Thursday, September 20, 2007

Desh ka sipahi

Aaj mari mulakat ek sipahi se huyi
Jaan ki jisse parwah nahi thi koyi
Jajba hai sirf apne watan ki rakhsha.
Dharti maa ke liye jeene aor marne ka.
Jab hum chain ki neend sote hain
Har din nayi subha ki aas pirote hain
Naye naye sapne sanjote hain.
Yeh sipahi raat bhar neend se duur hote hain

Duur kahin sarhadon par
Barfili pahadon ki shikhar par
Kali ghaneri raaton main
Maa on.n ke bahudur lal
Liye banduk haaton main.
Thand ho ya ho garmmi.
Chahye pahadh ki ho unchayi
Har waqt pahra dete hain.

Fir ek anjai si goli aati hai
Pahra derahe sipahi ka
Seena Choom jati hai,
Aor vo vande mataram kah
Darti maa par kurbaan Ho jata hai,

Roti bilakhti biwi bache
Piche choo.tt jate hain.
Maa fir bhi aansoo nahi bahati
Seena garvse Khil jata hai
Usne sapoot ko Janaa hai.
Vo fir tilak lagakar apne bete ko
Desh ki rakhsha ka adesh deti hai
Darti maa ki beti,
Beta fir kurbaan Kar jati

No comments:

Post a Comment