Thursday, September 20, 2007





This poem is written by me (Nira Rajpal) in 2007 and posted in Shayarfamily on sept 21st 2007

Friends aapke samne ek aor sachai ke khayal lekar pesh huyi hoon. Aaj muje is nazm ko ek sampooran roop dene mein muje Vinu ji ka saath mila hai. dilse aapka shukrira adaa karti hoon is marg darshan keliye. aap sab ki rai ka intazaar rahega. shukriya.
nira


Maut Tu Itani Khudgarj Kynu hai???

maa ka
Aanchal bheega kyun hai
baap ke kandhe tute kynu hai
masoom se ye bachche roothe kynu hai
ye to bata inke hasne main harz kynu hai
Maut tu itni khudgarz kyun hai

Dulhan ki hatheli par
Mehndi ka rang hai
Sajan sang abhi kheli holi nahi
fir ye masoom chehra
kaisa badrang hai
in bheege ankho main
mamta ke sapne ka farz kynu hai
Maut tu itni khudgarz kyun hai

Ek kahar dhaah jati ho
Jis ghar main bhi aajati ho
Na umr ki parwah hai tujko
Naa rishton se lajati ho 
tumko kya maloom
ye Akhri safar kya sitam dhahata hai
kitna dil dhukhata hai 

tu jiski dawa hai wo marz kynu hai
maut tu itani khudgarj kynu hai ,

Aansoo ki baunchaar mein 
Man gila ho jata hai
Dil mein dekha sapna
adhoora rah jata hai
Achanak jab koi tera
hamsafar ban jata hai
jane wale tera hath pakad kar chale jate hai
ham unke liye rote hai pachtate hai
shayad tere pyaar main bahut dam hai
jo wo sab ka pyaar thukra kar
tujhmain sama jate hai 

soch main padh jati hoon
logon ka dard dekhoon 
ya teri sachchai
ya chup rahoo
man main baar-baar sochati hoon
tujhe khudgarj kahoo 
ya na kahoo?? 

Nira



No comments:

Post a Comment