Saturday, May 03, 2008

hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

barish jab barsey hey rim jhim hota hai man beqaaboo
miTTi se aane lagtee hai sondhi sondhi see Khushboo
sawan bhaadon ki ritu mein jab koyal geet sunaati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hey

sawan ke woh jhoole jin per sakhiyan jhoola kartee thee
pyare pyare mausam thE woh aur nazaarey thE rangeeN
raat diyoN se Deevaali jab raushan ho jati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

mandir se “Hari Om” ka nara aaker hamein jagata tha
Guru Duware ke duwar pe koii, Church mein koii jaata tha
Jab aawaaz azaan ki aa kar kaanon se Takraatee hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

burf ki chaadar mein lipTee thee desh ki har soonder waadi
rung birange chanchal pholon se mehki thee har kyaree
aaj bhi jab pholon ki Khushboo tann-mann ko mehkaati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

kaise bhoolen ma-Baba ko sub kuch unse paaya he
Bhai ka hath bhi yaad aata hey raakhi bin jo soona hey
Jab apnon ka zikr chaley jab apnon ki baat aati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

apne desh ko lauT ke jaayen dil mein yehee tamnaa hey
aye pardes mein rahne waalon apna desh phir apna hey
apne desh ki koii bhi cheez jab apne haath mein aati hey
hum pardesi logon ko tab desh ki yaad satati hai

No comments:

Post a Comment