Monday, November 20, 2006

Maut, maut ko gale lagayegi

Pyaar jo dil mein sajaya tha.
Aaj arthi par sulaya hai.
Maut ke is pal ne muje.
Yeh din dhikhalaya hai.
Chheen liya muzhse pyaar
Bachon ko anath banaya hai,

Zindgi mein koi rang naa hoga
Na aab chudhiyon ki khank hogi.
na payal ki hogi koi jhankaar
hathoN ki mehndi siyaah-kaali hogi

lut gayi dilki roshini
Har din, kali raat hogi
Tumse milne ko dil tarsega
Dekhne ko ankhoN mein tadap hogi.
Raat ki is tanhayi mein
Dekhne ko ankhoN mein tadap hogi.

Pyraar ki kasak har gari hogi
Ankho mein ansoonyon ki barsat hogi
Tumhari judai sahan naa hogi.
Ek baar fir maut hogi
Raat ki judai yun katam hogi.
Maut ki mulakat aaj maut se hogi.

Pyaar ki har gari yaad aayegi.
Aankhon mein ansoo bhar jayegi.
Tumhari judai sahi naa jayegi.
Ek baar fir maut aayegi
Ie baar muje tumse milayegi.
Judai ki lambi raat khatam ho jayegi.
Maut, maut ko gale lagayegi

1 comment:

  1. NIRA

    BAHUT HI ACHA LIKHA HE

    DIL KHSH HUA

    BAHUT GAHRAI HE

    SADA KHUSH RAHO

    SHAKUN

    ReplyDelete