,

Zindgi mein koi rang naa hoga
Na aab chudhiyon ki khank hogi.
na payal ki hogi koi jhankaar
hathoN ki mehndi siyaah-kaali hogi

lut gayi dilki roshini
Har din, kali raat hogi
Tumse milne ko dil tarsega
Dekhne ko ankhoN mein tadap hogi.
Raat ki is tanhayi mein
Dekhne ko ankhoN mein tadap hogi.

Pyraar ki kasak har gari hogi
Ankho mein ansoonyon ki barsat hogi
Tumhari judai sahan naa hogi.
Ek baar fir maut hogi
Raat ki judai yun katam hogi.
Maut ki mulakat aaj maut se hogi.

Pyaar ki har gari yaad aayegi.
Aankhon mein ansoo bhar jayegi.
Tumhari judai sahi naa jayegi.
Ek baar fir maut aayegi
Ie baar muje tumse milayegi.
Judai ki lambi raat khatam ho jayegi.
Maut, maut ko gale lagayegi