Saturday, May 03, 2008

Dahshat

Har ore hai aag phaili
Dahshat ki
Kisne hai kheli holi
Aaj dharti maa ne
Bhi apni aankh bhigo li
Kya aatankwaadi janta hai
Maa kii godh ka soonapan,

Kya usne apni hi
Behan ka balatkar dekha hai.
Bhai ke toote ang
Lashon mein dhoonde hai.
Vo kya jane is
Kabr ka ahsaas
Yeh jalan yeh ghootn
kya hoti hai

Usne toh ek
Kamre se baith kar
Ek switch hi toh
Dabaya hai-------
Lashon par jashn
Manaya hai-----

Zamir kab jagega.
In haiwaniyat ke
ThekedaaroN ka
Kya barood hi hul hai
Inko insaniyat
Seekhaane ka.
Inke bhi ghar jalane ka

Dekho bahar nikal kar
Kahin inmein tumhari
Maa ya beti
Izzat ki duhayi De rahi hai
Tumhare bhai ke tukde
Toh nahi Sameit rahi
Aao apne antak ke
jurm ka aHsaas karo
kisi ka ghar jala hai
toh kisi ka sharir
tukadon mein padhe hain
Koi ne ankh khoyi.
Kisi beti ki laash padi hai
Aao aa kar dekho
Tumne kaisi yeh khoon ki
Holi kheli hai
kaisi yeh holi kheli hai

No comments:

Post a Comment