Thursday, September 20, 2007

Lab par naam tumhara hoga

Khubsoorat hoga woh zahaan..
Jahan saath tumhara hoga.
Rah lenge kisi modpar hum..
Haat jo tumne thamma hoga.

Saher se shaam beet jayegi..
Lab par naam tumhara hoga
Char chiraag jala kar humdum..
Roshan yeh nazaara hoga

Geet likh denge tan par..
Sangeet aaj tumhara hoga
Jo ankhen chipayengee jagse
Har ek raz tumhara hoga

Phool gar dali se toota..
Usse toh murzhana hoga
Rab jo mujse rootha..
Usi pal hi marjana hoga

Har anoo jo bahega kal
Har ansoo wo pyara hoga
Peeda bhi ghar uthi dilpar..
Dard bhi hamara hoga
Sirf hamara hoga

1 comment:

  1. nira ji ,
    namaskaar.
    "lab par naam tumhaara hoga " rachna padhi.dil ko chhoo jane wale bhaav to jaise poori kavita men rach bas gaye hon. ....

    Phool gar dali se toota..
    Usse toh murzhana hoga
    Rab jo mujse rootha..
    Usi pal hi marjana hoga

    bas nira ji likhte rahiye, likhte rahiye. aapki lekhni se nikle shabd pathkon ke liye amoolya hain.

    ReplyDelete