Tuesday, December 19, 2006

Kahmoshi hi hamari zuban hai,

Humrari ek pahchan hai.
Kahmoshi hi hamari zuban hai,
Dil main kitne armaan hain.
Kitne ehsaas hain jo tum tak
Paunchna chahte hain.

Yeh khamoshi tootegi kaise
Kaun dilki baat batayega
Kaun Hoonton thak le aayega.
Hamare toh lab kamp jayenge.
Aapki hi hai yeh zimedhari,
apne hoonton ki baat,
hamare lab thak lani

Ankhon mein sharam ki lali.
Inmein bhi jhank lena,
Apne pyaar hi nami ko
Hooton se choo lena.

Aaj ikhtiyar dete hain.
Apneko aapke hawale karte hain.
Is khamoshi ko zuban dete hain
Pyaar ki haadhain par kar lete hain.
Pyaar ki reet nibha jani hai.
Tumse preet nibha jani hai.
Chal padhe ho jis rah par
Mere humsafar ban kar,
Tumhare saath har naav
Par kar jani hai.

Kannto ki sej ho, toh bhi
Hume neend aa jani hai.
Jahan pyaar hoga, wahan
Jeene ki chah bandh jani hai.
Pyraar ki kisthi hi toh par Lagani hai

No comments:

Post a Comment