Thursday, October 26, 2006

Yeh nazdikyan hume daarati hain.

Yeh kaisa ehsaas tume ne jagaya hai.
Ankhe bandh karoon toh tumhe hi apne
Pass paya hai.
Kabhi tumhare kandhe par sar rakhti hoon.
Toh kabhi apni god mein tumhara maathaa
Sahlati hoon.

Kyun tumne soye huye jazbaaton ko jagaya hai
Kyun is dil ko dhadka diya,
Kyun inki jhankar badha di.
Kyun dil ko apna naam diya.
Humne toh dil ko deewaron
Bandh kar rakha tha
Tumne naa jane kaise gira di
Yeh deewarain.
kaise ismein ghar bana liya

Kaise nibhayenge yeh wade,
Kaise chal payenge un raston par.
Jahan kabhi kadam na rakhen hon.
Yeh nazdikyan hume daarati hain.
Hume andheron mein le jati hain.

Aapka haat toh hai samne
Par hum apne aapse daarte hain.
Apne aapko tumhare pass lanese
daarte hain.
Hum is pyaar se daarte.
Isske ehsaas se daarte hain.
Apni zindgi se darte hain.

No comments:

Post a Comment