Friday, March 16, 2007

Kash-m-kash

band ankhon men woh nazdeek hain mere..
khulee ankhon main wo paye nahee jate

laake pas unko kandhe pe mere rakh do..
jo bojh muhabbaton men utahye nahee jate

kya karain aapko is duvidha se nikalain kaise....
humne dee hai thokar ab sambhalen nahi jate

dosh kisi ka nahi hai dil khud hi kamzor hai..
tumhree gungunahat bhee mere liye shor hai

is shor mein doobnaa toh chahti hoon..
kano se magar hath hataye nahee jate

un lahron par kaise jayen jinpar paav rakhe nahi jate
door se bhee humse toofan "nira" dekhe nahee jate

har aahat par dii ki dhakan thum jati hai..
payr kare to dartee hai na kare to pachtatee hai

dil mein tasveer banayi hai,
dhadkan se yeh chipaye nahee jate

raatonko ankhon mein sailab bhare hain
sapne sabhee mere imein mere doob rain hain

kahin jazbaat khile kahin toh kahin ashk bahe..
geet mere the jo tumse kahe  nahee jate

saanso par sangeet likhna chaha tha..
har geet magar padhaye nahee jate

zindgi mein saat rang bharne chahe ...
bikhar gaye jo bhee asman se laye
har phool khizaa mein khilaye nahee jate

No comments:

Post a Comment