Thursday, September 20, 2007

Aazaadi

Aao kuchh yadain taza karein
Peeche mud kar bateiN taza kareiN.
Azaad hind ke itihas ko dekhain
Zakhamon ki bateiN taza kareiN.

Masoomon ki batain taza karein
Bichee lashon ki batain taza karein
Kaise izzat looti, bastiyan jali
Maa ki cheekhon ki batain taza karein.

Ghandiji ki shaleenta taza karein
Bhagat singh ki batain taza karein
Kitno ke likhe hain naam zamin par
Gin gin kar un ki baatain taza karein.


No comments:

Post a Comment