Saturday, May 03, 2008

aaNkhen bhi pathrayee hain


Dil ka todna kaam hai uska, usko hunar yeh Khub aat hai
Koyee hamri yaden humse cheen kar jaise le jata hai

Jee bhar ke chaaha hai us ko, us ko dil se lagaya hai
Pyaar hamari bhool thee shayad dard saza mein paya hai

Pyaar mein humne chain ganwaya pyaar me haara man
Badley mein paya hai humne dard tadap aur Ghutan

Apni Khatta ke zaalim ne humpe lagaye haiN ilzaam
Chain gaya aaraam gaya ab tadpe hhum subH.o.shaam

Umr bitaayee jiske gam mein kab woh hamara yaar huuwa
Birha ki maari aankhon ko kab uska deedaar huuwa

us ki raah men humne aanKhen saari umr bichaayee haiN
Chehre ka bhi rung hai phikka aaNkhen bhi pathrayee hain

Pahli baar huuwa tha milna “Nira” jis din saajan se
Pyaar ke woh rangeen se do pal aaj bhi lipTe tann man se

No comments:

Post a Comment