Tuesday, December 19, 2006

Aaj humse woh pyaar kar gaya

Dil mein pyaar bhar gaya
Ek khawab pura kar gaya
Meri zindgi mein bahar bhar gaya
Ek jaltaran sa chedh gaya
Jab woh iqrar kar gaya.
Aaj humse woh pyaar kar gaya.

Pyaar tha tumhari ankhon mein
Aaj samne aa gaya
Tumse bhi rahana gaya.
Akhir tumhara dil haar gaya.
Zindgi humari adhuri thi
Tumhare ehsaas pura kar gaya.

Kaise yeh pyaar sambal gaya.
Tumse nazaar mila gaya,
Dekha jo pyaarse humari aor.
Dil ruk gaya humara usi pal
Jab woh iqrar kar gaya.
Aaj humse woh pyaar kar gaya.
Dil mein pyaar bhar gaya
Jab woh iqrar kar gaya.

No comments:

Post a Comment