Sunday, April 06, 2008

RaNgoN meN itnaa farq kiuN hai?

Ek hi maaN kii do beTiyaaN haiN
Phir bhii alag alag kiuN haiN?
Qudrat ka karishma kaisaa?
RaNgoN meN itnaa farq kiuN hai?

MaaN, baap kii donoN aaNkheN
Phir bhii itnii judaa judaa kiuN haiN?
Ek neTii gorii aur duujii
SaaNvlii kiuN hai?

Bachpan to beet gayaa
LoriyaaN sun sun kar
Aayii jawaanii to kayii sawaal
MuNh uThaaye saamne aaye
Ek to byaahii jayegi,
Duujii ki baraat kaise aayegii?

Jo bhii dekhne aaye
Goraa rang hii usko bhaaye
Shaavnli biTiyaa kisii ko na bhaaye
Kia is rachnaa meN khoT hai?
Apnii laaDlii biTiyaa ko kaise byaahe?

Kia rangat ke kaaraNR
Bin byaahii rah jaaye?
KiuN yeh anneyaaye hai?
KiuN ik gorii, duujii saaNvlii hai?

Us ne kitne hii raNgoN se
Indra-dhanush banaaye
InsaaN jiskii maayaa samajh na paaye
Pakka rang choR ke
Kacche rang ke peechhe
Bhaagtaa hii bhaagtaa jaaye

Kabhii to koii aayegaa!
Ismein Krishn bhii payegaa!
Apnii dulhan banaa ke merii guRiyaa ko
Byaah le jaayegaa!
Koii ik din avashya aayegaa!!


1 comment:

  1. अरे आप यह शायरी हिन्दी फॉंट मे क्यो नही लिखतीं ,चार चान्द लग जायेंगे इतने सुन्दर भावों में ।

    ReplyDelete