Thursday, October 26, 2006

Humse wafa ki asha karte ho

Ek hasin sham thi, hum the aap the
Aor ek tanhayi thi.
Koi shabdon ki zaroorat naa thi.
Anken hi baatain kar rahin thi.
Dil soon raha tha. Dhadkane jawab
De rahin thee

Awaaz ki zaroorat naa thee.
Dono hi ghoom the khamoshi is mein.
Khoye the ik doosre ki bahon mein
Naa din ka hosh tha raat ki parwah.
Ek hi khwaish thi is sham ki koi raat naa ho.
In pallon ka koi anth naa ho.
Koi hume alag naa kare
Koi hum se humari kushiyan naa cheene.

Yeh hasin sham yahin ruk jaye
Humse wafa ki asha karte ho
Bewafa khud hi ho jate ho.
Sapne dikha kar khushiyon ke,
Lakhon ki bheed mein kho jate ho.
Dukh ka pahad uthana kitna.
Mushkil hai,tum kya jano.

Kabhi khud bhi zhakham kha kar dekho.
Is daur se gujarkar dekho.
Kaise chatpatayengi tumhari saanse.
Ek pal ke intazaar mein kat.ti hain kaise ratain.
Humse wafa ki asha karte ho.

No comments:

Post a Comment